बाँधो, मेरे इन प्राणों को रेशम की कड़ियों से बाँधो!
जीवन अब पथ का आकर्षण,
यौवन-ज्वाला का आलिंगन,
सुधि की पुरवाई में बरबस
पर रुके तुम्हारे द्वार चरण,
पथ का हारा मन माँग रहा गतिमय मुस्कानों का बंधन,
मत इस मंगलमय वेला को आँसू की लड़ियों से बाँधो!
रिमझिम से भीग उठा जीवन,
घन के चित्रों से भरे नयन,
रस की प्यासी जलती धरती
भी जाग उठी ले नवजीवन,
अंगारों पर चलने वाला परदेशी क्षण-भर आज रुका,
बाँधो इस जलते जीवन को मधुमय फुलझड़ियों से बाँधो!
छूटा मुझसे मधु का सागर,
छूटे पीछे कुब्जों के स्वर,
क्षण-भर को पर मरु के मग में
लहराए घन, गूँजा अंबर,
मेरे पथ का संगीत बने जिसकी सुधि प्राणों में घिर-घिर,
बाँधो मेरे सूनेपन को गुंजन की घड़ियों से बाँधो!
मरु दिशा-हीन, पथ-हीन विजन,
जिसमें रुक-रुक बहता जीवन,
मन की सुनसान दिशाओं के
बंदी बन जाते शिथिल चरण,
दुर्गम पथ पर चरणों की गति बन जाए यह पावन बंधन,
बाँधो मेरे बिखरे मन को कर-कमल-पँखुरियों से बाँधो।
बाँधो, मेरे इन प्राणों को रेशम की कड़ियों से बाँधो!
bandho, mere in pranon ko resham ki kaDiyon se bandho!
jivan ab path ka akarshan,
yauvan jvala ka alingan,
sudhi ki purvai mein barbas
par ruke tumhare dvaar charan,
path ka hara man maang raha gatimay muskanon ka bandhan,
mat is mangalmay vela ko ansu ki laDiyon se bandho!
rimjhim se bheeg utha jivan,
ghan ke chitron se bhare nayan,
ras ki pyasi jalti dharti
bhi jaag uthi le navjivan,
angaron par chalne vala pardeshi kshan bhar aaj ruka,
bandho is jalte jivan ko madhumay phulajhaDiyon se bandho!
chhuta mujhse madhu ka sagar,
chhute pichhe kubjon ke svar,
kshan bhar ko par maru ke mag mein
lahraye ghan, gunja ambar,
mere path ka sangit bane jiski sudhi pranon mein ghir ghir,
bandho mere sunepan ko gunjan ki ghaDiyon se bandho!
maru disha heen, path heen vijan,
jismen ruk ruk bahta jivan,
man ki sunsan dishaon ke
bandi ban jate shithil charan,
durgam path par charnon ki gati ban jaye ye pavan bandhan,
bandho mere bikhre man ko kar kamal pankhuriyon se bandhon.
bandho, mere in pranon ko resham ki kaDiyon se bangho!

स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 40)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.