कभी कुछ याद करता हूँ
कभी कुछ याद आता है
कोई गुज़रा हुआ लम्हा
कभी आकर सताता है
कभी आईना बनके कोई
आईना दिखाता है
कभी यादों के झुरमुट में
कोई मुझको बुलाता है
मैं इन यादों के झुरमुट में
हमेशा खो-सा जाता हूँ
मगर फिर यूँ भी होता है
मैं सब कुछ भूल जाता हूँ
कभी एक रात के टूटे हुए
ख्वाबों को मैं
चुनता हूँ, बुनता हूँ
उन्हें दिनभर सजाता हूँ
उन्हें फिर से जगाता हूँ
वो सारे ख़्वाब मेरे
ज़ेहन को बेदार करते हैं
हज़ारों रंग भरते हैं
कभी बीती हुई रातों के
अफ़साने सुनाते हैं
कभी गुज़रे हुए हर पल को
मेरे पास लाते हैं
कभी तुमको बुलाते हैं
कभी तुमसे मिलाते हैं
हो कोई रात मैं हर रात के
आँचल में बस तुमको ही पाता हूँ
मगर फिर यूँ भी होता है
मैं सब कुछ भूल जाता हूँ
कभी ये सोचता हूँ कुछ हसीं लम्हे गुज़ारूँ मैं
किसी को याद करके चाँद को नीचे उतारूँ मैं
किसी की ज़ुल्फ़ छेड़ूँ और गेसू खुद सँवारुं मैं
मोहब्बत में वो मुझसे जीत जाए और हारूँ मैं
यही सब सोच के एक एक क़दम आगे बढ़ाता हूँ
मगर फिर यूँ भी होता है
मैं सब कुछ भूल जाता हूँ
कभी सूरज की तपती धूप में भी रात करता हूँ
कभी मैं चाँद की लौ में तुम्हीं से बात करता हूँ
कभी मैं पाके तुमको फिर तुम्ही में खो-सा जाता हूँ
कभी जब तुम नहीं मिलते मैं तन्हा लौट आता हूँ
मैं तुमसे क्या कहूँ फिर हर क़दम तुमको ही पाता हूँ
मगर फिर यूँ भी होता है
मैं सब कुछ भूल जाता हूँ
kabhi kuch yaad karta hoon
kabhi kuch yaad aata hai
koi guzra hua lamha
kabhi aakar satata hai
kabhi aina banke koi
aina dikhata hai
kabhi yadon ke jhurmut mein
koi mujhko bulata hai
main in yadon ke jhurmut mein
hamesha kho sa jata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi ek raat ke tute hue
khvabon ko main
chunta hoon, bunta hoon
unhen dinbhar sajata hoon
unhen phir se jagata hoon
wo sare khvaab mere
zehn ko bedar karte hain
hazaron rang bharte hain
kabhi biti hui raton ke
afsane sunate hain
kabhi guzre hue har pal ko
mere paas late hain
kabhi tumko bulate hain
kabhi tumse milate hain
ho koi raat main har raat ke
anchal mein bas tumko hi pata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi ye sochta hoon kuch hasin lamhe guzarun main
kisi ko yaad karke chaand ko niche utarun main
kisi ki zulf chheDun aur gesu khud sanvarun main
mohabbat mein wo mujhse jeet jaye aur harun main
yahi sab soch ke ek ek qadam aage baDhata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi suraj ki tapti dhoop mein bhi raat karta hoon
kabhi main chaand ki lau mein tumhi se baat karta hoon
kabhi main pake tumko phir tumhi mein kho sa jata hoon
kabhi jab tum nahin milte main tanha laut aata hoon
main tumse kya kahun phir har qadam tumko hi pata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi kuch yaad karta hoon
kabhi kuch yaad aata hai
koi guzra hua lamha
kabhi aakar satata hai
kabhi aina banke koi
aina dikhata hai
kabhi yadon ke jhurmut mein
koi mujhko bulata hai
main in yadon ke jhurmut mein
hamesha kho sa jata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi ek raat ke tute hue
khvabon ko main
chunta hoon, bunta hoon
unhen dinbhar sajata hoon
unhen phir se jagata hoon
wo sare khvaab mere
zehn ko bedar karte hain
hazaron rang bharte hain
kabhi biti hui raton ke
afsane sunate hain
kabhi guzre hue har pal ko
mere paas late hain
kabhi tumko bulate hain
kabhi tumse milate hain
ho koi raat main har raat ke
anchal mein bas tumko hi pata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi ye sochta hoon kuch hasin lamhe guzarun main
kisi ko yaad karke chaand ko niche utarun main
kisi ki zulf chheDun aur gesu khud sanvarun main
mohabbat mein wo mujhse jeet jaye aur harun main
yahi sab soch ke ek ek qadam aage baDhata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
kabhi suraj ki tapti dhoop mein bhi raat karta hoon
kabhi main chaand ki lau mein tumhi se baat karta hoon
kabhi main pake tumko phir tumhi mein kho sa jata hoon
kabhi jab tum nahin milte main tanha laut aata hoon
main tumse kya kahun phir har qadam tumko hi pata hoon
magar phir yoon bhi hota hai
main sab kuch bhool jata hoon
स्रोत :
रचनाकार : अनु रिज़वी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.