इन रहस्यमय अंतरंग दृश्यों की निर्लज्ज छाया में
तुम्हारी ही कविताओं की अमूर्त व्याधि हृदय बेधती थी
विषय नहीं भाव गंधाते थे
पुराने मोटे अन्न सरीखे
इन श्वासों के अनन्य चक्र पर दिन-रात
हम हर घूँट
तुम्हारे ही शब्द सामर्थ्य से चकित
औचक हेरने लगते थे दसों दिशाएँ
किसी दृश्य से कोई निजात न थी
पार्श्व में बेचैनी के अंतराल
तुम्हारी ही काव्योक्ति का संसार कुरेदते थे
अनायास कोई भूला हुआ याद आता था
अनायास कोई स्मृतियों के कोठार से बाहर निकल जाता था
हमारे हरे दुखों से सजे घावों पर
तुम्हारी ही कविताओं का लेप
मलहम की तरह लिपा था
यद्यपि उससे भी कोई मुक्ति नहीं थी
कोई आराम नहीं था
एक ठिठका हुआ कैवल्य
हमारी शिराओं में बहता था चुपचाप
व्यर्थ की पठनीयता से ऊबे हम दोनों
हर तीसरे घूँट में उच्चारते थे
तुम्हारा ही नाम किसी पवित्र पुस्तक के
पहले अध्याय की तरह
हम तुम्हें सोचते हुए हँसते थे, रो देते थे
संज्ञाएँ एकाधिक थीं
किंतु शंख घोष, शिम्बोर्स्का
या नवनीता देवसेन से ठीक पहले
हमें तुम ही याद आती थीं
किसी सिद्ध मंत्र की तरह हर बार
हम तुम्हारे ही
आदिम रंध्रों से झरता हुआ प्रकाश थे
अपनी हँसी और रुदन को लिखने से ठीक पहले
तुम हमें लिखकर भूल गई थीं अनीता वर्मा
in rahasyamay antrang drishyon ki nirlajj chhaya men
tumhari hi kavitaon ki amurt vyadhi hriday bedhti thi
vishay nahin bhaav gandhate the
purane mote ann sarikhe
in shvason ke ananya chakr par din raat
hum har ghoont
tumhare hi shabd samarthya se chakit
auchak herne lagte the dason dishayen
kisi drishya se koi nijat na thi
paarshv mein bechaini ke antral
tumhari hi kavyokti ka sansar kuredte the
anayas koi bhula hua yaad aata tha
anayas koi smritiyon ke kothar se bahar nikal jata tha
hamare hare dukhon se saje ghavon par
tumhari hi kavitaon ka lep
malham ki tarah lipa tha
yadyapi usse bhi koi mukti nahin thi
koi aram nahin tha
ek thithka hua kaivalya
hamari shiraon mein bahta tha chupchap
vyarth ki pathniyta se uube hum donon
har tisre ghoont mein uchcharte the
tumhara hi naam kisi pavitra pustak ke
pahle adhyay ki tarah
hum tumhein sochte hue hanste the, ro dete the
sangyayen ekadhik theen
kintu shankh ghosh, shimborska
ya navanita devsen se theek pahle
hamein tum hi yaad aati theen
kisi siddh mantr ki tarah har baar
hum tumhare hi
aadim randhron se jharta hua parkash the
apni hansi aur rudan ko likhne se theek pahle
tum hamein likhkar bhool gai theen anita varma
in rahasyamay antrang drishyon ki nirlajj chhaya men
tumhari hi kavitaon ki amurt vyadhi hriday bedhti thi
vishay nahin bhaav gandhate the
purane mote ann sarikhe
in shvason ke ananya chakr par din raat
hum har ghoont
tumhare hi shabd samarthya se chakit
auchak herne lagte the dason dishayen
kisi drishya se koi nijat na thi
paarshv mein bechaini ke antral
tumhari hi kavyokti ka sansar kuredte the
anayas koi bhula hua yaad aata tha
anayas koi smritiyon ke kothar se bahar nikal jata tha
hamare hare dukhon se saje ghavon par
tumhari hi kavitaon ka lep
malham ki tarah lipa tha
yadyapi usse bhi koi mukti nahin thi
koi aram nahin tha
ek thithka hua kaivalya
hamari shiraon mein bahta tha chupchap
vyarth ki pathniyta se uube hum donon
har tisre ghoont mein uchcharte the
tumhara hi naam kisi pavitra pustak ke
pahle adhyay ki tarah
hum tumhein sochte hue hanste the, ro dete the
sangyayen ekadhik theen
kintu shankh ghosh, shimborska
ya navanita devsen se theek pahle
hamein tum hi yaad aati theen
kisi siddh mantr ki tarah har baar
hum tumhare hi
aadim randhron se jharta hua parkash the
apni hansi aur rudan ko likhne se theek pahle
tum hamein likhkar bhool gai theen anita varma
स्रोत :
रचनाकार : सपना भट्ट
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.