न्याय का फ़ानूस बहती हवा का बग़लगीर है
डरा हुआ क़ाज़ी सौंप आया है
दरबारे-ख़ास को ईमान की पोटली
धीरे-धीरे बुझते जा रहे हैं
न्यायालय की चौखट पर रखे उम्मीदों के चिराग़
हवा में घुल रहा है उन्माद का ज़हर
दरबारी राज-काज को छोड़कर
एक सुर में अलाप रहे हैं धर्म का राग
वक़्त की छाती पर एक बीमार पीढ़ी खड़ी है
जो राजा को ईश्वर से बड़ा मानती है
और राजा ईश्वर को कठघरे में खड़ा करके
अपनी गर्व से तनी भृकुटी के पीछे
छिपाए हुए है एक कुटिल मुस्कान
सामने खड़ी मस्जिद को देखते ही
पंक्चर जोड़ते आबिद के हाथ
चलते-चलते अचानक रुक जाते हैं
और टायर ट्यूब की जगह
टटोलने लगते हैं अपनी आत्मा के छेद
उसके ज़ेहन में तैर रही है वह लड़की
जिसने हिजाब उतारने से कर दिया है साफ़ इंकार
और बाख़ुशी क़ुबूल किया है कॉलेज निकाला
जिस देश में शुक सारिका पढ़ते हो
यत्र नार्यस्तु पूज्यते के मंत्र
वहाँ बेटियों का पढ़ना ज़रूरी नहीं
देवी बना रहना ज़रूरी है
सबका साथ सबका विकास का जुमला
सबके दरवाज़े खटखटाता है
और स्वीकृति न मिलने पर
अगले ही पल बुल्डोजर घड़घड़ाता है
दुश्मन मुल्क से अपनी ज़मीन गँवाकर
पूँछ दबाए बैठा फ़र्ज़ी शेर
डेढ़ पसली लोगों के सीने पर बुलडोजर चढ़ाकर
अपनी छाती ठोंक रहा है
और इन तमाशों में नाचते जमूरों को
लोक मुँह बाए विलोक रहा है
nyay ka fanus bahti hawa ka baghalgir hai
Dara hua qazi saump aaya hai
darbare khas ko iman ki potli
dhire dhire bujhte ja rahe hain
nyayalay ki chaukhat par rakhe ummidon ke chiragh
hawa mein ghul raha hai unmad ka zahr
darbari raj kaj ko chhoDkar
ek sur mein alap rahe hain dharm ka rag
waqt ki chhati par ek bimar piDhi khaDi hai
jo raja ko ishwar se baDa manti hai
aur raja ishwar ko kathaghre mein khaDa karke
apni garw se tani bhrikuti ke pichhe
chhipaye hue hai ek kutil muskan
samne khaDi masjid ko dekhte hi
pankchar joDte aabid ke hath
chalte chalte achanak ruk jate hain
aur tyre tube ki jagah
tatolne lagte hain apni aatma ke chhed
uske zehn mein tair rahi hai wo laDki
jisne hijab utarne se kar diya hai saf inkar
aur bakhushi qubul kiya hai college nikala
jis desh mein shuk sarika paDhte ho
yatra naryastu pujyte ke mantr
wahan betiyon ka paDhna zaruri nahin
dewi bana rahna zaruri hai
sabka sath sabka wikas ka jumla
sabke darwaze khatkhatata hai
aur swikriti na milne par
agle hi pal bulDojar ghaDaghData hai
dushman mulk se apni zamin ganwakar
poonchh dabaye baitha farzi sher
DeDh pasli logon ke sine par bulDojar chaDhakar
apni chhati thonk raha hai
aur in tamashon mein nachte jamuron ko
lok munh baye wilok raha hai
nyay ka fanus bahti hawa ka baghalgir hai
Dara hua qazi saump aaya hai
darbare khas ko iman ki potli
dhire dhire bujhte ja rahe hain
nyayalay ki chaukhat par rakhe ummidon ke chiragh
hawa mein ghul raha hai unmad ka zahr
darbari raj kaj ko chhoDkar
ek sur mein alap rahe hain dharm ka rag
waqt ki chhati par ek bimar piDhi khaDi hai
jo raja ko ishwar se baDa manti hai
aur raja ishwar ko kathaghre mein khaDa karke
apni garw se tani bhrikuti ke pichhe
chhipaye hue hai ek kutil muskan
samne khaDi masjid ko dekhte hi
pankchar joDte aabid ke hath
chalte chalte achanak ruk jate hain
aur tyre tube ki jagah
tatolne lagte hain apni aatma ke chhed
uske zehn mein tair rahi hai wo laDki
jisne hijab utarne se kar diya hai saf inkar
aur bakhushi qubul kiya hai college nikala
jis desh mein shuk sarika paDhte ho
yatra naryastu pujyte ke mantr
wahan betiyon ka paDhna zaruri nahin
dewi bana rahna zaruri hai
sabka sath sabka wikas ka jumla
sabke darwaze khatkhatata hai
aur swikriti na milne par
agle hi pal bulDojar ghaDaghData hai
dushman mulk se apni zamin ganwakar
poonchh dabaye baitha farzi sher
DeDh pasli logon ke sine par bulDojar chaDhakar
apni chhati thonk raha hai
aur in tamashon mein nachte jamuron ko
lok munh baye wilok raha hai
स्रोत :
रचनाकार : जावेद आलम ख़ान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.