जीवन का पर्याय
एक अधूरी उदास कविता
हड्डियों पर बोझिल उम्मीदों से लबरेज़ देह एक
पीड़ा से सुन्न पैर
और
स्पर्श से सुन्न मन
पैरों तले उधार की ज़मीन
ऊपर एकदम आकस्मिक छत
बेवजह की थकान से निचोड़ा झूठा स्वाभिमान
झरती पत्तियों जैसी जिजीविषा और
बोगन हो जाने का प्रयास
पीठ को लगा एक बच्चे का मन
अपनी खोई गेंद ढूँढ़ता
नींद एक पलायन
साहचर्य जैसे साथ बैठी मृग-मरीचिका
माँ की गोद एक कायर विकल्प
ख़स्ताहाली की बर्बाद ज़िद
भविष्य की साँस दबोचता
एक उदासीन असार्थक दिन
दबी चीख़ों के इलाज में यांत्रिक हो चली यौनिकता
तर्क-कुतर्क की निजी द्वंद्वात्मकता
असफल कविता के नाम
पटक दी गईं ये तमाम निरर्थक पँक्तियाँ
दफ़्न भाषा के सामर्थ्य के अवशेष में
बचे सपाटबयानी के कंकाल
और ये सारे अधूरे वाक्य
अंततः
वही दो सवाल
जीवन का पर्याय
एक अधूरी उदास कविता।
jivan ka paryay
ek adhuri udaas kavita
haDDiyon par bojhil ummidon se labrez deh ek
piDa se sunn pair
aur
sparsh se sunn man
pairon tale udhaar ki zamin
upar ekdam akasmik chhat
bevajah ki thakan se nichoDa jhutha svabhiman
jharti pattiyon jaisi jijivisha aur
bogan ho jane ka prayas
peeth ko laga ek bachche ka man
apni khoi gend DhunDhta
neend ek palayan
sahachary jaise saath baithi mrig marichika
maan ki god ek kayer vikalp
khastahali ki barbad zid
bhavishya ki saans dabochta
ek udasin asarthak din
dabi chikhon ke ilaaj mein yantrik ho chali yaunikta
tark kutark ki niji dvandatmakta
asaphal kavita ke naam
patak di gain ye tamam nirarthak panktiyan
daphn bhasha ke samarthy ke avshesh mein
bache sapatabyani ke kankal
aur ye sare adhure vaaky
antat
vahi do saval
jivan ka paryay
ek adhuri udaas kavita.
jivan ka paryay
ek adhuri udaas kavita
haDDiyon par bojhil ummidon se labrez deh ek
piDa se sunn pair
aur
sparsh se sunn man
pairon tale udhaar ki zamin
upar ekdam akasmik chhat
bevajah ki thakan se nichoDa jhutha svabhiman
jharti pattiyon jaisi jijivisha aur
bogan ho jane ka prayas
peeth ko laga ek bachche ka man
apni khoi gend DhunDhta
neend ek palayan
sahachary jaise saath baithi mrig marichika
maan ki god ek kayer vikalp
khastahali ki barbad zid
bhavishya ki saans dabochta
ek udasin asarthak din
dabi chikhon ke ilaaj mein yantrik ho chali yaunikta
tark kutark ki niji dvandatmakta
asaphal kavita ke naam
patak di gain ye tamam nirarthak panktiyan
daphn bhasha ke samarthy ke avshesh mein
bache sapatabyani ke kankal
aur ye sare adhure vaaky
antat
vahi do saval
jivan ka paryay
ek adhuri udaas kavita.
स्रोत :
रचनाकार : संध्या चौरसिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.