और चाहिए?
बस?
पेट भर गया?
उसके बाद दुबारा माँगा नहीं गया
आधे पेट हाथ धोना
जठर अग्नि को और प्रबल कर देता है
ख़ालीपन की जगह अनल का सान्निध्य
जीवन का आरंभ था
यथा आरंभ तथा अंत
अंततः
आदत बन गई
आवश्यकताएँ
कब मूक बन गईं
प्रतिरोध करने का गुण
सिंक में रोज़ जूठन के साथ बह जाता
कैसा दुर्लभ जीवन था
जब बरसात में छतरी और
ठंड में स्वेटर नहीं थी
जीवन
अब शायद अंतिम सोपान पर है
क्या कोई आवश्यकता ही नहीं रही?
जहाँ खड़ी हूँ
बस!
कुछ नहीं चाहिए...
aur chahiye?
bus?
pet bhar gaya?
uske baad dobara manga nahin gaya
aadhe pet haath dhona
jathar agni ko aur prabal kar deta hai
khalipan ki jagah anal ka sannidhy
jivan ka arambh tha
yatha arambh tatha ant
antat
aadat ban gai
avashyaktayen
kab mook ban gain
pratirodh karne ka gun
sink mein roz juthan ke saath bah jata
kaisa durlabh jivan tha
jab barsat mein chhatri aur
thanD mein sweater nahin thi
jivan
ab shayad antim sopan par hai
kya koi avashyakta hi nahin rahi?
jahan khaDi hoon
bus!
kuch nahin chahiye॥
aur chahiye?
bus?
pet bhar gaya?
uske baad dobara manga nahin gaya
aadhe pet haath dhona
jathar agni ko aur prabal kar deta hai
khalipan ki jagah anal ka sannidhy
jivan ka arambh tha
yatha arambh tatha ant
antat
aadat ban gai
avashyaktayen
kab mook ban gain
pratirodh karne ka gun
sink mein roz juthan ke saath bah jata
kaisa durlabh jivan tha
jab barsat mein chhatri aur
thanD mein sweater nahin thi
jivan
ab shayad antim sopan par hai
kya koi avashyakta hi nahin rahi?
jahan khaDi hoon
bus!
kuch nahin chahiye॥
स्रोत :
रचनाकार : जुवि शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.