एक गाँव में दो भाई रहते थे। पूरी तरह से निठल्ले थे दोनों। उनके निठल्लेपन के कारण गाँव में कोई उन्हें काम नहीं देना चाहता था। दोनों भाई काम के अभाव में आवारा होते जा रहे थे अत: एक दिन उनके पिता ने उन्हें अपने पास बुलाया।
‘देखो, तुम दोनों को इस गाँव में तो काम मिलने से रहा इसलिए अच्छा यही होगा कि तुम दोनों किसी दूसरे गाँव में जाकर काम करो।’ पिता ने अपने दोनों निठल्ले बेटों को समझाया।
दोनों भाइयों को अपने पिता का सुझाव अच्छा लगा। दोनों काम की तलाश में दूसरे गाँव की ओर निकल पड़े। रास्ते में एक नदी पड़ी। दोनों थककर चूर हो चुके थे अत: उन्होंने विचार किया कि यदि नदी के जल में स्नान कर लिया जाए तो थकान मिट जाएगी और इसी बहाने सुस्ताना भी हो जाएगा। इसी बीच छोटे भाई के मन में एक दुष्टतापूर्ण विचार आ गया कि यदि बड़े भाई को दिखना बंद हो जाए तो वह साथ में लाई हुई पूरी रोटियाँ खा सकता है। अपने इस विचार पर अमल करते हुए कहा, ‘बड़े भैया, यदि तुम अपनी एक आँख फोड़ लो तो मैं चार रोटियों में से तीन रोटियाँ तुम्हें दे दूँगा और यदि तुम अपनी दोनों आँख फोड़ लो तो मैं चारो रोटियाँ तुम्हें दे दूँगा।’
बड़ा भाई भी था पूरा लालची। उसने सोचा कि यदि मैं अपनी दोनों आँखें फोड़ लूँगा तो मुझे चारो रोटियाँ मिल जाएँगी। बस, फिर क्या था। बड़े भाई ने लालच के वशीभूत अपनी दोनों आँखें फोड़ लीं। जैसे ही बड़े भाई ने अपनी दोनों आँखें फोड़ीं वैसे ही छोटे भाई ने चारो रोटियाँ गपक लीं और बड़े भाई को वहीं छोड़कर चलता बना। बड़ा भाई घने जंगल में अकेला छूट गया। वह अंधा भी हो चुका था। उसे अपनी लालची प्रवृति पर पछतावा हो रहा था। संध्या होते ही वन्य पशुओं के भयानक स्वरों से बड़े भाई का दिल काँपने लगा। वह जैसे-तैसे टटोलता हुआ पास ही एक पेड़ पर चढ़ गया और पेड़ की शाखा पर बैठ गया।
जिस पेड़ पर बड़ा भाई बैठा था उसके नीचे एक राक्षस, एक शेर और एक भालू रहता था। रात को तीनों पेड़ के नीचे इकट्ठे हुए। वे आपस में बातें करने लगे।
‘मुझे इस पेड़ का एक रहस्य पता है। यदि कोई अंधा इस पेड़ के पत्ते के रस को अपनी आँखों में लगा ले तो उसे दिखाई देने लगेगा।’ राक्षस ने कहा।
‘अरे? यदि ऐसा हुआ तो कोई अंधा भी आँख वाला बनकर मेरी गुफ़ा में रहे हीरे-जवाहरात ले जा सकता है।’ शेर ने हँस कर कहा।
इसके बाद वे भाँति-भाँति की बातें करते रहे और आधी रात के बाद शिकार को ख़ोज में कहीं चले गए। अंधे बड़े भाई ने उनकी बातें ध्यानपूर्वक सुनी थीं। उनके जाते ही बड़े भाई ने पेड़ का पत्ता तोड़कर उसे अपनी हथेलियों पर मसला और उसका रस अपनी आँखों पर लगा लिया। राक्षस की बात सोलह आने सही निकली।
बड़े भाई को दिखाई देने लगा। इसके बाद वह पेड़ से नीचे उतरा और शेर की गुफ़ा में पहुँचा। शेर की गुफ़ा हीरे-जवाहरात से भरी हुई थी। बड़े भाई ने अपना कुर्ता उतारा और उसमें हीरे-जवाहरात भर लिए। इसके बाद वह अपने गाँव लौट आया और अपने माता-पिता के साथ रहने लगा। सब यही समझते रहे कि बड़ा भाई हीरे-जवाहरात कमा कर लाया है। बड़े भाई ने भी वास्तविकता किसी को नहीं बताई।
