सर पर रखे हाथ के नर्म स्पर्श में
मुखर होती अबोली प्रार्थनाएँ
जब पिघलती हैं तो द्रव्य में नहीं
सीधे भाप में बदलकर
हवा को हल्का बना देती हैं
सर का बोझ उतर जाता है देखते-देखते
कानों में बजते एकांत के उदास क्षणों में
जब दुर्निवार बेचैनी में बदल जाता है मौन
तब किसी बच्चे की एक किलकारी
आत्मा पर झरने उड़ेल देती है
जैसे सहला दिए हों किसी ने गाल
ओस सनी गुलाब की नाज़ुक पंखुड़ियों से
कठिन रास्तों पर पैर जब भी ठिठके
ज़ख़्मी हिम्मत के गिरने से ठीक पहले
स्मृति में कौंधी एक मख़मली मुस्कान
आँखों में उड़ने लगे उजले कबूतर
मन साफ़ हो गया
दुआएँ आईं और उँगली पकड़ाकर ले चलीं
चाँदनी हँसी वक़्त रुका और एक पल शबे-मेराज हुआ
वॉक ओवर में जीत से ज़्यादा
खेलकर हार जाना अधिक लाभकारी हुआ
मैं जब भी हारा दुख से भारी हुआ
जीता तो उन्हीं दुखों का आभारी हुआ
मेरी समझ परिणाम को भूलकर
प्रक्रिया पर कुछ इस तरह अटकी
कि मुझे लहरें किनारों से ज़्यादा ख़ूबसूरत लगीं
मेरी कामना रही
कि हवा में गिरती बारिश की बूँदें कभी ज़मीन को न छुएँ
कि बादल उड़ते ही जाएँ बिना बरसे
कि चाँदनी उतरे तो दौड़ती ही रहे
दुनिया के हर अँधेरे कोने तक
प्यार हो तो बस महसूस हो कहा न जाए
ज़िंदा हो तो जिएँ किसी के लिए सिर्फ़ बहा न जाए
क्योंकि बहना प्रक्रिया में शामिल होना नहीं होता
मुर्दा होने की अलामत भी होता है
sar par rakhe hath ke narm sparsh mein
mukhar hoti aboli prarthnayen
jab pighalti hain to drawy mein nahin
sidhe bhap mein badalkar
hawa ko halka bana deti hain
sar ka bojh utar jata hai dekhte dekhte
kanon mein bajte ekant ke udas kshnon mein
jab durniwar bechaini mein badal jata hai maun
tab kisi bachche ki ek kilkari
atma par jharne uDel deti hai
jaise sahla diye hon kisi ne gal
os sani gulab ki nazuk pankhuDiyon se
kathin raston par pair jab bhi thithke
zakhmi himmat ke girne se theek pahle
smriti mein kaundhi ek makhmali muskan
ankhon mein uDne lage ujle kabutar
man saf ho gaya
duaen ain aur ungli pakDakar le chalin
chandni hansi waqt ruka aur ek pal shabe meraj hua
wauk ower mein jeet se zyada
khelkar haar jana adhik labhakari hua
main jab bhi hara dukh se bhari hua
jita to unhin dukhon ka abhari hua
meri samajh parinam ko bhulkar
prakriya par kuch is tarah atki
ki mujhe lahren kinaron se zyada khubsurat lagin
meri kamna rahi
ki hawa mein girti barish ki bunden kabhi zamin ko na chhuen
ki badal uDte hi jayen bina barse
ki chandni utre to dauDti hi rahe
duniya ke har andhere kone tak
pyar ho to bus mahsus ho kaha na jaye
zinda ho to jiyen kisi ke liye sirf baha na jaye
kyonki bahna prakriya mein shamil hona nahin hota
murda hone ki alamat bhi hota hai
sar par rakhe hath ke narm sparsh mein
mukhar hoti aboli prarthnayen
jab pighalti hain to drawy mein nahin
sidhe bhap mein badalkar
hawa ko halka bana deti hain
sar ka bojh utar jata hai dekhte dekhte
kanon mein bajte ekant ke udas kshnon mein
jab durniwar bechaini mein badal jata hai maun
tab kisi bachche ki ek kilkari
atma par jharne uDel deti hai
jaise sahla diye hon kisi ne gal
os sani gulab ki nazuk pankhuDiyon se
kathin raston par pair jab bhi thithke
zakhmi himmat ke girne se theek pahle
smriti mein kaundhi ek makhmali muskan
ankhon mein uDne lage ujle kabutar
man saf ho gaya
duaen ain aur ungli pakDakar le chalin
chandni hansi waqt ruka aur ek pal shabe meraj hua
wauk ower mein jeet se zyada
khelkar haar jana adhik labhakari hua
main jab bhi hara dukh se bhari hua
jita to unhin dukhon ka abhari hua
meri samajh parinam ko bhulkar
prakriya par kuch is tarah atki
ki mujhe lahren kinaron se zyada khubsurat lagin
meri kamna rahi
ki hawa mein girti barish ki bunden kabhi zamin ko na chhuen
ki badal uDte hi jayen bina barse
ki chandni utre to dauDti hi rahe
duniya ke har andhere kone tak
pyar ho to bus mahsus ho kaha na jaye
zinda ho to jiyen kisi ke liye sirf baha na jaye
kyonki bahna prakriya mein shamil hona nahin hota
murda hone ki alamat bhi hota hai
स्रोत :
रचनाकार : जावेद आलम ख़ान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.