ये बदन पर गालियों का लेप है
अब नहाने का वक़्त हुआ
एक मर्द देर रात नशे में है
वह खाने की थाली को लात मारता है
वह औरत को देख करता है आँखें लाल
वह बच्चों को बड़ी आवाज़ में सो जाने का आदेश देता है
बच्चों के कमरे में शांत-सी हलचल है
बच्चों की आँखें दीवार के पार देख रही हैं
बच्चों के कान दीवार से झरती आवाज़ पर सिमट रहे हैं
आदमी औरत की रात है
बेमतलब के नशे वाले विवाद हैं
औरत चीख़ नहीं रही—बच्चों की ख़ातिर
आदमी दाग़ रहा उसके हाथ
दाल में उँगली डुबा उसे पानी बता रहा
ये हरामज़ादी ही रहेगी... बता रहा
रात के काले पन्ने पर घोर सन्नाटा है
यह अदालत के सोने का समय
पुलिस के सोने का समय
न्याय के सोने का समय है
यह आदम के जाग की रात है
सब हरामज़ादी औरत की छाती पर
दाँत गड़ाए सो रहे हैं
ये कभी नहीं खुलने वाली नींद है
ये कभी नहीं ख़त्म होने वाली रात है
किसी ने देह का पैसा चुकाया
किसी ने हक़
रात हरामज़ादी औरत है
तुम उसी हरामज़ादी के जने...
ye badan par galiyon ka lep hai
ab nahane ka waqt hua
ek mard der raat nashe mein hai
wo khane ki thali ko lat marta hai
wo aurat ko dekh karta hai ankhen lal
wo bachchon ko baDi awaz mein so jane ka adesh deta hai
bachchon ke kamre mein shant si halchal hai
bachchon ki ankhen diwar ke par dekh rahi hain
bachchon ke kan diwar se jharti awaz par simat rahe hain
adami aurat ki raat hai
bematlab ke nashe wale wiwad hain
aurat cheekh nahin rahi—bachchon ki khatir
adami dagh raha uske hath
dal mein ungli Duba use pani bata raha
ye haramzadi hi rahegi bata raha
raat ke kale panne par ghor sannata hai
ye adalat ke sone ka samay
police ke sone ka samay
nyay ke sone ka samay hai
ye aadam ke jag ki raat hai
sab haramzadi aurat ki chhati par
dant gaDaye so rahe hain
ye kabhi nahin khulne wali neend hai
ye kabhi nahin khatm hone wali raat hai
kisi ne deh ka paisa chukaya
kisi ne haq
raat haramzadi aurat hai
tum usi haramzadi ke jane
ye badan par galiyon ka lep hai
ab nahane ka waqt hua
ek mard der raat nashe mein hai
wo khane ki thali ko lat marta hai
wo aurat ko dekh karta hai ankhen lal
wo bachchon ko baDi awaz mein so jane ka adesh deta hai
bachchon ke kamre mein shant si halchal hai
bachchon ki ankhen diwar ke par dekh rahi hain
bachchon ke kan diwar se jharti awaz par simat rahe hain
adami aurat ki raat hai
bematlab ke nashe wale wiwad hain
aurat cheekh nahin rahi—bachchon ki khatir
adami dagh raha uske hath
dal mein ungli Duba use pani bata raha
ye haramzadi hi rahegi bata raha
raat ke kale panne par ghor sannata hai
ye adalat ke sone ka samay
police ke sone ka samay
nyay ke sone ka samay hai
ye aadam ke jag ki raat hai
sab haramzadi aurat ki chhati par
dant gaDaye so rahe hain
ye kabhi nahin khulne wali neend hai
ye kabhi nahin khatm hone wali raat hai
kisi ne deh ka paisa chukaya
kisi ne haq
raat haramzadi aurat hai
tum usi haramzadi ke jane
स्रोत :
रचनाकार : शैलजा पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.