उन्हें लगता है जैसे ग्रहण कर ली हैं दिशाएँ
और बुंरुश वनों में पिघलती हुई आग में झाँकता हुआ आकाश
उनकी यात्राओं की शुरुआत। उन यात्राओं में उन्हें लगता है
जैसे पा लिए हों गंतव्य
और अब थोड़े से झुके हुए आकाश में से
झरती हैं कथाएँ रहस्यमय
रहस्य के बाहर से थपेड़े देता हुआ कोई है
उसे हम कह देते हैं मृत्यु
मृत्यु, रक्त और सबके बीच बहुत अंदर
जुड़े हुए शिशु शिखर हैं,
समय अपने कुरूप चेहरे से डराता है उन्हें
अपने क्रूर हाथों से धवलवर्णी शिखरों को तोड़ता है।
समय : मृत्युओं में हमें देता है साक्ष्य निर्णय; निर्देश
वह हमारे पिताओं, पितामहों को
अपने आलिंगन में लिए बैठा है, क्रूर
कैसे कहें हम, उनसे और समय से,
कोई सुंदर चेहरा या कोई अतीत अपने अनुभव में
सुरक्षित रखें।
एक अंधी गुफा में अनूदित उनकी यात्राएँ चलती हैं।
संभावनाओं में
और संभावनाएँ उन्हें छलती हैं
समय के निर्णयों में।
unhen lagta hai jaise grahn kar li hain dishayen
aur bunrush wanon mein pighalti hui aag mein jhankta hua akash
unki yatraon ki shuruat un yatraon mein unhen lagta hai
jaise pa liye hon gantawya
aur ab thoDe se jhuke hue akash mein se
jharti hain kathayen rahasyamay
rahasy ke bahar se thapeDe deta hua koi hai
use hum kah dete hain mirtyu
mirtyu, rakt aur sabke beech bahut andar
juDe hue shishu sikhar hain,
samay apne kurup chehre se Darata hai unhen
apne kroor hathon se dhawalwarni shikhron ko toDta hai
samay ha mrityuon mein hamein deta hai sakshy nirnay; nirdesh
wo hamare pitaon, pitamhon ko
apne alingan mein liye baitha hai, kroor
kaise kahen hum, unse aur samay se,
koi sundar chehra ya koi atit apne anubhaw mein
surakshait rakhen
ek andhi gupha mein anudit unki yatrayen chalti hain
sambhawnaon mein
aur sambhawnayen unhen chhalti hain
samay ke nirnyon mein

स्रोत :
पुस्तक : विजप (पृष्ठ 21)
रचनाकार : गंगाप्रसाद विमल
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.