एक राजा था जिसकी रानी का नाम था बिंदुलिया। रानी बिंदुलिया अपूर्व सुंदर ही नहीं अपितु व्यवहार में भी अत्यंत मधुर थी। राजा और रानी के बीच परस्पर अगाध प्रेम था। दोनों के परस्पर प्रेम के चर्चे दूर-दूर तक थे। दोनों आपस में विचार-विमर्श करके राजकाज चलाते थे। जिससे समूचे राज्य में सुख-शांति व्याप्त थी।
रानी बिंदुलिया के राज्य में एक बुढ़िया रहती थी। वह देखने में सीधी-सादी और भोली-भाली दिखाई पड़ती थी किंतु थी वह दुष्ट और चालाक प्रवृत्ति की। वह झाड़-फूँक, जादू-टोना तथा डायन कर्म करती थी। एक दिन बुढ़िया राजा के महल में पहुँची। बुढ़िया ने रानी से मिलने की इच्छा प्रकट की। उस समय रानी बिंदुलिया स्नान की तैयारी कर रही थी। अत: उसने उस समय मिलने से मनाकर दिया। बुढ़िया को लगा कि रानी जानबूझ कर उसकी अवहेलना कर रही है। वह दुष्ट प्रकृति की तो थी ही, उसने रानी से बदला लेने का निश्चय किया।
बुढ़िया ने अपने घर लौटकर मंत्र पढ़कर अपने पालतू साँप को रानी बिंदुलिया के पास भेजा ताकि साँप उसे डँस ले और वह साँप के विष के प्रभाव से बारह पहर तक गहरी नींद में सोती रहे। साँप रानी बिंदुलिया के महल में पहुँचा और उसने रानी को डँस लिया। विष का प्रभाव होते ही रानी को गहरी नींद आने लगी और वह बारह पहर के लिए सो गई। जब राजा, रानी बिंदुलिया से मिलने आया तब भी रानी नहीं जागी। राजा को क्या पता कि रानी को मंत्र पढ़े सर्प ने डँसा है, राजा ने समझा कि रानी यूँ ही सो रही है। वह अपने महल में लौट गया।
इधर साँप रानी बिंदुलिया को डँसकर वापस बुढ़िया के पास जा पहुँचा। बुढ़िया ने एक और मंत्र पढ़ा और इस बार उसे राजा को डँसने के लिए भेजा। साँप राजा के पास पहुँचा। उस समय वह अपने पलंग पर सो रहा था। साँप राजा के पलंग पर चढ़ गया और लहराता हुआ उसकी छाती पर सवार हो गया। राजा की नींद खुल पाती इसके पहले ही साँप ने राजा को डँस लिया। साँप के डँसने से राजा मर गया। बुढ़िया की यही योजना थी। उसने यही सोच रखा था कि वह पहले रानी को जिससे जब राजा को साँप काटे तो रानी उसके लिए वैद्य न बुला सके। जब साँप के डँसने से राजा मर जाए तो रानी की नींद खुले। रानी बिंदुलिया जब राजा को मृत देखेगी तो उसे बहुत दुख होगा और वह विलाप करती हुई मर जाएगी। इसके बाद बुढ़िया राज्य पर अधिकार कर लेगी और स्वयं रानी बन जाएगी।
बुढ़िया की योजना के अनुसार राजा के मरने के बाद बारह पहर पूरे होने पर रानी बिंदुलिया की नींद खुली। उसे लगा कि वह बहुत देर तक सोती रही और इस बीच राजा आकर चले गए होंगे। वह भागी-भागी राजा के महल में पहुँची। वहाँ जाकर उसने देखा कि राजा सो रहा है। पहले तो रानी बिंदुलिया ने सोचा कि राजा को न जगाया जाए किंतु फिर सोचा कि जगाकर पूछ लेना चाहिए कि राजा उससे मिलने आया था या नहीं। रानी बिंदुलिया ने राजा को जगाने का प्रयास किया किंतु राजा नहीं जगा—
उठ भी जाओ, ऐसे न रूठो
हम जो सोए, तुम क्यों खोए
देखो, तुम्हारे बिन ये हमरे दोनों नैना रोए...
