जब तुम्हें देख लेता हूँ मैं!
खुल जाते शत-शत रोम-नयन,
जग जाता प्राणों में गुंजन,
मतवाली सुरभि-हिलोरों से
बेसुध बन जाते हैं कण-कण,
मन की कलियाँ खिल जाती हैं
जब तुम्हें देख लेता हूँ मैं!
बह जाता लहरों में जीवन,
रँग उठते किरनों से लोचन,
प्राणों को सिहरा देता है
सुरभित साँसों का मलय-पवन,
उर की डालें हिल जाती हैं
जब तुम्हें देख लेता हूँ मैं!
गति से भर जाते शिथिल चरण,
खुल जाते जग के जड़-बंधन,
स्वरमय बन जाता मौन-मिलन
जीवन फिर बन जाता जीवन,
खोई दुनिया मिल जाती है,
जब तुम्हें देख लेता हूँ मैं!
jab tumhein dekh leta hoon main!
khul jate shat shat rom nayan,
jag jata pranon mein gunjan,
matvali surbhi hiloron se
besudh ban jate hain kan kan,
man ki kaliyan khil jati hain
jab tumhein dekh leta hoon main!
wo jata lahron mein jivan,
rang utte kirnon se lochan,
pranon ko sihra deta hai
surbhit sanson ka malay pavan,
ur ki Dalen hil jati hain
jab tumhein dekh leta hoon main!
gati se bhar jate shithil charan,
khul jate jag ke jaD bandhan,
svarmay ban jata maun milan
jivan phir ban jata jivan,
khoi duniya mil jati hai,
jab tumhein dekh leta hoon main!
jab tumhein dekh leta hoon main!
khul jate shat shat rom nayan,
jag jata pranon mein gunjan,
matvali surbhi hiloron se
besudh ban jate hain kan kan,
man ki kaliyan khil jati hain
jab tumhein dekh leta hoon main!
wo jata lahron mein jivan,
rang utte kirnon se lochan,
pranon ko sihra deta hai
surbhit sanson ka malay pavan,
ur ki Dalen hil jati hain
jab tumhein dekh leta hoon main!
gati se bhar jate shithil charan,
khul jate jag ke jaD bandhan,
svarmay ban jata maun milan
jivan phir ban jata jivan,
khoi duniya mil jati hai,
jab tumhein dekh leta hoon main!
स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 33)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.