जब-जब मुझे ध्यान आया तुम्हारा,
मुझको नई मंज़िलों ने पुकारा!
जीवन रहा राह,
पाथेय पथ-दाह,
शीतल मिली किन्तु
सुधि की सघन छाँह,
जब-जब बना कल्पना-कूल कारा,
मझधार में प्राण तुमने उतारा!
भूली प्रणय-पीर,
रीता नयन-नीर,
संघर्ष बनता गया
द्रौपदी-चीर,
जब हारकर बन गया आत्महारा,
तुमने मुझे चेतना-तीर मारा!
जब स्वप्न का फूल,
मिटकर बना धूल,
जग याद था और
तुमको गया भूल,
तुमने नहीं किंतु मुझको बिसारा,
देती रहीं नित्य गति का सहारा!
तुम तृप्ति बन, प्यास—
में आ गई पास,
था जब लगा टूटने
आत्म-विश्वास,
जब-जब लगे पाँव कसने किनारा,
तुम स्वप्न बन भर गईं शक्ति-धारा!
जब-जब मुझे ध्यान आया तुम्हारा,
मुझको नई मंज़िलों ने पुकारा!
jab jab mujhe dhyaan aaya tumhara,
mujhko nai manzilon ne pukara!
jivan raha raah,
pathey path daah,
shital mili kintu
sudhi ki saghan chhaanh,
jab jab bana kalpana kool kara,
majhdhar mein praan tumne utara!
bhuli prnay peer,
rita nayan neer,
sangharsh banta gaya
draupadi cheer,
jab harkar ban gaya atmhara,
tumne mujhe chetna teer mara!
jab svapn ka phool,
mitkar bana dhool,
jag yaad tha aur
tumko gaya bhool,
tumne nahin kintu mujhko bisara,
deti rahin nitya gati ka sahara!
tum tripti ban, pyaas—
mein aa gai paas,
tha jab laga tutne
aatm vishvas,
jab jab lage paanv kasne kinara,
tum svapn ban bhar gain shakti dhara!
jab jab mujhe dhyaan aaya tumhara,
mujhko nai manzilon ne pukara!
jab jab mujhe dhyaan aaya tumhara,
mujhko nai manzilon ne pukara!
jivan raha raah,
pathey path daah,
shital mili kintu
sudhi ki saghan chhaanh,
jab jab bana kalpana kool kara,
majhdhar mein praan tumne utara!
bhuli prnay peer,
rita nayan neer,
sangharsh banta gaya
draupadi cheer,
jab harkar ban gaya atmhara,
tumne mujhe chetna teer mara!
jab svapn ka phool,
mitkar bana dhool,
jag yaad tha aur
tumko gaya bhool,
tumne nahin kintu mujhko bisara,
deti rahin nitya gati ka sahara!
tum tripti ban, pyaas—
mein aa gai paas,
tha jab laga tutne
aatm vishvas,
jab jab lage paanv kasne kinara,
tum svapn ban bhar gain shakti dhara!
jab jab mujhe dhyaan aaya tumhara,
mujhko nai manzilon ne pukara!
स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 50)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.