इस समय जब दुनिया में
आग लगी हुई है
मैं तुमसे कहना चाहता हूँ कि
तुम पढ़ना सीखो क्योंकि
मैं उसकी राख से स्याही बना रहा हूँ
लिखने के लिए
तुमको एक पत्र
मैं दुनिया को
फिर हरा करने के उद्यम कर रहा हूँ
इस समय जब मैं
अपने पसीने से आग बुझा रहा हूँ
तुम बताओ
क्या कर रही हो?
तुम हवा क्यों कर रही हो?
आग भड़काने के लिए?
या मुझे पसीना हो रहा है इसलिए!
तुम्हारा हवा करना
निरर्थक है
तुम आग की तरफ़ हो
या मेरी?
क्या तुम चाहती हो
राख अधिक हो उसके अनुपात में
स्याही बनाई जाए
पत्र बहुत लंबा लिखा जाए
या सारे काग़ज़ जलकर
राख हो जाएँ
जो भी हो
जब दुनिया में आग लगी हो
तो आग की और दुनिया की
सबसे अधिक ईप्सित वस्तु है हवा
is samay jab duniya mein
ag lagi hui hai
main tumse kahna chahta hoon ki
tum paDhna sikho kyonki
main uski rakh se syahi bana raha hoon
likhne ke liye
tumko ek patr
main duniya ko
phir hara karne ke udyam kar raha hoon
is samay jab main
apne pasine se aag bujha raha hoon
tum batao
kya kar rahi ho?
tum hawa kyon kar rahi ho?
ag bhaDkane ke liye?
ya mujhe pasina ho raha hai isliye!
tumhara hawa karna
nirarthak hai
tum aag ki taraf ho
ya meri?
kya tum chahti ho
rakh adhik ho uske anupat mein
syahi banai jaye
patr bahut lamba likha jaye
ya sare kaghaz jalkar
rakh ho jayen
jo bhi ho
jab duniya mein aag lagi ho
to aag ki aur duniya ki
sabse adhik ipsit wastu hai hawa
is samay jab duniya mein
ag lagi hui hai
main tumse kahna chahta hoon ki
tum paDhna sikho kyonki
main uski rakh se syahi bana raha hoon
likhne ke liye
tumko ek patr
main duniya ko
phir hara karne ke udyam kar raha hoon
is samay jab main
apne pasine se aag bujha raha hoon
tum batao
kya kar rahi ho?
tum hawa kyon kar rahi ho?
ag bhaDkane ke liye?
ya mujhe pasina ho raha hai isliye!
tumhara hawa karna
nirarthak hai
tum aag ki taraf ho
ya meri?
kya tum chahti ho
rakh adhik ho uske anupat mein
syahi banai jaye
patr bahut lamba likha jaye
ya sare kaghaz jalkar
rakh ho jayen
jo bhi ho
jab duniya mein aag lagi ho
to aag ki aur duniya ki
sabse adhik ipsit wastu hai hawa
स्रोत :
रचनाकार : प्रज्वल चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.