मेरे अनेक दुश्मन
पर पता नहीं उन्हें यह बात!
जब उन्हें मारता हूँ
उन्हें पता नहीं चलता कि
मारे जा चुके हैं
मैं उनका क़ातिल
और वे सामने से गुज़रते हैं
सकुशल अपार
मैं उनकी दुनिया में छुप गया हूँ
इस तरह बचा रहा
मैंने भी ख़ून किया कि कोई
मेरे बारे में सोच तक नहीं सकता
मैं जब मरूँगा
मरना मेरे लिए वही होगा जिससे
बचने के लिए मैंने
जीवन भर इतनी हत्याएँ कीं।
mere anek dushman
par pata nahin unhen ye baat!
jab unhen marta hoon
unhen pata nahin chalta ki
mare ja chuke hain
main unka qatil
aur we samne se guzarte hain
sakushal apar
main unki duniya mein chhup gaya hoon
is tarah bacha raha
mainne bhi khoon kiya ki koi
mere bare mein soch tak nahin sakta
main jab marunga
marna mere liye wahi hoga jisse
bachne ke liye mainne
jiwan bhar itni hatyayen keen
mere anek dushman
par pata nahin unhen ye baat!
jab unhen marta hoon
unhen pata nahin chalta ki
mare ja chuke hain
main unka qatil
aur we samne se guzarte hain
sakushal apar
main unki duniya mein chhup gaya hoon
is tarah bacha raha
mainne bhi khoon kiya ki koi
mere bare mein soch tak nahin sakta
main jab marunga
marna mere liye wahi hoga jisse
bachne ke liye mainne
jiwan bhar itni hatyayen keen
स्रोत :
पुस्तक : जब ख़ुद नहीं था (पृष्ठ 68)
रचनाकार : नवीन सागर
प्रकाशन : कवि प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.