उसके ईश्वर ने उसे कुछ नहीं दिया
सिवाय एक चटाई
एक ओढ़ना
और एक मोमबत्ती के
हालाँकि चटाई के बावजूद
वह थका रहता है
ओढ़ने के बावजूद
सिहरता रहता है,
काँपता रहता है
और मोमबत्ती के बावजूद
उसे कुछ दिखाई नहीं देता
वह अँधेरे में जीता है
ठीक मोमबत्ती की जड़ में
रोशनी में
धरती का वैभव फूल बनकर खिलता है
जिस पर भौरे बनकर मँडराते हैं
श्रीमान आप
उसकी चटाई पर
बनियों की दुकानें हैं
और पुजारियों के जूते
उसके ओढ़ने पर
खटमलों और कीटों का क़ब्ज़ा है
और मोमबत्ती की रोशनी
बदचलन है
जो उसके लिए सिकुड़ जाती है
बाक़ी सबके लिए फैल जाती है
हालाँकि वह ईश्वर से कोई शिकायत नहीं करता
हरदम अपने को कोसता है
हरदम अपना ही माथा ठोकता है
वह मंदिर के बाहर बैठकर सोचता है
भीतर ईश्वर
फूलों और मिठाइयों से दबा
घँटियों की ताल में अपना सुर मिलाकर रोता है।
uske ishvar ne use kuch nahin diya
sivay ek chatai
ek oDhna
aur ek mombatti ke
halanki chatai ke bavjud
wo thaka rahta hai
oDhne ke bavjud
siharta rahta hai, kanpta rahta hai
aur mombatti ke bavjud
use kuch dikhai nahin deta
wo andhere mein jita hai
theek mombatti ki jaD men
roshni men
dharti ka vaibhav phool bankar khilta hai
jis par bhaure bankar manDrate hain
shriman aap
uski chatai par
baniyon ki dukanen hain
aur pujariyon ke jute
uske oDhne par
khatmalon aur kiton ka qabza hai
aur mombatti ki roshni
badachlan hai
jo uske liye sikuD jati hai
baqi sabke liye phail jati hai
halanki wo ishvar se koi shikayat nahin karta
hardam apne ko kosta hai
hardam apna hi matha thokta hai
wo mandir ke bahar baithkar sochta hai
bhitar ishvar
phulon aur mithaiyon se daba
ghantiyon ki taal mein apna sur milakar rota hai.
uske ishvar ne use kuch nahin diya
sivay ek chatai
ek oDhna
aur ek mombatti ke
halanki chatai ke bavjud
wo thaka rahta hai
oDhne ke bavjud
siharta rahta hai, kanpta rahta hai
aur mombatti ke bavjud
use kuch dikhai nahin deta
wo andhere mein jita hai
theek mombatti ki jaD men
roshni men
dharti ka vaibhav phool bankar khilta hai
jis par bhaure bankar manDrate hain
shriman aap
uski chatai par
baniyon ki dukanen hain
aur pujariyon ke jute
uske oDhne par
khatmalon aur kiton ka qabza hai
aur mombatti ki roshni
badachlan hai
jo uske liye sikuD jati hai
baqi sabke liye phail jati hai
halanki wo ishvar se koi shikayat nahin karta
hardam apne ko kosta hai
hardam apna hi matha thokta hai
wo mandir ke bahar baithkar sochta hai
bhitar ishvar
phulon aur mithaiyon se daba
ghantiyon ki taal mein apna sur milakar rota hai.
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.