आँखों के सामने तैरती हुई अलसाई-सी नज़र
किसी मन को भीतर तक खँगालने-सी
उलट-पुलट कर फाँकों में बाँटकर
रहस्य पता होने की ज़लालत नज़र
तुम बला की ख़ूबसूरत तिस पर यह अदा
जलते-बुझते पलकों की राख जमा करती है
मेरे भीतर जो भी था धँसा, पसरा हुआ सर्दी की धूप-सा
लहलहाता, मातृ-गोद में शिशुपान करता
दुलार से सजे तुम्हारे ये हाथ
सहलाते हुए पीठ के भँवरों को
उकेर देते हैं दैहिक सच—मुझे प्रेम करो
बदन की रंग-ओ-बू से परिचित तुम्हारी छुअन
सींचती है सूखा कंकाल जिससे ममता झर चुकी है
तुम्हारा यह वक्ष जिसमें विलोपित मुख
लेता तुम्हारे भीतर दफ़न भय में लिपटी साँसें
हर बार जब तुम भविष्य के अटके भूत को साँसों में छोड़ती हो
तुम्हारे भीतर का द्वार खुलता है
मैं लिपटा हुआ तुमसे
रगों में बिखरी सभी स्मृतियों को
अपनाता हूँ
ankhon ke samne tairti hui alsai si nazar
kisi man ko bhitar tak khangalane si
ulat pulat kar phankon mein bantakar
rahasy pata hone ki zalalat nazar
tum bala ki khubsurat tis par ye ada
jalte bujhte palkon ki rakh jama karti hai
mere bhitar jo bhi tha dhansa, pasra hua sardi ki dhoop sa
lahlahata, matri god mein shishupan karta
dular se saje tumhare ye hath
sahlate hue peeth ke bhanwaron ko
uker dete hain daihik sach—mujhe prem karo
badan ki rang o bu se parichit tumhari chhuan
sinchti hai sukha kankal jisse mamta jhar chuki hai
tumhara ye waksh jismen wilopit mukh
leta tumhare bhitar dafan bhay mein lipti sansen
har bar jab tum bhawishya ke atke bhoot ko sanson mein chhoDti ho
tumhare bhitar ka dwar khulta hai
main lipta hua tumse
ragon mein bikhri sabhi smritiyon ko
apnata hoon

स्रोत :
रचनाकार : अविनाश
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.