मधु ऋतु के कुंजों में यौवन की प्यास खिली!
सुधि के सुरभित झोंकों से जीवन-डाल हिली!
किसलय के तन में फूटी मधु की अरुणाई,
बेसुध वन की चेतना उठी ले अँगड़ाई,
मधु-स्वप्न-श्रांत मधुकर-मन को छवि-छाँह मिली,
मधु ऋतु में बनकर तृप्ति विरह की प्यास खिली!
आई सपनों के तट पर स्वर की स्वर्ण-तरी,
नीलांचल में छिप गीतों की परियाँ उतरीं,
गूँजी जीवन के गुंजन से वन-कुंज-गली,
स्वर के वृंतों पर पिक-प्राणों की प्यास खिली!
जागे धरती के दिन के सतरंगे सपने,
कल्पना उठी खोले कंचन के पर अपने,
मधु गंध-अंध मन की जागी साधें पगली,
छवि की लपटों में सुधि-वेला की प्यास खिली!
आईं नर्तन करतीं कविता की किन्नरियाँ,
मधु से पागल खुल गई हृदय की पंखुरियाँ,
मलयज-छंदों में कवि-उर की रस-धार ढली,
केसर के गीतों में पतझर की प्यास खिली!
madhu ritu ke kunjon mein yauvan ki pyaas khili!
sudhi ke surbhit jhonkon se jivan Daal hili!
kislay ke tan mein phuti madhu ki arunai,
besudh van ki chetna uthi le angDai,
madhu svapn shraant madhukar man ko chhavi chhaanh mili,
madhu ritu mein bankar tripti virah ki pyaas khili!
aai sapnon ke tat par svar ki svarn tari,
nilanchal mein chhip giton ki pariyan utrin,
gunji jivan ke gunjan se van kunj gali,
svar ke vrinton par pik pranon ki pyaas khili!
jage dharti ke din ke satrange sapne,
kalpana uthi khole kanchan ke par apne,
madhu gandh andh man ki jagi sadhen pagli,
chhavi ki lapton mein sudhi vela ki pyaas khili!
ain nartan kartin kavita ki kinnariyan,
madhu se pagal khul gai hriday ki pankhuriyan,
malyaj chhandon mein kavi ur ki ras dhaar Dhali,
kesar ke giton mein patjhar ki pyaas khili!

स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 61)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.