कुछ दिन बाद छोटा भाई थोड़ा-बहुत धन कमा कर लौटा। उसने जब बड़े भाई को ठीक-ठाक और धनसंपन्न देखा तो वह चकित रह गया। वह समझ गया कि उसके बड़े भाई के साथ अवश्य कोई चमत्कार हुआ है अन्यथा उसकी दोनों आँखें कैसे ठीक हो जातीं और उसके पास इतना सारा हीरा-जवाहरात कहाँ से आ जाता बहुत सोच-विचार के बाद छोटे भाई ने बड़े भाई से गिड़गिड़ाते हुए अपने किए की क्षमा माँगी और आँखें ठीक होने का रहस्य पूछा। बड़ा भाई अब तक समझदार और उदारमना हो चुका था। उसने अपने छोटे भाई को सबकुछ सच-सच बता दिया। बड़े भाई की बातें सुनकर छोटे भाई के मन में लालच जाग उठी।
‘बड़े भैया, चलो हम एक बार फिर से चलते हैं और शेर की हीरे-जवाहरात ले आते हैं।’ छोटे भाई ने बड़े से कहा।
‘नहीं छोटे, अधिक लालच करना ठीक नहीं है। हमारे पास इतना है कि हम दोनों सुखपूर्वक अपना जीवन व्यतीत कर सकते हैं।’ बड़े भाई ने समझाया।
‘बस एक बार और चलते हैं, फिर नहीं जाएँगे।’ छोटा भाई अनुनय-विनय करता हुआ बोला।
‘जाने से कोई लाभ नहीं होगा क्यों कि भालू ने शेर से यह कहा था कि जब कोई अंधा होकर पेड़ के पत्ते का रस लगाकर नेत्रज्योति पाएगा तभी उसे तुम्हारी गुफ़ा के हीरे-जवाहरात दिखेंगे। सामान्य आँखों वालों को तो यह वैसे भी दिखाई नहीं देंगे। इसलिए छोटे, तुम इस बारे में सोचना छोड़ दो।’ बड़े ने छोटे को समझाया।
‘ठीक है। जैसा तुम कहो।’ छोटे ने बड़े से कह तो दिया किंतु मन ही मन उसने अकेले जाने का फ़ैसला कर लिया।
दूसरे दिन भोर होते ही वह जंगल की ओर निकल पड़ा। शाम होते-होते उसी नदी के किनारे जा पहुँचा जहाँ वह पेड़ था। छोटे भाई ने अपनी दोनों आँखें फोड़ लीं और पेड़ पर चढ़कर बैठ गया। राक्षस, शेर और भालू आए। उन्होंने ने उसी तरह से बातें कीं और आधी रात के बाद चले गए। छोटे भाई ने पेड़ के पत्ते का रस अपनी आँखों में लगाया जिससे उसकी नेत्रज्योति वापस आ गई। फिर वह शेर की गुफ़ा में पहुँचा। वह अपने साथ बड़े-बड़े बोरे ले गया था। जैसे ही वह हीरे-जवाहरात बोरों में भरने लगा वैसे ही राक्षस, शेर और भालू आ गए।
‘मैं जानता था कि एक न एक दिन वह लालची अवश्य फँसेगा जिसने हमारी बातें सुनकर मेरी गुफ़ा का खजाना चुराया था। अब मैं तुम्हें नहीं छोडूँगा।’ कहते हुए शेर ने छोटे भाई पर झपट्टा मारा। दूसरे ही पल राक्षस और भालू भी छोटे भाई पर टूट पड़े। इस प्रकार एक लालची का दुखद अंत हुआ।
ek gaanv mein do bhai rahte the. puri tarah se nithalle the donon. unke nithallepan ke karan gaanv mein koi unhen kaam nahin dena chahta tha. donon bhai kaam ke abhav mein avara hote ja rahe the atah ek din unke pita ne unhen apne paas bulaya.
