कुछ बातें रंग और दम पैदा कर देती हैं
कल्पना में भी
मसलन, यह सोचकर ही कितना ख़ूबसूरत लगने लगता है
अपना समय कि एक मैना की चीत्कार से
दरक सकता है अभेद्य किला
किसी पापी राजा का
एक बुल-बुल की आह से जा सकती है गद्दी
किसी आततायी महंत की
एक गौरैया का फुदकना बाधित कर सकता है शिकार
किसी रक्तपाई शेर का
एक हँस का नीर-क्षीर विवेक भारी पड़ सकता है
किसी हमलावर की एक अक्षौहिणी सेना पर भी
एक कबूतर के गुटर-गूँ से दब जा सकता है
क्रूर ठहाका किसी क़ातिल का
एक सताई हुई स्त्री के रोने से आई
भयानक बाढ़ में
बह जा सकता है राज-पाट समूचा
किसी चौपट राजा का
यहाँ तक कि
अनीति से भरा कोषागार भी खर-पतवार की तरह
जल सकता है धू-धू कर!
kuch baten rang aur dam paida kar deti hain
kalpana mein bhi
masalan, ye sochkar hi kitna khubsurat lagne lagta hai
apna samay ki ek maina ki chitkar se
darak sakta hai abhedya kila
kisi papi raja ka
ek bulbul ki aah se ja sakti hai gaddi
kisi atatayi mahant ki
ek gauraiya ka phudakna badhit kar sakta hai shikar
kisi raktpayi sher ka
ek hans ka neer ksheer vivek bhari paD sakta hai
kisi hamlavar ki ek akshauhini sena par bhi
ek kabutar ke gutar goon se dab ja sakta hai
kroor thahaka kisi qatil ka
ek satayi hui stri ke rone se aai
bhayanak baaDh men
bah ja sakta hai raaj paat samucha
kisi chaupat raja ka
yahan tak ki
aniti se bhara koshagar bhi khar patvar ki tarah
jal sakta hai dhu dhu kar!
kuch baten rang aur dam paida kar deti hain
kalpana mein bhi
masalan, ye sochkar hi kitna khubsurat lagne lagta hai
apna samay ki ek maina ki chitkar se
darak sakta hai abhedya kila
kisi papi raja ka
ek bulbul ki aah se ja sakti hai gaddi
kisi atatayi mahant ki
ek gauraiya ka phudakna badhit kar sakta hai shikar
kisi raktpayi sher ka
ek hans ka neer ksheer vivek bhari paD sakta hai
kisi hamlavar ki ek akshauhini sena par bhi
ek kabutar ke gutar goon se dab ja sakta hai
kroor thahaka kisi qatil ka
ek satayi hui stri ke rone se aai
bhayanak baaDh men
bah ja sakta hai raaj paat samucha
kisi chaupat raja ka
yahan tak ki
aniti se bhara koshagar bhi khar patvar ki tarah
jal sakta hai dhu dhu kar!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.