अब राम अयोध्या नहीं लौटेंगे
ab ram ayodhya nahin lautenge
जब अयोध्या से
राम को मिला था वनवास
उनकी खड़ाऊँ
तख़्त पर बैठ गई थी
लकड़ी की खड़ाऊँ
न धरती का सुख-दुख
अनुभव कर सकती थी
न काँटों की पीड़ा
न रघुकुल रीत को
आगे चला सकती थी खड़ाऊँ
मर्यादा हमेशा
खड़ाऊँ पर चलती है
वह जीते-जागते पाँवों पर
भरोसा नहीं करती
जीवंत पाँवों में
कभी-कभी चक्रवात सुलगते हैं
और चक्रवात
सीधी समतल राहों पर नहीं चलते
सदा रघुवंश की चली आती
मर्यादा को
राम के पाँवों में भी
चक्रवात का शोर
सुन गया होगा
जनक सुता के लिए
स्वर्ण हरिण के पीछे भागते पाँव
काँटों से
लहुलुहान होने वाले पाँव
उस मर्यादा के लिए
भला कैसे रास आ सकते हैं
और राम को
अयोध्या से बाहर
निकाल दिया गया
जंगल में चलने वाले
जिज्ञासु पाँव
जब ठहरते हैं
मर जाते हैं
लेकिन तख़्त पर
चलने की जगह नहीं होती
तख़्त का निर्माण सुशोभित
उस पर बैठने के लिए हुआ है
इसलिए जिज्ञासु पाँव
तख़्त पर नहीं बैठते
यदि बैठते भी हैं तो
खड़ाऊँ बनकर
अयोध्या में आज भी
राम नहीं हैं
काठ की खड़ाऊँ हैं
जब तक दरबार में
और मंदिरों में
उसके खड़ाऊँ हैं
तब तक राम वनवासी रहेंगे
काठ की चरणपादुका की
कोई उम्र नहीं होती
मरी हुई वस्तु भी
कोई चीज़ नहीं होती
चरणपादुका की
पूजा करती आँखें
राम के
काँटों से बिंधे पाँव नहीं देख सकतीं
पूजा की और शर्त भी है
कि माथा केवल खड़े पाँवों पर ही
टिकता है
और स्थिर पाँव चरणपादुका कहलाते हैं
चरणपादुका की पूजा करने वाले
चलते पाँवों के शत्रु होते हैं
जो चलते पाँव
चरणपादुकाओं के आगे नहीं रुकते
जो जगमगाते रोशन माथे
चरणपादुका के सामने नहीं झुकते
काट दिए जाते हैं उनके पाँव
उनके माथे के ख़ून के तिलक
चरणपादुका पर लगाए जाते हैं
जब तक चलते पाँवों को
चरणपादुकाओं का श्राप लगा है
राम अयोध्या नहीं आएँगे
राम अयोध्या आएँगे तो
उन्हें अपने चलते पाँव काटकर
चरणपादुकाएँ बनाने पड़ेंगे
चरणपादुका वाले राम
भीलनी के जूठे बेर नहीं चख सकते
जनक-सुता के लिए
हरिण का पीछा नहीं करेंगे
जिस राम ने अहिल्या को स्पर्श करके
सुरजीत किया
चरणपादुका पहनकर वही राम
जनक- सुता की अग्नि परीक्षा लेंगे।
यह रघुवंश की मर्यादा है
और मर्यादा पुरुषोत्तम राम
उसके दास हैं
लेकिन राम
जिज्ञासु पाँवों वाले राम
तब तक अयोध्या नहीं लौटेंगे
जब तक
लकड़ी की चरणपादुका में से
हरी पत्तियाँ नहीं फूटतीं।
jab ayodhya se
ram ko mila tha wanwas
unki khaDaun
takht par baith gai thi
lakDi ki khaDaun
na dharti ka sukh dukh
anubhaw kar sakti thi
na kanton ki piDa
na raghukul reet ko
age chala sakti thi khaDaun
maryada hamesha
khaDaun par chalti hai
wo jite jagte panwon par
bharosa nahin karti
jiwant panwon mein
kabhi kabhi chakrawat sulagte hain
aur chakrawat
sidhi samtal rahon par nahin chalte
sada raghuwansh ki chali aati
maryada ko
ram ke panwon mein bhi
chakrawat ka shor
sun gaya hoga
janak suta ke liye
swarn harin ke pichhe bhagte panw
kanton se
lahuluhan hone wale panw
us maryada ke liye
bhala kaise ras aa sakte hain
aur ram ko
ayodhya se bahar
nikal diya gaya
jangal mein chalne wale
jigyasu panw
jab thahrte hain
mar jate hain
lekin takht par
chalne ki jagah nahin hoti
takht ka nirman sushobhit
us par baithne ke liye hua hai
isliye jigyasu panw
takht par nahin baithte
yadi baithte bhi hain to
khaDaun bankar
ayodhya mein aaj bhi
ram nahin hain
kath ki khaDaun hain
jab tak darbar mein
aur mandiron mein
uske khaDaun hain
tab tak ram wanwasi rahenge
kath ki charanpaduka ki
koi umr nahin hoti
mari hui wastu bhi
koi cheez nahin hoti
charanpaduka ki
puja karti ankhen
ram ke
kanton se bindhe panw nahin dekh saktin
puja ki aur shart bhi hai
ki matha kewal khaDe panwon par hi
tikta hai
aur sthir panw charanpaduka kahlate hain
charanpaduka ki puja karne wale
