बहुत कुछ जानती है वो औरत
जिसे मुझे 'कम दिमाग़ की' और 'अनपढ़' नाम से
मात्र परिचय करवाया
मेरे समाज ने
और हमेशा आँकता रहा है
घर के काम और गहनें-ज़ेवर से।
शायद ग़लत है समाज उस जगह पर
जिस जगह से निरंतर देखता है
औरतों को
क्योंकि औरतों को आता है पढ़ना
रहन-सहन, चेहरा, आदमी सब कुछ पढ़ लेती है
और यह किसी किताब में नहीं
समाज में लिखा होता है।
वास्तव में औरतें उत्कृष्ट पाठक होती हैं
पढ़ती हैं समाज को
पलटती हैं पन्ने
घर द्वार के
वहीं प्राप्त ज्ञान से
बाल बच्चों को
देती हैं सीख
कई विरासत के रूप में
फिर अनपढ़ कैसे हो सकतीं हैं
औरतें भला।
bahut kuch janti hai wo aurat
jise mujhe kam dimagh ki aur anpaDh naam se
maatr parichay karvaya
mere samaj ne
aur hamesha ankta raha hai
ghar ke kaam aur gahnen zevar se.
shayad ghalat hai samaj us jagah par
jis jagah se nirantar dekhta hai
aurton ko
kyonki aurton ko aata hai paDhna
rahan sahn, chehra, adami sab kuch paDh leti hai
aur ye kisi kitab mein nahin
samaj mein likha hota hai.
vastav mein aurten utkrisht pathak hoti hain
paDhti hain samaj ko
palatti hain panne
ghar dvaar ke
vahin praapt gyaan se
baal bachchon ko
deti hain seekh
kai virasat ke roop men
phir anpaDh kaise ho saktin hain
aurten bhala.
bahut kuch janti hai wo aurat
jise mujhe kam dimagh ki aur anpaDh naam se
maatr parichay karvaya
mere samaj ne
aur hamesha ankta raha hai
ghar ke kaam aur gahnen zevar se.
shayad ghalat hai samaj us jagah par
jis jagah se nirantar dekhta hai
aurton ko
kyonki aurton ko aata hai paDhna
rahan sahn, chehra, adami sab kuch paDh leti hai
aur ye kisi kitab mein nahin
samaj mein likha hota hai.
vastav mein aurten utkrisht pathak hoti hain
paDhti hain samaj ko
palatti hain panne
ghar dvaar ke
vahin praapt gyaan se
baal bachchon ko
deti hain seekh
kai virasat ke roop men
phir anpaDh kaise ho saktin hain
aurten bhala.
स्रोत :
रचनाकार : आलोक रंजन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.