ब्राह्मणों को राजपूतों से एलर्जी है
तो राजपूतों को भूमिहारों से
कायस्थों को राजपूतों से एलर्जी है
तो राजपूतों को ब्राह्मणों से
कायस्थ भूमिहार को दोस्त मानते हैं
तो ब्राह्मण खत्रियों को
भूमिहार को यादवों से एलर्जी है
तो यादवों को ब्राह्मणों से
यादवों से कायस्थ घृणा करते हैं
तो यादव कुर्मी-कोयरिओं से
यादव राजपूतों को पसंद करते हैं
तो जाट-गुर्जर यादवों को
ब्राह्मण बनियों को दोस्त मानते हैं
तो बनिए ब्राह्मण-यादव दोनों को
कुर्मियों-कोयरिओं की कायस्थों से दोस्ती है
तो भूमिहारों की कुर्मियों-कोयरिओं से
जाटों-गुर्जरों को चमारों से एलर्जी है
तो चमारों को यादवों से
खटिकों को चमारों से एलर्जी है
तो पासवानों को भी चमारों से
धोबियों को पासियों से एलर्जी है
तो वाल्मीकियों को चमारों से
चमारों की ब्राह्मणों से दोस्ती है
तो राजपूतों की चमारों से दुश्मनी
वाल्मीकियों की बनियों से दोस्ती है
तो खटिकों की यादवों से
पासवानों को भूमिहार पसंद है
तो मल्लाहों को राजपूत
हज़्ज़ामों की राजपूतों से यारी है
तो कुम्हारों, कहारों और बढ़इयों की यादवों से
यादवों की मुसलमानों से दोस्ती है
तो द्विजों की मुसलमानों से दुश्मनी
इस दोस्ती और दुश्मनी की गाँठें
भविष्य में कुछ और मज़बूत होंगी
भारत की तस्वीर
कुछ और अजब-ग़ज़ब होंगी।
brahmnon ko rajputon se allergy hai
to rajputon ko bhumiharon se
kayasthon ko rajputon se allergy hai
to rajputon ko brahmnon se
kayasth bhumihar ko dost mante hain
to brahman khatriyon ko
bhumihar ko yadwon se allergy hai
to yadwon ko brahmnon se
yadwon se kayasth ghrina karte hain
to yadaw kurmi koyarion se
yadaw rajputon ko pasand karte hain
to jat gurjar yadwon ko
brahman baniyon ko dost mante hain
to baniye brahman yadaw donon ko
kurmiyon koyarion ki kayasthon se dosti hai
to bhumiharon ki kurmiyon koyarion se
jaton gurjron ko chamaron se allergy hai
to chamaron ko yadwon se
khatikon ko chamaron se allergy hai
to paswanon ko bhi chamaron se
dhobiyon ko pasiyon se allergy hai
to walmikiyon ko chamaron se
chamaron ki brahmnon se dosti hai
to rajputon ki chamaron se dushmani
walmikiyon ki baniyon se dosti hai
to khatikon ki yadwon se
paswanon ko bhumihar pasand hai
to mallahon ko rajput
hazzamon ki rajputon se yari hai
to kumharon, kaharon aur baDhaiyon ki yadwon se
yadwon ki musalmanon se dosti hai
to dwijon ki musalmanon se dushmani
is dosti aur dushmani ki ganthen
bhawishya mein kuch aur mazbut hongi
bharat ki taswir
kuch aur ajab ghazab hongi
brahmnon ko rajputon se allergy hai
to rajputon ko bhumiharon se
kayasthon ko rajputon se allergy hai
to rajputon ko brahmnon se
kayasth bhumihar ko dost mante hain
to brahman khatriyon ko
bhumihar ko yadwon se allergy hai
to yadwon ko brahmnon se
yadwon se kayasth ghrina karte hain
to yadaw kurmi koyarion se
yadaw rajputon ko pasand karte hain
to jat gurjar yadwon ko
brahman baniyon ko dost mante hain
to baniye brahman yadaw donon ko
kurmiyon koyarion ki kayasthon se dosti hai
to bhumiharon ki kurmiyon koyarion se
jaton gurjron ko chamaron se allergy hai
to chamaron ko yadwon se
khatikon ko chamaron se allergy hai
to paswanon ko bhi chamaron se
dhobiyon ko pasiyon se allergy hai
to walmikiyon ko chamaron se
chamaron ki brahmnon se dosti hai
to rajputon ki chamaron se dushmani
walmikiyon ki baniyon se dosti hai
to khatikon ki yadwon se
paswanon ko bhumihar pasand hai
to mallahon ko rajput
hazzamon ki rajputon se yari hai
to kumharon, kaharon aur baDhaiyon ki yadwon se
yadwon ki musalmanon se dosti hai
to dwijon ki musalmanon se dushmani
is dosti aur dushmani ki ganthen
bhawishya mein kuch aur mazbut hongi
bharat ki taswir
kuch aur ajab ghazab hongi
स्रोत :
रचनाकार : पंकज चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.