रानी के गीत गाकर जगाने पर भी राजा नहीं जागा। तब रानी को संदेह हुआ। उसने राजा की नाड़ी देखी और चीख़ मारकर गिर पड़ी। राजा मर चुका था। मूर्छित अवस्था में रानी बिंदुलिया को एक स्वप्न दिखा। स्वप्न में उसने देखा कि एक बुढ़िया मंत्र पढ़कर एक साँप को भेज रही है। साँप आता है और पहले रानी बिंदुलिया को डँस लेता है फिर राजा को डँस लेता है। स्वप्न पूरा होते ही रानी बिंदुलिया की मूर्छा टूट गई। चैतन्य होते ही रानी बिंदुलिया ने सिपाहियों को बुलाया और स्वप्न में दिखी बुढ़िया की हुलिया बताकर उसे पकड़ लाने को भेजा। सिपाही चारों दिशाओं में दौड़े और बुढ़िया को ढूँढ़कर पकड़ लाए।
‘सुन बुढ़िया! यदि तूने राजा को अभी इसी सभय जीवित नहीं किया तो मैं तुझे भूमि में जीवित गड़वा दूँगी।’ रानी ने बुढ़िया को डाँटते हुए कहा।
बुढ़िया डर से थर-थर काँपने लगी। उसने तत्काल अपने सर्प को बुलाया। मंत्र को उल्टा पढ़ा और सर्प को आदेश दिया कि वह राजा के शरीर से सारा विष चूस ले। सर्प ने ऐसा ही किया। शरीर से सारा विष निकलते ही राजा जीवित हो उठा।
‘आज मैं बहुत देर तक सोया।’ राजा ने चैतन्य होते ही कहा।
‘नहीं महाराज, आप सोए नहीं थे, इस बुढ़िया ने आपको मार डाला था। यह बुढ़िया डायन है। इसने मुझे भी मारना चाहा।’ रानी बिंदुलिया ने राजा को बताया।
‘मेरे राज्य में किसी डायन के लिए कोई जगह नहीं है। तुमने मुझे और रानी को मारना चाहा अत: तुम्हें मृत्युदंड मिलेगा।’ राजा क्रोधित होकर बोला।
‘नहीं महाराज, मुझे क्षमा करें! अब मैं कभी डायन-कर्म नहीं करूँगी।’ बुढ़िया रोने-गिड़गिड़ाने लगी।
‘जब यह कह रही है कि अब ये कभी डायन-कर्म नहीं करेगी तो इसे क्षमा कर दीजिए, महाराज! यह तो वैसे भी बूढ़ी है, यूँ भी इसके जीवन के दिन कम ही बचे हैं
अत: आप इसे मृत्यु-दंड न दें।’ रानी बिंदुलिया ने उदरतापूर्वक कहा।
‘ठीक है। तुम कहती हो तो इसे क्षमा कर देता हूँ लेकिन यदि इसने फिर कभी किसी के प्रति डायन-कर्म किया तो मैं इसे तत्काल जीवित जलवा दूँगा।’ राजा ने कहा।
‘मैं अब कभी कोई ग़लत काम नहीं करूँगी!’ बुढ़िया ने कहा और वह इस बात से लज्जित हो उठी कि वह जिस रानी बिंदुलिया को दुख पहुँचाकर मार डालना चाहती थी उसी रानी ने उसे जीवनदान दिया।
उस दिन के बाद बुढ़िया ने कभी कोई डायन-कर्म नहीं किया और राजा तथा रानी बिंदुलिया के राज्य में सुख-शांति का वातावरण बना रहा।
ek raja tha jiski rani ka naam tha binduliya. rani binduliya apurv sundar hi nahin apitu vyvahar mein bhi atyant madhur thi. raja aur rani ke beech paraspar agadh prem tha. donon ke paraspar prem ke charche door door tak the. donon aapas mein vichar vimarsh karke rajakaj chalate the. jisse samuche rajya mein sukh shanti vyaapt thi.
rani binduliya ke rajya mein ek buDhiya rahti thi. wo dekhne mein sidhi sadi aur bholi bhali dikhai paDti thi kintu thi wo dusht aur chalak prvritti ki. wo jhaaD phoonk, jadu tona tatha Dayan karm karti thi. ek din buDhiya raja ke mahl mein pahunchi. buDhiya ne rani se milne ki ichchha prakat ki. us samay rani binduliya snaan ki taiyari kar rahi thi. atah usne us samay milne se mana kar diya. buDhiya ko laga ki rani janbujh kar uski avhelana kar rahi hai. wo dusht prkriti ki to thi hi, usne rani se badla lene ka nishchay kiya.
buDhiya ne apne ghar laut kar mantr paDh kar apne paltu saanp ko rani binduliya ke paas bheja taki saanp use Dans le aur wo saanp ke vish ke prabhav se barah pahar tak gahri neend mein soti rahe. saanp rani binduliya ke mahl mein pahuncha aur usne rani ko Dans liya. vish ka prabhav hote hi rani ko gahri neend aane lagi aur wo barah pahar ke liye so gai. jab raja, rani binduliya se milne aaya tab bhi rani nahin jagi. raja ko kya pata ki rani ko mantr paDhe sarp ne Dansa hai, raja ne samjha ki rani yoon hi so rahi hai. wo apne mahl mein laut gaya.
