एक बार भगवान ने विचार किया कि मैंने इतनी सुंदर पृथ्वी बनाई है लेकिन उसमें कोई हलचल नहीं है। वह बहुत सूनी प्रतीत होती है। तब भगवान ने सोचा कि कोई ऐसा समझदार जीव बनाया जाए जिससे पृथ्वी सुंदर लगने लगे और रोचक हो जाए। बहुत सोचने-विचारने के बाद भगवान ने एक पुरुष बनाया और उसे पृथ्वी पर भेज दिया। वह पुरुष था नांगा बैगा। इस प्रकार प्रथम बैगा का जन्म हुआ। वह वस्त्रों से अनभिज्ञ था इसलिए वह निर्वस्त्र रहता था और इसीलिए आगे चलकर वह नांगा बैगा देव के रूप में पूज्य हुआ।
नांगा बैगा नदी के किनारे और सघन वन में विचरण करता। कुछ दिन बाद भगवान को याद आया कि उसने एक मनुष्य पृथ्वी पर भेजा था, देखा जाए कि वह क्या कर रहा है? भगवान ने जिज्ञासावश देखा तो उन्हें यह देखकर बहुत आश्चर्य हुआ कि नांगा बैगा उदास घूम रहा है। भगवान नांगा बैगा के पास पहुँचे और उससे उसकी उदासी का कारण पूछा।
‘आपने मुझे यहाँ भेज तो दिया है लेकिन यहाँ ऐसा कोई नहीं है जिससे मैं बातचीत कर सकूँ।’ नंगा बैगा ने भगवान को उलाहना दिया।
इस पर भगवान ने बहुत सोच-विचार कर एक स्त्री की रचना की और उसे पृथ्वी पर भेज दिया। वह स्त्री थी प्रथम बैगा स्त्री अर्थात् नांगा बैगिन। वह भी निर्वस्त्र थी। वह भी जंगल में विचरण करने लगी।
एक दिन अचानक नांगा बैगा ने नांगा वैगिन को देखा तो वह चौंक गया। नांगा बैगिन उसे कुछ-कुछ अपने जैसी ही लगी। बस थोड़ी शारीरिक संरचना भिन्न थी। इससे नांगा बैगा के मन में कौतूहल जागा। इसी प्रकार जब नांगा बैगिन की दृष्टि नांगा बैगा पर पड़ी तो वह भी चकित रह गई। उसके मन में भी जिज्ञासा ने जन्म लिया। अब तक नांगा बैगिन भी अकेली घूमती-भटकती उकता गई थी। दोनों एक-दूसरे के निकट पहुँचे। दोनों ने एक दूसरे से बारे में जानना चाहा। परस्पर चर्चा करने पर पता चला कि दोनों की एक ही कहानी थी। दोनों को भगवान ने बनाकर पृथ्वी पर भेजा था। दोनों साथ-साथ रहने लगे, साथ-साथ घूमने लगे।
कुछ दिन बाद भगवान ने सोचा कि देखा जाए कि नांगा बैगा और नांगा बैगन क्या कर रहे हैं और पृथ्वी पर कोई हलचल हो रही है या नहीं? भगवान ने जब पृथ्वी की ओर देखा तो उन्हें नांगा बैगा और नांगा बैगिन साथ-साथ घूमते तो दिखे किंतु पृथ्वी पर कोई हलचल नहीं दिखी। अब मात्र दो प्राणी कितनी हलचल मचा लेते? भगवान ने बहुत सोच-विचार किया और फिर एक मंत्र पढ़ा और पृथ्वी की ओर फूँक मारी। जैसे ही मंत्र नांगा बैगा और नांगा बैगिन के पास पहुँचा वैसे ही उन दोनों के मन में परस्पर एक-दूसरे के शारीरिक अंगों को छूकर जानने की जिज्ञासा उत्पन्न हुई।
‘हम दोनों एक जैसे दिखाई देते हैं फिर भी हमारे शरीर में कुछ भिन्नता है। मैं चाहता हूँ कि मैं तुम्हारे शरीर को छूकर देखूँ कि यह कैसी भिन्नता है।’ नांगा बैगा ने नांगा बैगिन से कहा।
‘मैं भी यही चाहती हूँ कि मैं तुम्हारे शरीर को छूकर देखूँ।’ नांगा बैगिन ने कहा। दोनों ने एक-दूसरे को छूना और जानना चाहा जिसके परिणामस्वरूप नागा संतति का जन्म हुआ।
कुछ समय बाद भगवान ने नांगा बैगा और नांगा बैगिन का हालचाल जानने के लिए पुन: पृथ्वी की ओर देखा। भगवान यह देखकर बहुत चकित रह गए कि बैगाओं के रूप में पृथ्वी पर मनुष्यों की संख्या बढ़ गई थी और पृथ्वी पर हलचल हो रही थी। पृथ्वी को पूर्ण करने, रोचक बनाने और सुंदर बनाने का भगवान का उद्देश्य इस प्रकार पूरा हो गया।
नांगा बैगा और नांगा बैगिन को बैगा संसार में पितृदेव और मातृदेवी का स्थान मिला। बैगा संतानों ने अपनी मातृदेवी और पितृ देवता की मूर्तियाँ बनाकर पूजा करना आरंभ किया। दोनों की मूर्तियों में वस्त्रों का अंकन नहीं किया गया किंतु दोनों के गले में कंठहार और ताबीज़नुमा माला बनाई गई तथा पैरों में लच्छे (आभूषण) बनाए गए। नंगा बैगा और नांगा वैगिन को यह सम्मान मिलना स्वाभाविक था क्योंकि उन्होंने इस पृथ्वी पर मनुष्यों का संसार बसाया और पृथ्वी को विशिष्टता प्रदान की।
ek baar bhagvan ne vichar kiya ki mainne itni sundar prithvi banai hai lekin usmen koi halchal nahin hai. wo bahut suni pratit hoti hai. tab bhagvan ne socha ki koi aisa samajhdar jeev banaya jaye jisse prithvi sundar lagne lage aur rochak ho jaye. bahut sochne vicharne ke baad bhagvan ne ek purush banaya aur use prithvi par bhej diya. wo purush tha nanga baiga. is prakar pratham baiga ka janm hua. wo vastron se anbhigya tha isliye wo nirvastr rahta tha aur isiliye aage chal kar wo nanga baiga dev ke roop mein pujya hua.
