द्वार-द्वार पर अमंद यह दिया जले!
मुक्त द्वार हों न बंद यह दिया जले!
सत्य बन असत्-प्रवाह में,
बन प्रकाश तिमिर-राह में,
अमृत-धार मृत्यु-दाह में,
नव-नव रस-रूप-गंध-स्पर्श-शब्द ले
प्राण-प्राण बीच यह अमर प्रभा पले!
क्राँति को सतत पुकारता,
शाँति को मगर दुलारता,
स्वप्न सत्य के सँवारता,
विश्व-हित नवीन मुक्ति का सँदेश ले
किरण-पंख पर प्रकाश-विहग उड़ चले!
दीप दीप से गले लगें,
एक रंग में सभी रँगें,
भेद नींद से सभी जगें,
एक स्नेह-धार कोटि दीप में ढले,
एक हों अनेक अंधकार के छले!
तम की दीवार तोड़कर,
बंध दुर्निवार तोड़कर,
मुक्त ज्योति की उठे लहर,
गृह-वन-गिरि-सिंधु-धार में, गगन तले,
देश-काल से अखंड यह दिया जले!
द्वार-द्वार पर अमंद यह दिया जले!
dvaar dvaar par amand ye diya jale!
mukt dvaar hon na band ye diya jale!
satya ban asat pravah mein,
ban parkash timir raah mein,
amrit dhaar mrityu daah mein,
nav nav ras roop gandh sparsh shabd le
praan praan beech ye amar prabha pale!
kranti ko satat pukarta,
shanti ko magar dularta,
svapn satya ke sanvarta,
vishv hit navin mukti ka sandesh le
kiran pankh par parkash vihag uD chale!
deep deep se gale lagen,
ek rang mein sabhi rangen,
bhed neend se sabhi jagen,
ek sneh dhaar koti deep mein Dhale,
ek hon anek andhkar ke chhale!
tam ki divar toDkar,
bandh durnivar toDkar,
mukt jyoti ki uthe lahr,
grih van giri sindhu dhaar mein, gagan tale,
desh kaal se akhanD ye diya jale!
dvaar dvaar par amand ye diya jale!
dvaar dvaar par amand ye diya jale!
mukt dvaar hon na band ye diya jale!
satya ban asat pravah mein,
ban parkash timir raah mein,
amrit dhaar mrityu daah mein,
nav nav ras roop gandh sparsh shabd le
praan praan beech ye amar prabha pale!
kranti ko satat pukarta,
shanti ko magar dularta,
svapn satya ke sanvarta,
vishv hit navin mukti ka sandesh le
kiran pankh par parkash vihag uD chale!
deep deep se gale lagen,
ek rang mein sabhi rangen,
bhed neend se sabhi jagen,
ek sneh dhaar koti deep mein Dhale,
ek hon anek andhkar ke chhale!
tam ki divar toDkar,
bandh durnivar toDkar,
mukt jyoti ki uthe lahr,
grih van giri sindhu dhaar mein, gagan tale,
desh kaal se akhanD ye diya jale!
dvaar dvaar par amand ye diya jale!
स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 57)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.