बेटियों की नाराज़गी की चिंता
नहीं करतीं अच्छी माँएँ
वे उनके भविष्य की उधेड़-बुन में
उधेड़ती रहती हैं स्वयं को जी भर
अच्छी माँएँ ऊपर-ऊपर से
लीपकर चिकना नहीं बनातीं
वे बेटियों को पाथती हैं
कंडों-उपलों की तरह
नहीं छोड़ना चाहती हैं वे
उनका एक भी कोना
बिना थपका हुआ
उसके बदले में माँओ को प्यार नहीं
मिलती है नासमझ बेरुख़ी
बेटियों की तरफ़ से
लेकिन वे फिर भी मढ़ती रहती है
ढोलक की तरह अपनी बेटियों को
अंधे खटीक की तरह लगन से
वे सोचती हैं
और दूर तक देखती हैं
अच्छी माँएँ चाहती हैं
जब बेटियाँ करें आरंभ पाथना
अपना जीवन!
तो बना सकें अद्भुत आकार
अपनी गृहस्थी का
अच्छी माँएँ डाँटने से नहीं
ज्यादा दुलराने से डरती हैं
क्योंकि
अच्छी माँएँ कोयल नहीं
बया होती हैं।
betiyon ki narazgi ki chinta
nahin kartin achchhi mayen
ve unke bhavishya ki udheD bun mein
udheDti rahti hain svayan ko ji bhar
achchhi mayen upar upar se
lipkar chikna nahin banatin
ve betiyon ko pathti hain
kanDon uplon ki tarah
nahin chhoDna chahti hain ve
unka ek bhi kona
bina thapka hua
uske badle mein mano ko pyaar nahin
milti hai nasamajh beruख़i
betiyon ki taraf se
lekin ve phir bhi maDhti rahtin hai
Dholak ki tarah apni betiyon ko
andhe khatik ki tarah lagan se
ve sochti hain
aur door tak dekhti hain
achchhi mayen chahti hain
jab betiyan karen arambh pathna
apna jivan!
to bana saken adbhut akar
apni grihasthi ka
achchhi mayen Dantane se nahin
jyada dulrane se Darti hain
kyonki
achchhi mayen koel nahin
baya hoti hain.
betiyon ki narazgi ki chinta
nahin kartin achchhi mayen
ve unke bhavishya ki udheD bun mein
udheDti rahti hain svayan ko ji bhar
achchhi mayen upar upar se
lipkar chikna nahin banatin
ve betiyon ko pathti hain
kanDon uplon ki tarah
nahin chhoDna chahti hain ve
unka ek bhi kona
bina thapka hua
uske badle mein mano ko pyaar nahin
milti hai nasamajh beruख़i
betiyon ki taraf se
lekin ve phir bhi maDhti rahtin hai
Dholak ki tarah apni betiyon ko
andhe khatik ki tarah lagan se
ve sochti hain
aur door tak dekhti hain
achchhi mayen chahti hain
jab betiyan karen arambh pathna
apna jivan!
to bana saken adbhut akar
apni grihasthi ka
achchhi mayen Dantane se nahin
jyada dulrane se Darti hain
kyonki
achchhi mayen koel nahin
baya hoti hain.
स्रोत :
रचनाकार : कल्पना मनोरमा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.