तुम्हारे पास ज्यों-ज्यों आ रहा मैं,
स्वयं से दूर होता जा रहा मैं!
रहे ज्वाला भरे क्षण बीत मेरे,
खिले जिनमें सुरभिमय गीत मेरे,
रहा मैं हार अपनी इस विजय से
रहे अरमान हारे जीत मेरे,
मुझे क्षण-क्षण हँसाती जा रहीं तुम,
हँसी मेरी कि रोता जा रहा मैं!
खिलीं तुम दामिनी वन प्राण-घन में,
कि जीवन-लौ जगी तममय मरण में,
कहाँ वह चाँदनी छिप-सी गई पर
कि जिसकी छाँह में सोया तपन में,
प्रभा अपनी अमित बरसा रहीं तुम,
नयन की ज्योति खोता जा रहा मैं!
चलीं उद्दाम तुम निर्भर लहर वन,
गिरा तट पर खड़ा मेरा विटप मन,
लता पर छूट वह मुझसे गई क्यों
बने वरदान जिसके बाहु-बंधन,
कहीं मुझको बहाती जा रहीं तुम,
मगर निज को डुबोता जा रहा मैं!
लिए मधु तुम मिलीं जीवन-डगर में,
उषा-सी रात के अंतिम प्रहर में,
परस से पर मिटी क्यों जलपरी वह
मिली जो स्वप्न की पहली लहर में,
मुझे बेसुध बनाती जा रहीं तुम,
मगर सुधि-भार होता जा रहा मैं!
तुम्हारे पास ज्यों-ज्यों आ रहा मैं,
स्वयं से दूर होता जा रहा मैं!
tumhare paas jyon jyon aa raha main,
svayan se door hota ja raha main!
rahe jvala bhare kshan beet mere,
khile jinmen surabhimay geet mere,
raha main haar apni is vijay se
rahe arman hare jeet mere,
mujhe kshan kshan hansati ja rahin tum,
hansi meri ki rota ja raha main!
khilin tum damini van praan ghan mein,
ki jivan lau jagi tammay maran mein,
kahan wo chandni chhip si gai par
ki jiski chhaanh mein soya tapan mein,
prabha apni amit barsa rahin tum,
nayan ki jyoti khota ja raha main!
chalin uddaam tum nirbhar lahr van,
gira tat par khaDa mera vitap man,
lata par chhoot wo mujhse gai kyon
bane vardan jiske bahu bandhan,
kahin mujhko bahati ja rahin tum,
magar nij ko Dubota ja raha main!
liye madhu tum milin jivan Dagar mein,
usha si raat ke antim prahar mein,
paras se par miti kyon jalapri wo
mili jo svapn ki pahli lahr mein,
mujhe besudh banati ja rahin tum,
magar sudhi bhaar hota ja raha main!
tumhare paas jyon jyon aa raha main,
svayan se door hota ja raha main!
tumhare paas jyon jyon aa raha main,
svayan se door hota ja raha main!
rahe jvala bhare kshan beet mere,
khile jinmen surabhimay geet mere,
raha main haar apni is vijay se
rahe arman hare jeet mere,
mujhe kshan kshan hansati ja rahin tum,
hansi meri ki rota ja raha main!
khilin tum damini van praan ghan mein,
ki jivan lau jagi tammay maran mein,
kahan wo chandni chhip si gai par
ki jiski chhaanh mein soya tapan mein,
prabha apni amit barsa rahin tum,
nayan ki jyoti khota ja raha main!
chalin uddaam tum nirbhar lahr van,
gira tat par khaDa mera vitap man,
lata par chhoot wo mujhse gai kyon
bane vardan jiske bahu bandhan,
kahin mujhko bahati ja rahin tum,
magar nij ko Dubota ja raha main!
liye madhu tum milin jivan Dagar mein,
usha si raat ke antim prahar mein,
paras se par miti kyon jalapri wo
mili jo svapn ki pahli lahr mein,
mujhe besudh banati ja rahin tum,
magar sudhi bhaar hota ja raha main!
tumhare paas jyon jyon aa raha main,
svayan se door hota ja raha main!
स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 34)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.