पानी की चमड़ी तले
कुईं की उँगलियों में
देखता नाख़ूनों का बढ़ना
सफ़ेद हो चुके मांस को देखता
भयंकर अविश्वास की ज्योत्स्ना में
बहुत ही ज़रूरतों से गढ़े
अपने अमानुषपन को
देखता लगभग रोज़ ही
एक दिन अचानक बदल जाता हूँ मैं
देखते-देखते
नहीं रहता मैं मनुष्य
पृथ्वी पर
मुझे ढूँढ़ रहे हो कौन तुम—
छत से ढलकी पसरी धूप की
धार में
अस्थिर धूल कणों के नृत्य में?
मैं अब इन चीज़ों में नहीं
नहीं, नहीं मैं
ग्लानि से भरी कल्पना के रेशे में
नहीं
नाख़ून बढ़ाते माँस की
महानता में
ढूँढ़ो मुझे
चित्रार्पिता को खाते वक़्त दीमक
अँधेरी कोठरी में,
मैं रहता वहीं
निश्चल-सा
छोटे-बड़े अनेक आलिंगनों में।
pani ki chamDi tale
kuin ki ungliyon mein
dekhta nakhunon ka baDhna
safed ho chuke mans ko dekhta
bhayankar awishwas ki jyotsna mein
bahut hi zarurton se gaDhe
apne amanushpan ko
dekhta lagbhag roz hi
ek din achanak badal jata hoon main
dekhte dekhte
nahin rahta main manushya
prithwi par
mujhe DhoonDh rahe ho kaun tum—
chhat se Dhalki pasri dhoop ki
dhaar mein
asthir dhool kanon ke nrity mein?
main ab in chizon mein nahin
nahin, nahin main
glani se bhari kalpana ke reshe mein
nahin
nakhun baDhate mans ki
mahanta mein
DhunDho mujhe
chitrarpita ko khate waqt dimak
andheri kothari mein,
main rahta wahin
nishchal sa
chhote baDe anek alingnon mein
pani ki chamDi tale
kuin ki ungliyon mein
dekhta nakhunon ka baDhna
safed ho chuke mans ko dekhta
bhayankar awishwas ki jyotsna mein
bahut hi zarurton se gaDhe
apne amanushpan ko
dekhta lagbhag roz hi
ek din achanak badal jata hoon main
dekhte dekhte
nahin rahta main manushya
prithwi par
mujhe DhoonDh rahe ho kaun tum—
chhat se Dhalki pasri dhoop ki
dhaar mein
asthir dhool kanon ke nrity mein?
main ab in chizon mein nahin
nahin, nahin main
glani se bhari kalpana ke reshe mein
nahin
nakhun baDhate mans ki
mahanta mein
DhunDho mujhe
chitrarpita ko khate waqt dimak
andheri kothari mein,
main rahta wahin
nishchal sa
chhote baDe anek alingnon mein
स्रोत :
पुस्तक : प्रार्थना के लिए ज़रूरी शब्द
रचनाकार : हरप्रसाद दास
प्रकाशन : आलोकपर्व प्रकाशन
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.