अंतिम खिलाड़ी टीम को संपूर्ण करता है
मुझसे पहले जो आए वे बेहतर रहे होंगे
मैं भी अपनी जगह ज़रूरी हूँ
यह जगह का प्रश्न नहीं
उस जगह किए गए काम का है
अंत में थोड़ा-सा भी बेहतर कोई कर दे
तो सबको याद रह जाता है
लेकिन लोग ग़लत तरीक़े से याद रखते हैं
जल्दी भुला देते हैं अच्छे किए हुए को
मामूली ग़लती को भी भूलने नहीं देते
मुझे याद है मैंने नहीं चुनी अपनी यह जगह
इसी में अच्छा लगता रहा मुझे कि
हम सबसे बेहतर और भी हैं कई
जिनकी नहीं होती कोई भी जगह
जगह जो मैंने हासिल की
उसमें इतना कर सकूँ कि
लगे अपनी जगह पर मैं ग़लत नहीं हूँ
खेलने वाले भी हम हैं
खिलाने वाले भी
पर यह सोच मुझे अधूरा नहीं रहने देती
कि किसी भी जगह खेलो
अच्छा खेलो
अच्छा खेलकर सोचो कि
कल इससे भी अच्छा खेलना है
नहीं तो हम सबसे बड़ा है खेल
और हम कहाँ के खिलाड़ी हैं
उसके बिना
antim khilaDi team ko sampurn karta hai
mujhse pahle jo aaye we behtar rahe honge
main bhi apni jagah zaruri hoon
ye jagah ka parashn nahin
us jagah kiye gaye kaam ka hai
ant mein thoDa sa bhi behtar koi kar de
to sabko yaad rah jata hai
lekin log ghalat tariqe se yaad rakhte hain
jaldi bhula dete hain achchhe kiye hue ko
mamuli ghalati ko bhi bhulne nahin dete
mujhe yaad hai mainne nahin chuni apni ye jagah
isi mein achchha lagta raha mujhe ki
hum sabse behtar aur bhi hain kai
jinki nahin hoti koi bhi jagah
jagah jo mainne hasil ki
usmen itna kar sakun ki
lage apni jagah par main ghalat nahin hoon
khelne wale bhi hum hain
khilane wale bhi
par ye soch mujhe adhura nahin rahne deti
ki kisi bhi jagah khelo
achchha khelo
achchha khelkar socho ki
kal isse bhi achchha khelna hai
nahin to hum sabse baDa hai khel
aur hum kahan ke khilaDi hain
uske bina
antim khilaDi team ko sampurn karta hai
mujhse pahle jo aaye we behtar rahe honge
main bhi apni jagah zaruri hoon
ye jagah ka parashn nahin
us jagah kiye gaye kaam ka hai
ant mein thoDa sa bhi behtar koi kar de
to sabko yaad rah jata hai
lekin log ghalat tariqe se yaad rakhte hain
jaldi bhula dete hain achchhe kiye hue ko
mamuli ghalati ko bhi bhulne nahin dete
mujhe yaad hai mainne nahin chuni apni ye jagah
isi mein achchha lagta raha mujhe ki
hum sabse behtar aur bhi hain kai
jinki nahin hoti koi bhi jagah
jagah jo mainne hasil ki
usmen itna kar sakun ki
lage apni jagah par main ghalat nahin hoon
khelne wale bhi hum hain
khilane wale bhi
par ye soch mujhe adhura nahin rahne deti
ki kisi bhi jagah khelo
achchha khelo
achchha khelkar socho ki
kal isse bhi achchha khelna hai
nahin to hum sabse baDa hai khel
aur hum kahan ke khilaDi hain
uske bina
स्रोत :
पुस्तक : नया बस्ता (पृष्ठ 116)
रचनाकार : हेमंत कुकरेती
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.