chalte panwon ke shatru hote hain
jo chalte panw
charanpadukaon ke aage nahin rukte
jo jagmagate roshan mathe
charanpaduka ke samne nahin jhukte
kat diye jate hain unke panw
unke mathe ke khoon ke tilak
charanpaduka par lagaye jate hain
jab tak chalte panwon ko
charanpadukaon ka shrap laga hai
ram ayodhya nahin ayenge
ram ayodhya ayenge to
unhen apne chalte panw katkar ch
ranpadukayen banane paDenge
charanpaduka wale ram
bhilni ke juthe ber nahin chakh sakte
janakasuta ke liye
harin ka pichha nahin karenge
jis ram ne ahilya ko sparsh karke
surjit kiya
charanpaduka pahankar wahi ram
janak suta ki agni pariksha lenge
ye raghuwans ki maryada hai
aur maryada purushottam ram
uske das hain
lekin ram
jigyasu panwon wale ram
tab tak ayodhya nahin lautenge
jab tak
lakDi ki charanpaduka mein se
hari pattiyan nahin phuttin
jab ayodhya se
ram ko mila tha wanwas
unki khaDaun
takht par baith gai thi
lakDi ki khaDaun
na dharti ka sukh dukh
anubhaw kar sakti thi
na kanton ki piDa
na raghukul reet ko
age chala sakti thi khaDaun
maryada hamesha
khaDaun par chalti hai
wo jite jagte panwon par
bharosa nahin karti
jiwant panwon mein
kabhi kabhi chakrawat sulagte hain
aur chakrawat
sidhi samtal rahon par nahin chalte
sada raghuwansh ki chali aati
maryada ko
ram ke panwon mein bhi
chakrawat ka shor
sun gaya hoga
janak suta ke liye
swarn harin ke pichhe bhagte panw
kanton se
lahuluhan hone wale panw
us maryada ke liye
bhala kaise ras aa sakte hain
aur ram ko
ayodhya se bahar
nikal diya gaya
jangal mein chalne wale
jigyasu panw
jab thahrte hain
mar jate hain
lekin takht par
chalne ki jagah nahin hoti
takht ka nirman sushobhit
us par baithne ke liye hua hai
isliye jigyasu panw
takht par nahin baithte
yadi baithte bhi hain to
khaDaun bankar
ayodhya mein aaj bhi
ram nahin hain
kath ki khaDaun hain
jab tak darbar mein
aur mandiron mein
uske khaDaun hain
tab tak ram wanwasi rahenge
kath ki charanpaduka ki
koi umr nahin hoti
mari hui wastu bhi
koi cheez nahin hoti
charanpaduka ki
puja karti ankhen
ram ke
kanton se bindhe panw nahin dekh saktin
puja ki aur shart bhi hai
ki matha kewal khaDe panwon par hi
tikta hai
aur sthir panw charanpaduka kahlate hain
charanpaduka ki puja karne wale
chalte panwon ke shatru hote hain
jo chalte panw
charanpadukaon ke aage nahin rukte
jo jagmagate roshan mathe
charanpaduka ke samne nahin jhukte
kat diye jate hain unke panw
unke mathe ke khoon ke tilak
charanpaduka par lagaye jate hain
jab tak chalte panwon ko
charanpadukaon ka shrap laga hai
ram ayodhya nahin ayenge
ram ayodhya ayenge to
unhen apne chalte panw katkar ch
ranpadukayen banane paDenge
charanpaduka wale ram
bhilni ke juthe ber nahin chakh sakte
janakasuta ke liye
harin ka pichha nahin karenge
jis ram ne ahilya ko sparsh karke
surjit kiya
charanpaduka pahankar wahi ram
janak suta ki agni pariksha lenge
ye raghuwans ki maryada hai
aur maryada purushottam ram
uske das hain
lekin ram
jigyasu panwon wale ram
tab tak ayodhya nahin lautenge
jab tak
lakDi ki charanpaduka mein se
hari pattiyan nahin phuttin
- पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 294)
- संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
- रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
- प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
- संस्करण : 2014
संबंधित विषय
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.