तानाशाह जब
बहुत डर जाता है
तो ज़ोर से हँसने का
अभिनय करता है
और जैसे-जैसे बढ़ता जाता है उसका डर
हवा में गूँजने लगती है उसकी हँसी
वह भीतर ही भीतर महसूस करता
अपने अंत होते समय को
फिर भी
वह नकली हँसी से देता है
ख़ुद को तसल्ली
भय के कारण
वह इतना ज़ोर से हँसता है
कि घुटने लगता है उसका दम
टूटने लगता है उसका घमंड
उसे शायद
अहसास होता है उस वक़्त
अपने अपराधों का
वह चाहता है कि कोई समझे उसे
कि उसे हो रहा है अहसास
अपने अपराधों का
घुटती साँसों के साथ
पर शर्म के कारण
वह कह नहीं पाता यह बात खुलकर
और एक बार फिर से
उसके भीतर का तानाशाह
कहता है उससे
कि अंतिम साँस के साथ
अपने अपराधों को स्वीकार करना भी
मूर्खता है।
यह सोच कर
तानाशाह
फिर से हँसने की
अंतिम कोशिश करता है
और फिर लंबी ख़ामोशी!!
tanashah jab
bahut Dar jata hai
to zor se hansne ka
abhinay karta hai
aur jaise jaise baDhta jata hai uska Dar
hawa mein gunjne lagti hai uski hansi
wo bhitar hi bhitar mahsus karta
apne ant hote samay ko
phir bhi
wo nakli hansi se deta hai
khu ko tasalli
bhay ke karan
wo itna zor se hansta hai
ki ghutne lagta hai uska dam
tutne lagta hai uska ghamanD
use shayad
ahsas hota hai us waqt
apne apradhon ka
wo chahta hai ki koi samjhe use
ki use ho raha hai ahsas
apne apradhon ka
ghutti sanson ke sath
par sharm ke karan
wo kah nahin pata ye baat khulkar
aur ek bar phir se
uske bhitar ka tanashah
kahta hai usse
ki antim sans ke sath
apne apradhon ko swikar karna bhi
murkhata hai
ye soch kar
tanashah
phir se hansne ki
antim koshish karta hai
aur phir lambi khamoshi!!
tanashah jab
bahut Dar jata hai
to zor se hansne ka
abhinay karta hai
aur jaise jaise baDhta jata hai uska Dar
hawa mein gunjne lagti hai uski hansi
wo bhitar hi bhitar mahsus karta
apne ant hote samay ko
phir bhi
wo nakli hansi se deta hai
khu ko tasalli
bhay ke karan
wo itna zor se hansta hai
ki ghutne lagta hai uska dam
tutne lagta hai uska ghamanD
use shayad
ahsas hota hai us waqt
apne apradhon ka
wo chahta hai ki koi samjhe use
ki use ho raha hai ahsas
apne apradhon ka
ghutti sanson ke sath
par sharm ke karan
wo kah nahin pata ye baat khulkar
aur ek bar phir se
uske bhitar ka tanashah
kahta hai usse
ki antim sans ke sath
apne apradhon ko swikar karna bhi
murkhata hai
ye soch kar
tanashah
phir se hansne ki
antim koshish karta hai
aur phir lambi khamoshi!!
स्रोत :
रचनाकार : नित्यानंद गायेन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.