मैंने देखा है
एक मरते हुए शख़्स को
और उसे मरने दिया है
मैंने सुनी हैं चीख़ें
मदद को पुकारती आवाज़ें
और मैं कान दबाए
दूर भागता गया हूँ उन आवाज़ों से
मैंने पन्ने भरने
और सियाही ख़र्चने के अलावा
कुछ नहीं किया है
मुझे यक़ीन है
किसी दिन
यदि वह मरता हुआ शख़्स मैं हुआ
और वह चीख़ती हुई आवाज़ मेरी हुई
तो मेरी ही तरह कोई
अपने क़दम वापस खींच लेगा
और घर जाकर लिखेगा
मेरी ही तरह
एक बुज़दिल कविता
क्योंकि इस मुल्क़ में
जैसे को तैसा नहीं, बल्कि
उससे विपरीत
और बदतरीन की रवायत है।
mainne dekha hai
ek marte hue shakhs ko
aur use marne diya hai
mainne suni hain chikhen
madad ko pukarti avazen
aur main kaan dabaye
door bhagta gaya hoon un avazon se
mainne pannen bharne
aur siyahi kharchne ke alava
kuch nahin kiya hai
mujhe yaqin hai
kisi din
yadi wo marta hua shakhs main hua
aur wo chikhti hui avaz meri hui
to meri hi tarah koi
apne qadam vapas kheench lega
aur ghar jakar likhega
meri hi tarah
ek buzdil kavita
kyonki is mulq men
jaise ko taisa nahin, balki
usse viprit
aur badtarin ki ravayat hai.
mainne dekha hai
ek marte hue shakhs ko
aur use marne diya hai
mainne suni hain chikhen
madad ko pukarti avazen
aur main kaan dabaye
door bhagta gaya hoon un avazon se
mainne pannen bharne
aur siyahi kharchne ke alava
kuch nahin kiya hai
mujhe yaqin hai
kisi din
yadi wo marta hua shakhs main hua
aur wo chikhti hui avaz meri hui
to meri hi tarah koi
apne qadam vapas kheench lega
aur ghar jakar likhega
meri hi tarah
ek buzdil kavita
kyonki is mulq men
jaise ko taisa nahin, balki
usse viprit
aur badtarin ki ravayat hai.
स्रोत :
रचनाकार : पंकज विश्वजीत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.