घर ऐसा जमा लो ख़ुशहाली लगे। वह बोली या शायद मैंने यह सुना। मैं बुख़ार
में वह दिन भर की थकी थी। उसके माथे और बारिश पर अँधेरा छाया था। मेहमानों
में ऐसा कोई न था जिसने हमें झगड़ते न देखा हो। घर ऐसा जमा लो ख़ुशहाली
लगे। वह बार-बार दुहराती थी। सिगड़ी पर बेवजह पानी उबलता था। रेत आने
में अभी वक़्त था। सड़कों पर शराबी बुदबुदाते थे। शहर की गंदी किनार पर जाकर
सो गए थे भिखारी। मकड़ी स्याह नीम पर रात बुन रही थी। रसोई से उसकी आवाज़
आई। देखो, देखो दीवार की मरी छिपकली ज़िंदा हो दौड़ने लगी है। उठो, उठो
हमारी दीवारों पर अब भी जमा हैं धूल और जाले!!
ghar aisa jama lo khushhali lage wo boli ya shayad mainne ye suna main bukhar
mein wo din bhar ki thaki thi uske mathe aur barish par andhera chhaya tha mehmanon
mein aisa koi na tha jisne hamein jhagaDte na dekha ho ghar aisa jama lo khushhali
lage wo bar bar duhrati thi sigDi par bewajah pani ubalta tha ret aane
mein abhi waqt tha saDkon par sharabi budbudate the shahr ki gandi kinar par jakar
so gaye the bhikhari makDi syah neem par raat bun rahi thi rasoi se uski awaz
i dekho, dekho diwar ki mari chhipkali zinda ho dauDne lagi hai utho, utho
hamari diwaron par ab bhi jama hain dhool aur jale!!

स्रोत :
पुस्तक : कुछ वाक्य (पृष्ठ 17)
रचनाकार : उदयन वाजपेयी
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.