यह मेरी अंतिम कविता हो सकती है
इसके बाद शायद मैं मर जाऊँगा
यदि नहीं मरा तो संभव है
मैं इतनी दूर यात्रा पर निकल जाऊँ
कि स्मृतियाँ वहाँ तक न पहुँचती हों
इतनी दूर जगहें दुनिया में ज़रूर होंगी
या ऐसा हो कि मैं दीमक बनकर
लकड़ी के किसी पुराने खंभे में उसे कुतरता रहूँ
या बस ऐसे ही मैं कविता न लिखूँ
संभव है
आजकल कुछ भी असंभव नहीं दुनिया में
ऐसा मुझे तब लगा जब मैं अपने बचपन की
एक सड़क पर पहुँचा एक ढेला
जो मैंने बचपन में फेंका था वहीं हवा
में टँगा था
वह एक पत्थर सड़क किनारे वैसे ही पड़ा था
जिससे ठोकर खाकर मेरे घुटने छिले थे
पर तभी मैंने देखे फूल; फूल जिन्हें खिलना था
कल परसों या एक साल बाद
फूल बोले हमें नहीं खिलना है, हम रहेंगे,
बादल में, मिट्टी में, जहाँ हम हैं वहीं ठीक हैं
हमें नहीं खिलना इस दुनिया में
और मुझे लगा कुछ भी असंभव नहीं
दुनिया की हालत ऐसी है कि किसी भी वक़्त
कोई भी कवि तारे-सा टूटता दिखाई दे
सकता है।
ye meri antim kawita ho sakti hai
iske baad shayad main mar jaunga
yadi nahin mara to sambhaw hai
main itni door yatra par nikal jaun
ki smritiyan wahan tak na pahunchti hon
itni door jaghen duniya mein zarur hongi
ya aisa ho ki main dimak bankar
lakDi ke kisi purane khambhe mein use kutarta rahun
ya bus aise hi main kawita na likhun
sambhaw hai
ajkal kuch bhi asambhaw nahin duniya mein
aisa mujhe tab laga jab main apne bachpan ki
ek saDak par pahuncha ek Dhela
jo mainne bachpan mein phenka tha wahin hawa
mein tanga tha
wo ek patthar saDak kinare waise hi paDa tha
jisse thokar khakar mere ghutne chhile the
par tabhi mainne dekhe phool; phool jinhen khilna tha
kal parson ya ek sal baad
phool bole hamein nahin khilna hai, hum rahenge,
badal mein, mitti mein, jahan hum hain wahin theek hain
hamein nahin khilna is duniya mein
aur mujhe laga kuch bhi asambhaw nahin
duniya ki haalat aisi hai ki kisi bhi waqt
koi bhi kawi tare sa tutta dikhai de
sakta hai

स्रोत :
पुस्तक : दो बारिशों के बीच (पृष्ठ 61)
रचनाकार : राजेंद्र धोड़पकर
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.