मिल गया ज्यों आज जीवन-गीत का भूला चरण है!
ज्योति है निर्माण मेरा,
तृप्ति ज्वाला-गान मेरा,
बन गया है अब तुम्हारा
शाप ही वरदान मेरा,
दीप तुम, मैं हूँ तुम्हारी वर्त्तिका, मुझको तुम्हारा—
स्नेह ही पहला प्रकंपन, स्नेह ही अंतिम शरण है!
लय तुम्हारी प्यास मेरी,
गति बनी हर साँस मेरी,
बन गई स्वर से सुधामय
आज तप्त उसाँस मेरी,
वेणु तुम, मैं हूँ विजन का मुग्ध मृग, मुझको तुम्हारी—
गूँज ही विषमय निमंत्रण, गूँज ही मधुमय मरण है!
खिल गया उल्लास मेरा,
फल गया विश्वास मेरा,
बन गया है स्वप्न का सुख
आज सत्य विलास मेरा,
तुम मधुर मधुमास, मैं हूँ गीत खग, मुझको तुम्हारा—
स्वप्न ही मधु-गीत की सुधि, स्वप्न ही स्वर-विस्मरण है!
रंगमय है प्यार मेरा,
रस भरा संसार मेरा,
है तुम्हारी अर्चना ही
गंध मधु विस्तार मेरा,
तुम किरनमय प्रात, मैं हँसता कमल, मुझको तुम्हारी—
याद ही है नींद बेसुध, याद ही मृदु जागरण है!
मिल गया ज्यों आज जीवन-गीत का भूला चरण है!
mil gaya jyon aaj jivan geet ka bhula charan hai!
jyoti hai nirman mera,
triti jvala gaan mera,
ban gaya hai ab tumhara
shaap hi vardan mera,
deep tum, main hoon tumhari varttika, mujhko tumhara—
sneh hi pahla prkampan, sneh hi antim sharan hai!
lay tumhari pyaas meri,
gati bani har saans meri,
ban gai svar se sudhamay
aaj tapt usaans meri,
venu tum, main hoon vijan ka mugdh mrig, mujhko tumhari—
goonj hi vishamay nimantran, goonj hi madhumay maran hai!
khil gaya ullaas mera,
phal gaya vishvas mera,
ban gaya hai svapn ka sukh
aaj satya vilas mera,
tum madhur madhumas, main hoon geet khag, mujhko tumhara—
svapn hi madhu geet ki sudhi, svapn hi svar vismran hai!
rangmay hai pyaar mera,
ras bhara sansar mera,
hai tumhari archna hi
gandh madhu vistar mera,
tum kiranmay praat, main hansta kamal, mujhko tumhari—
yaad hi hai neend besudh, yaad hi mridu jagran hai!

स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 31)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.