अगर तुम यहाँ पर होते
मेरे बेटे, तो मैं तुम्हें ज़रूर दिखाता
ये ख़ूबसूरत चिड़िया
काले शरीर और सफ़ेद पंखों वाली
जो इस गहरी काली रात से
मशक़्क़त के बाद निकली
थकी-माँदी सुबह की दहलीज़ पर
आकर बैठ गई है, उसी लोहे की
छड़ पर, जिसे तुम कभी-कभी
अपना क़द ऊँचा करने के लिए
पकड़कर झूलते थे
यह सफ़ेद डैनोंवाली चिड़िया
पूरी पृथ्वी को और क़द्दावर करती
दस्तक देती है इस सुबह पर
मैं तुम्हारा पिता कभी अपनी
आपबीती से डरा, कभी ज़माने से
अपनी तमाम सुबहों को न्यौछावर करना चाहता हूँ
इस बारिश भीगी धरती के ख़ातिर
तुम्हारे क़द्दावर होने की ख़ातिर
सफ़ेद डैनों की परवाज़ की ख़ातिर।
agar tum yahan par hote
mere bete, to main tumhein zarur dikhata
ye khubsurat chiDiya
kale sharir aur safed pankhon wali
jo is gahri kali raat se
mashaqqat ke baad nikli
thaki mandi subah ki dahliz par
akar baith gai hai, usi lohe ki
chhaD par, jise tum kabhi kabhi
apna qad uncha karne ke liye
pakaDkar jhulte the
ye safed Dainonwali chiDiya
puri prithwi ko aur qaddawar karti
dastak deti hai is subah par
main tumhara pita kabhi apni
apabiti se Dara, kabhi zamane se
apni tamam subhon ko nyauchhawar karna chahta hoon
is barish bhigi dharti ke khatir
tumhare qaddawar hone ki khatir
safed Dainon ki parwaz ki khatir
agar tum yahan par hote
mere bete, to main tumhein zarur dikhata
ye khubsurat chiDiya
kale sharir aur safed pankhon wali
jo is gahri kali raat se
mashaqqat ke baad nikli
thaki mandi subah ki dahliz par
akar baith gai hai, usi lohe ki
chhaD par, jise tum kabhi kabhi
apna qad uncha karne ke liye
pakaDkar jhulte the
ye safed Dainonwali chiDiya
puri prithwi ko aur qaddawar karti
dastak deti hai is subah par
main tumhara pita kabhi apni
apabiti se Dara, kabhi zamane se
apni tamam subhon ko nyauchhawar karna chahta hoon
is barish bhigi dharti ke khatir
tumhare qaddawar hone ki khatir
safed Dainon ki parwaz ki khatir
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधी कविताएँ (पृष्ठ 81)
रचनाकार : सुदीप बॅनर्जी
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.