आजकल
जब मैं कविता लिखने बैठता हूँ
तो शब्द गुम हो जाता है
मैं
इस ठेके की महिमा से हटने का
निश्चय कर लेता हूँ
पर मौजूदा राजनीति
मेरा हौसला बढ़ाती है
उत्तेजना और दस्तावेज़ के बिना ही
मैं पटरी पर
क्रांति की चीत्कार करता निकल पड़ता हूँ
एक बार हम उसके घर गए थे
तब उस जनता को
जिसमें बुद्धिजीवी भी
सामान्य की तरह बैठे थे
उसने पूर्ण सत्ता हथियाने का राज़
समझाया था
एक निहायत व्यावसायिक औरत की दुर्दमनीयता से
उसके उस चेहरे को मैं कभी भूल नहीं सकता
ना ही
उसकी दृढ़ता के मसख़रेपन को
मैं और मेरा दोस्त
खटकों में गर्दन से फँसे चूहों से
शांत और ठस बैठे रह गए थे
हमने उस विक्षिप्त समाजवादी की
भविष्य भयातुरता पर भी कान नहीं दिया था
जो वह एक और औरत की
जाँघों को उकसाने के लिए
उतनी उत्तेजना से उगल रहा था
दुनिया
किस क़दर मूर्ख और मौलिक हो गई है
दुनिया किस क़दर
चतुर और चाटुकार हो गई है
दुनिया
क़तई वैसी ही घृणित और घुमावदार हो गई है
जैसी वह
जीवित रहने के लिए हमेशा से थी।
ajkal
jab main kawita likhne baithta hoon
to shabd gum ho jata hai
main
is theke ki mahima se hatne ka
nishchay kar leta hoon
par maujuda rajaniti
mera hausla baDhati hai
uttejna aur dastawez ke bina hi
main patri par
kranti ki chitkar karta nikal paDta hoon
ek bar hum uske ghar gaye the
tab us janta ko
jismen buddhijiwi bhi
samany ki tarah baithe the
usne poorn satta hathiyane ka raaz
samjhaya tha
ek nihayat wyawasayik aurat ki durdamniyta se
uske us chehre ko main kabhi bhool nahin sakta
na hi
uski driDhta ke masakhrepan ko
main aur mera dost
khatkon mein gardan se phanse chuhon se
shant aur thas baithe rah gaye the
hamne us wikshaipt samajwadi ki
bhawishya bhayaturta par bhi kan nahin diya tha
jo wo ek aur aurat ki
janghon ko uksane ke liye
utni uttejna se ugal raha tha
duniya
kis qadar moorkh aur maulik ho gai hai
duniya kis qadar
chatur aur chatukar ho gai hai
duniya
qati waisi hi ghrinait aur ghumawadar ho gai hai
jaisi wo
jiwit rahne ke liye hamesha se thi
ajkal
jab main kawita likhne baithta hoon
to shabd gum ho jata hai
main
is theke ki mahima se hatne ka
nishchay kar leta hoon
par maujuda rajaniti
mera hausla baDhati hai
uttejna aur dastawez ke bina hi
main patri par
kranti ki chitkar karta nikal paDta hoon
ek bar hum uske ghar gaye the
tab us janta ko
jismen buddhijiwi bhi
samany ki tarah baithe the
usne poorn satta hathiyane ka raaz
samjhaya tha
ek nihayat wyawasayik aurat ki durdamniyta se
uske us chehre ko main kabhi bhool nahin sakta
na hi
uski driDhta ke masakhrepan ko
main aur mera dost
khatkon mein gardan se phanse chuhon se
shant aur thas baithe rah gaye the
hamne us wikshaipt samajwadi ki
bhawishya bhayaturta par bhi kan nahin diya tha
jo wo ek aur aurat ki
janghon ko uksane ke liye
utni uttejna se ugal raha tha
duniya
kis qadar moorkh aur maulik ho gai hai
duniya kis qadar
chatur aur chatukar ho gai hai
duniya
qati waisi hi ghrinait aur ghumawadar ho gai hai
jaisi wo
jiwit rahne ke liye hamesha se thi
स्रोत :
पुस्तक : आईने में चेहरा (पृष्ठ 65)
रचनाकार : जितेंद्र कुमार
प्रकाशन : जयश्री प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.