मेरे पास कुछ नहीं है
अँजुरी भर शब्दों के अलावा कुछ भी नहीं
धन न अस्त्र-शस्त्र पर लडूँगा
यक़ीन रखना जीतूँगा भी
वे जब करेंगे वार
अपने अस्त्र-शस्त्र से
धन से
मैं अँजुरी भर शब्दों को फेंकूँगा उनकी ओर
उनकी बौखलाहट बढ़ेगी
और देखते ही देखते उजड़ जाएगी
धन और अस्त्र-शस्त्रों से सजी दुनिया
और मेरे शब्द लौट आएँगे
उन्हें घायल करने के बाद
नहीं रहूँगा चुपचाप
उनके आतंक से डरे लोगों को बटोरूँगा
शब्दों से सिहरन पैदा करूँगा और ताक़त
बटोरता रहूँगा शब्द
अच्छे-अच्छे शब्द बटोरूँगा
तब ढेर सारे अच्छे शब्द
बन जाएँगे सृष्टि के मंत्र।
mere paas kuch nahin hai
anjuri bhar shabdon ke alava kuch bhi nahin
dhan na astra shastr par laDunga
yaqin rakhna jitunga bhi
ve jab karenge vaar
apne astra shastr se/dhan se
main anjuri bhar shabdon ko phenkunga unki or
unki baukhalahat baDhegi
aur dekhte hi dekhte ujaD jayegi
dhan aur astra shastron se saji duniya
aur mere shabd laut ayenge
unhen ghayal karne ke baad
nahin rahunga chupchap
unke atank se Dare logon ko batorunga
shabdon se siharan paida karunga aur taqat
batorta rahunga shabd
achchhe achchhe shabd batorunga
tab Dher sare achchhe shabd
ban jayenge sirishti ke mantr.
mere paas kuch nahin hai
anjuri bhar shabdon ke alava kuch bhi nahin
dhan na astra shastr par laDunga
yaqin rakhna jitunga bhi
ve jab karenge vaar
apne astra shastr se/dhan se
main anjuri bhar shabdon ko phenkunga unki or
unki baukhalahat baDhegi
aur dekhte hi dekhte ujaD jayegi
dhan aur astra shastron se saji duniya
aur mere shabd laut ayenge
unhen ghayal karne ke baad
nahin rahunga chupchap
unke atank se Dare logon ko batorunga
shabdon se siharan paida karunga aur taqat
batorta rahunga shabd
achchhe achchhe shabd batorunga
tab Dher sare achchhe shabd
ban jayenge sirishti ke mantr.
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.