idhar saanp rani binduliya ko Dansakar vapas buDhiya ke paas ja pahuncha. buDhiya ne ek aur mantr paDha aur is baar use raja ko Dansane ke liye bheja. saanp raja ke paas pahuncha. us samay wo apne palang par so raha tha. saanp raja ke palang par chaDh gaya aur lahrata hua uski chhati par savar ho gaya. raja ki neend khul pati iske pahle hi saanp ne raja ko Dans liya. saanp ke Dansane se raja mar gaya. buDhiya ki yahi yojna thi. usne yahi soch rakha tha ki wo pahle rani ko jisse jab raja ko saanp kate to rani uske liye vaidya na bula sake. jab saanp ke Dansane se raja mar jaye to rani ki neend khule. rani binduliya jab raja ko mrit dekhegi to use bahut dukh hoga aur wo vilap karti hui mar jayegi. iske baad buDhiya rajya par adhikar kar legi aur svayan rani ban jayegi.
buDhiya ki yojna ke anusar raja ke marne ke baad barah pahar pure hone par rani binduliya ki neend khuli. use laga ki wo bahut der tak soti rahi aur is beech raja aa kar chale ge honge. wo bhagi bhagi raja ke mahl mein pahunchi. vahan jakar usne dekha ki raja so raha hai. pahle to rani binduliya ne socha ki raja ko na jagaya jaye kintu phir socha ki jagakar poochh lena chahiye ki raja usse milne aaya tha ya nahin. rani binduliya ne raja ko jagane ka prayas kiya kintu raja nahin jaga—
uth bhi jao, aise na rutho
hum jo soe, tum kyon khoe
dekho, tumhare bin ye hamre donon naina roe. . .
rani ke geet gakar jagane par bhi raja nahin jaga. tab rani ko sandeh hua. usne raja ki naDi dekhi aur cheekh markar gir paDi. raja mar chuka tha. murchhit avastha mein rani binduliya ko ek svapn dikha. svapn mein usne dekha ki ek buDhiya mantr paDh kar ek saanp ko bhej rahi hai. saamp aata hai aur pahle rani binduliya ko Dans leta hai phir raja ko Dans leta hai. svapn pura hote hi rani binduliya ki murchha toot gai. chaitanya hote hi rani binduliya ne sipahiyon ko bulaya aur svapn mein dikhi buDhiya ki huliya bata kar use pakaD lane ko bheja. sipahi charon dishaon mein dauDe aur buDhiya ko DhoonDh kar pakaD laye.
‘sun buDhiya! yadi tune raja ko abhi isi sabhay jivit nahin kiya to main tujhe bhumi mein jivit gaDva dungi. ’ rani ne buDhiya ko Dantte hue kaha.
buDhiya Dar se thar thar kanpne lagi. usne tatkal apne sarp ko bulaya. mantr ko ulta paDha aur sarp ko adesh diya ki wo raja ke sharir se sara vish choos le. sarp ne aisa hi kiya. sharir se sara vish nikalte hi raja jivit ho utha.
‘aaj main bahut der tak soya. ’ raja ne chaitanya hote hi kaha.
‘nahin maharaj, aap soe nahin the, is buDhiya ne aapko maar Dala tha. ye buDhiya Dayan hai. isne mujhe bhi marana chaha. ’ rani binduliya ne raja ko bataya.
‘mere rajya mein kisi Dayan ke liye koi jagah nahin hai. tumne mujhe aur rani ko marana chaha atah tumhein mrityudanD milega. ’ raja krodhit hokar bola.
‘nahin maharaj, mujhe kshama karen! ab main kabhi Dayan karm nahin karungi. ’ buDhiya rone giDgiDane lagi.
‘jab ye kah rahi hai ki ab ye kabhi Dayan karm nahin karegi to ise kshama kar dijiye, maharaj! ye to vaise bhi buDhi hai, yoon bhi iske jivan ke din kam hi bache hain
atah aap ise mrityu danD na den. ’ rani binduliya ne udartapurvak kaha.
‘theek hai. tum kahti ho to ise kshama kar deta hoon lekin yadi isne phir kabhi kisi ke prati Dayan karm kiya to main ise tatkal jivit jalva dunga. ’ raja ne kaha.
‘main ab kabhi koi ghalat kaam nahin karungi!’ buDhiya ne kaha aur wo is baat se lajjit ho uthi ki wo jis rani binduliya ko dukh pahunchakar maar Dalna chahti thi usi rani ne use jivandan diya.
us din ke baad buDhiya ne kabhi koi Dayan karm nahin kiya aur raja tatha rani binduliya ke rajya mein sukh shanti ka vatavran bana raha.

स्रोत :
पुस्तक : भारत के आदिवासी क्षेत्रों की लोककथाएं (पृष्ठ 6)
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।