nanga baiga nadi ke kinare aur saghan van mein vichran karta. kuch din baad bhagvan ko yaad aaya ki usne ek manushya prithvi par bheja tha, dekha jaye ki wo kya kar raha hai? bhagvan ne jigyasavash dekha to unhen ye dekhkar bahut ashcharya hua ki nanga baiga udaas ghoom raha hai. bhagvan nanga baiga ke paas pahunche aur usse uski udasi ka karan puchha.
‘apne mujhe yahan bhej to diya hai lekin yahan aisa koi nahin hai jisse main batachit kar sakun. ’ nanga baiga ne bhagvan ko ulahna diya.
is par bhagvan ne bahut soch vichar kar ek stri ki rachna ki aur use prithvi par bhej diya. wo stri thi pratham baiga stri arthat nanga baigin. wo bhi nirvastr thi. wo bhi jangal mein vichran karne lagi.
ek din achanak nanga baiga ne nanga vaigin ko dekha to wo chaunk gaya. nanga baigin use kuch kuch apne jaisi hi lagi. bas thoDi sharirik sanrachna bhinn thi. isse nanga baiga ke man mein kautuhal jaga. isi prakar jab nanga baigin ki drishti nanga baiga par paDi to wo bhi chakit rah gai. uske man mein bhi jigyasa ne janm liya. ab tak nanga baigin bhi akeli ghumti bhatakti ukta gai thi. donon ek dusre ke nikat pahunche. donon ne ek dusre se bare mein janna chaha. paraspar charcha karne par pata chala ki donon ki ek hi kahani thi. donon ko bhagvan ne banakar prithvi par bheja tha. donon saath saath rahne lage, saath saath ghumne lage.
kuch din baad bhagvan ne socha ki dekha jaye ki nanga baiga aur nanga baigan kya kar rahe hain aur prithvi par koi halchal ho rahi hai ya nahin? bhagvan ne jab prithvi ki or dekha to unhen nanga baiga aur nanga baigin saath saath ghumte to dikhe kintu prithvi par koi halchal nahin dikhi. ab maatr do prani kitni halchal macha lete? bhagvan ne bahut soch vichar kiya aur phir ek mantr paDha aur prithvi ki or phoonk mari. jaise hi mantr nanga baiga aur nanga baigin ke paas pahuncha vaise hi un donon ke man mein paraspar ek dusre ke sharirik angon ko chhukar janne ki jigyasa utpann hui.
‘ham donon ek jaise dikhai dete hain phir bhi hamare sharir mein kuch bhinnata hai. main chahta hoon ki main tumhare sharir ko chhukar dekhun ki ye kaisi bhinnata hai. ’ nanga baiga ne nanga baigin se kaha.
‘main bhi yahi chahti hoon ki main tumhare sharir ko chhukar dekhun. ’ nanga baigin ne kaha. donon ne ek dusre ko chhuna aur janna chaha jiske parinamasvrup naga santati ka janm hua.
kuch samay baad bhagvan ne nanga baiga aur nanga baigin ka halachal janne ke liye punah prithvi ki or dekha. bhagvan ye dekhkar bahut chakit rah ge ki baigaon ke roop mein prithvi par manushyon ki sankhya baDh gai thi aur prithvi par halchal ho rahi thi. prithvi ko poorn karne, rochak banane aur sundar banane ka bhagvan ka uddeshya is prakar pura ho gaya.
nanga baiga aur nanga baigin ko baiga sansar mein pitridev aur matridevi ka sthaan mila. baiga santanon ne apni matridevi aur pitri devta ki murtiyan banakar puja karna arambh kiya. donon ki murtiyon mein vastron ka ankan nahin kiya gaya kintu donon ke gale mein kanthhar aur tabizanuma mala banai gai tatha pairon mein lachchhe (abhushan) banaye ge. nanga baiga aur nanga vaigin ko ye samman milna svabhavik tha kyon ki unhonne is prithvi par manushyon ka sansar basaya aur prithvi ko vishishtata pradan ki.

स्रोत :
पुस्तक : भारत के आदिवासी क्षेत्रों की लोककथाएं (पृष्ठ 168)
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।