आज तक पी हुई
प्यास रिसती है
देह के पोर-पोर से
और भर जाता है वातावरण
मिट्टी की गंध से
आज तक जमा किए गए अक्षर
अपने-आप ही
आँचल से ढुलते हैं
और सदियों की व्यथा-कथाओं के
गवाह बनते हैं
आज तक गले से लगाया भय
छोड़ जाता है
भय-चकित होकर
और गद्गद् हुआ मन
ख़ाली होता है गहरे कहीं भीतर
आज तक गूँथ कर रखे फूल
सूखे-शुष्क होकर
झड़ रहे हैं पंखुड़ी-पंखुड़ी
वे जैसे पूरे समय को ही
निर्माल्य बना जाते हैं
आज तक रोप कर रखे हुए
बीज फूट रहे हैं लपटों की धधक से
कठिन कवच को भेद कर
और लहलहाती कोंपल का गीत
आता है उग कर।
aaj tak pi hui
pyaas risti hai
deh ke por por se
aur bhar jata hai vatavarn
mitti ki gandh se
aaj tak jama kiye gaye akshar
apne aap hi
anchal se Dhulte hain
aur sadiyon ki vyatha kathaon ke
gavah bante hain
aaj tak gale se lagaya bhay
chhoD jata hai
bhay chakit hokar
aur gadgad hua man
khali hota hai gahre kahin bhitar
aaj tak goonth kar rakhe phool
sukhe shushk hokar
jhaD rahe hain pankhuDi pankhuDi
ve jaise pure samay ko hi
nirmaly bana jate hain
aaj tak rop kar rakhe hue
beej phoot rahe hain lapton ki dhadhak se
kathin kavach ko bhed kar
aur lahlahati konpal ka geet
aata hai ug kar.
aaj tak pi hui
pyaas risti hai
deh ke por por se
aur bhar jata hai vatavarn
mitti ki gandh se
aaj tak jama kiye gaye akshar
apne aap hi
anchal se Dhulte hain
aur sadiyon ki vyatha kathaon ke
gavah bante hain
aaj tak gale se lagaya bhay
chhoD jata hai
bhay chakit hokar
aur gadgad hua man
khali hota hai gahre kahin bhitar
aaj tak goonth kar rakhe phool
sukhe shushk hokar
jhaD rahe hain pankhuDi pankhuDi
ve jaise pure samay ko hi
nirmaly bana jate hain
aaj tak rop kar rakhe hue
beej phoot rahe hain lapton ki dhadhak se
kathin kavach ko bhed kar
aur lahlahati konpal ka geet
aata hai ug kar.
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : शरयू असोलकर
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.