नगर मरते हैं और संस्कृतियाँ दफ़न होती हैं
क़स्बों में उग आते हैं खलिहान
और रेतों में खो जाते हैं नख़लिस्तान!
रोज़ उदासी का एक पृष्ठ और खुल जाता है;
नाख़ूनों के सिरों पर उगते हैं स्वप्न
और होंठों में उगते हैं नागफनी के वृक्ष
सारा का सारा जीवित नगर बदल जाता है
शवगृहों में!
गीदड़ों की आवाज़ें बहुत सहमी-सी आती हैं
गलों में होती है कफ़ की घरघराहट
मौत पंजे बढ़ाती है
और पंजों में से निकलते हैं केंचुए
केंचुओं के पंजों में फँसे रिरियाते हैं लोग
मुँह से चुचाता है ख़ून
और पीप और मवाद!
एक दुर्गंध उठ रही है ज़हरमोहरों के देश में
तमाम लोग क़ैद हैं शवगृहों में
और भूतों की मानिंद डोलते हैं इधर-उधर
हताश!
संस्कृति का कोई कमज़ोर हाथ उठता है
और पीला पड़कर झर जाता है
जीवित मनुष्य के मस्तिष्क में पैदा होते हैं घोंघे
जब बुद्धिहीनता आती है
शरीर सड़ता है
रिसते हैं वीर्य-कोषों के तंतु
और इंसान कुत्ते की मौत मर जाता है!
आह, पागल कुत्तों के देश में भी
इंसान कभी-कभी सोचता है...
सोचता है
अपनी अकाल मृत्यु
और कुकुरमुत्ते-सा
सहम, सिकुड़ जाता है।
देता है आवाज़ एक असहाय बूढ़े गिद्ध-सा
और फिर अनिवार्य नियति का
बोध उसे डसता है
और वह पागल कुत्ते सा
छटपटाकर बदहवास
हड्डियाँ चढ़ाता है—अपने ही पिंजर की—
और सड़क पर पड़े पागल ढूह-सा
ठंडा हो जाता है?
nagar marte hain aur sanskritiyan dafan hoti hain
qasbon mein ug aate hain khalihan
aur reton mein kho jate hain nakhlistan!
roz udasi ka ek prishth aur khul jata hai;
nakhunon ke siron par ugte hain swapn
aur honthon mein ugte hain nagaphni ke wriksh
sara ka sara jiwit nagar badal jata hai
shawagrihon mein!
gidDon ki awazen bahut sahmi si aati hain
galon mein hoti hai kaf ki ghargharaht
maut panje baDhati hai
aur panjon mein se nikalte hain kenchue
kenchuon ke panjon mein phanse ririyate hain log
munh se chuchata hai khoon
aur peep aur mawad!
ek durgandh uth rahi hai zaharmohron ke desh mein
tamam log qaid hain shawagrihon mein
aur bhuton ki manind Dolte hain idhar udhar
hatash!
sanskriti ka koi kamzor hath uthta hai
aur pila paDkar jhar jata hai
jiwit manushya ke mastishk mein paida hote hain ghonghe
jab buddhihinta aati hai
sharir saDta hai
riste hain weery koshon ke tantu
aur insan kutte ki maut mar jata hai!
ah, pagal kutton ke desh mein bhi
insan kabhi kabhi sochta hai
sochta hai
apni akal mirtyu
aur kukurmutte sa
saham, sikuD jata hai
deta hai awaz ek asahaye buDhe giddh sa
aur phir aniwary niyti ka
bodh use Dasta hai
aur wo pagal kutte sa
chhataptakar badahwas
haDDiyan chaDhata hai—apne hi pinjar kee—
aur saDak par paDe pagal Dhooh sa
thanDa ho jata hai?
nagar marte hain aur sanskritiyan dafan hoti hain
qasbon mein ug aate hain khalihan
aur reton mein kho jate hain nakhlistan!
roz udasi ka ek prishth aur khul jata hai;
nakhunon ke siron par ugte hain swapn
aur honthon mein ugte hain nagaphni ke wriksh
sara ka sara jiwit nagar badal jata hai
shawagrihon mein!
gidDon ki awazen bahut sahmi si aati hain
galon mein hoti hai kaf ki ghargharaht
maut panje baDhati hai
aur panjon mein se nikalte hain kenchue
kenchuon ke panjon mein phanse ririyate hain log
munh se chuchata hai khoon
aur peep aur mawad!
ek durgandh uth rahi hai zaharmohron ke desh mein
tamam log qaid hain shawagrihon mein
aur bhuton ki manind Dolte hain idhar udhar
hatash!
sanskriti ka koi kamzor hath uthta hai
aur pila paDkar jhar jata hai
jiwit manushya ke mastishk mein paida hote hain ghonghe
jab buddhihinta aati hai
sharir saDta hai
riste hain weery koshon ke tantu
aur insan kutte ki maut mar jata hai!
ah, pagal kutton ke desh mein bhi
insan kabhi kabhi sochta hai
sochta hai
apni akal mirtyu
aur kukurmutte sa
saham, sikuD jata hai
deta hai awaz ek asahaye buDhe giddh sa
aur phir aniwary niyti ka
bodh use Dasta hai
aur wo pagal kutte sa
chhataptakar badahwas
haDDiyan chaDhata hai—apne hi pinjar kee—
aur saDak par paDe pagal Dhooh sa
thanDa ho jata hai?
स्रोत :
पुस्तक : विजप (पृष्ठ 50)
रचनाकार : जगदीश चतुर्वेदी
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.