एक नदी मिली जिसे कहीं नहीं जाना था
आख़िर मेरा दिल उसी नदी में डूबेगा
जहाँ सबसे तेज़ धड़कती होगी धरती
वहीं पड़ेगा मेरा पाँव
वह पेड़ मिला मुझे जो अब और उगना नही चाहता था
एक गहरे प्यार में मैंने उसे चूमते हुए कहा—
उगने के अलावा कितना कुछ है करने को
मेरी जड़ें मुझे कबका छोड़ चुकी हैं
टिकने के लिए कम नहीं होता एक भ्रम भी
विश्वास सच्चा हो तो
घोंसले से मैंने कहा—
एक बहुत ख़ूबसूरत प्यार में
धकिया दो चिड़िया को
ज़मीन तक आते-आते हवा के समुद्र में
कितनी लहरें बनी होंगी...
मुझे उसकी घबराहट मिली
जिसे मैंने बालों में खोंस लिया है
मेरे सुंदर बाल
मैं कभी नहीँ होऊँगी बौद्ध भिक्षुणी!
ek nadi mili jise kahin nahin jana tha
akhir mera dil usi nadi mein Dubega
jahan sabse tez dhaDakti hogi dharti
wahin paDega mera panw
wo peD mila mujhe jo ab aur ugna nahi chahta tha
ek gahre pyar mein mainne use chumte hue kaha—
ugne ke alawa kitna kuch hai karne ko
meri jaDen mujhe kabka chhoD chuki hain
tikne ke liye kam nahin hota ek bhram bhi
wishwas sachcha ho to
ghonsle se mainne kaha—
ek bahut khubsurat pyar mein
dhakiya do chiDiya ko
zamin tak aate aate hawa ke samudr mein
kitni lahren bani hongi
mujhe uski ghabrahat mili
jise mainne balon mein khons liya hai
mere sundar baal
main kabhi nahin houngi bauddh bhikshuni!
ek nadi mili jise kahin nahin jana tha
akhir mera dil usi nadi mein Dubega
jahan sabse tez dhaDakti hogi dharti
wahin paDega mera panw
wo peD mila mujhe jo ab aur ugna nahi chahta tha
ek gahre pyar mein mainne use chumte hue kaha—
ugne ke alawa kitna kuch hai karne ko
meri jaDen mujhe kabka chhoD chuki hain
tikne ke liye kam nahin hota ek bhram bhi
wishwas sachcha ho to
ghonsle se mainne kaha—
ek bahut khubsurat pyar mein
dhakiya do chiDiya ko
zamin tak aate aate hawa ke samudr mein
kitni lahren bani hongi
mujhe uski ghabrahat mili
jise mainne balon mein khons liya hai
mere sundar baal
main kabhi nahin houngi bauddh bhikshuni!
स्रोत :
रचनाकार : सुजाता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.