‘dekho, tum donon ko is gaanv mein to kaam milne se raha isliye achchha yahi hoga ki tum donon kisi dusre gaanv mein jakar kaam karo. ’ pita ne apne donon nithalle beton ko samjhaya.
donon bhaiyon ko apne pita ka sujhav achchha laga. donon kaam ki talash mein dusre gaanv ki or nikal paDe. raste mein ek nadi paDi. donon thakkar choor ho chuke the atah unhonne vichar kiya ki yadi nadi ke jal mein snaan kar liya jaye to thakan mit jayegi aur isi bahane sustana bhi ho jayega. isi beech chhote bhai ke man mein ek dushttapurn vichar aa gaya ki yadi baDe bhai ko dikhna band ho jaye to wo saath mein lai hui puri rotiyan kha sakta hai. apne is vichar par amal karte hue kaha, ‘baDe bhaiya, yadi tum apni ek ankh phoD lo to main chaar rotiyon mein se teen rotiyan tumhein de dunga aur yadi tum apni donon ankh phoD lo to main charo rotiyan tumhein de dunga. ’
baDa bhai bhi tha pura lalchi. usne socha ki yadi main apni donon ankhen phoD lunga to mujhe charo rotiyan mil jayengi. bas, phir kya tha. baDe bhai ne lalach ke vashibhut apni donon ankhen phoD leen. jaise hi baDe bhai ne apni donon ankhen phoDin vaise hi chhote bhai ne charo rotiyan gapak leen aur baDe bhai ko vahin chhoD kar chalta bana. baDa bhai ghane jangal mein akela chhoot gaya. wo andha bhi ho chuka tha. use apni lalchi prvriti par pachhtava ho raha tha. sandhya hote hi vanya pashuon ke bhayanak svron se baDe bhai ka dil kampne laga. wo jaise taise tatolta hua paas hi ek peD par chaDh gaya aur peD ki shakha par baith gaya.
jis peD par baDa bhai baitha tha uske niche ek rakshas, ek sher aur ek bhalu rahta tha. raat ko tinon peD ke niche ikatthe hue. ve aapas mein baten karne lage.
‘mujhe is peD ka ek rahasya pata hai. yadi koi andha is peD ke patte ke ras ko apni ankhon mein laga le to use dikhai dene lagega. ’ rakshas ne kaha.
‘are? yadi aisa hua to koi andha bhi ankh vala bankar meri gufa mein rahe hire javaharat le ja sakta hai. ’ sher ne hans kar kaha.
iske baad ve bhanti bhanti ki baten karte rahe aur aadhi raat ke baad shikar ko khoj mein kahin chale ge. andhe baDe bhai ne unki baten dhyanapurvak suni theen. unke jate hi baDe bhai ne peD ka patta toD kar use apni hatheliyon par masla aur uska ras apni ankhon par laga liya. rakshas ki baat solah aane sahi nikli.
baDe bhai ko dikhai dene laga. iske baad wo peD se niche utra aur sher ki gufa mein pahuncha. sher ki gufa hire javaharat se bhari hui thi. baDe bhai ne apna kurta utara aur usmen hire javaharat bhar liye. iske baad wo apne gaanv laut aaya aur apne mata pita ke saath rahne laga. sab yahi samajhte rahe ki baDa bhai hire javaharat kama kar laya hai. baDe bhai ne bhi vastavikta kisi ko nahin batai.
kuch din baad chhota bhai thoDa bahut dhan kama kar lauta. usne jab baDe bhai ko theek thaak aur dhansampann dekha to wo chakit rah gaya. wo samajh gaya ki uske baDe bhai ke saath avashya koi chamatkar hua hai anyatha uski donon ankhen kaise theek ho jatin aur uske paas itna sara hira javaharat kahan se aa jata bahut soch vichar ke baad chhote bhai ne baDe bhai se giDgiDate hue apne kiye ki kshama mangi aur ankhen theek hone ka rahasya puchha. baDa bhai ab tak samajhdar aur udaramna ho chuka tha. usne apne chhote bhai ko sabkuchh sach sach bata diya. baDe bhai ki baten sunkar chhote bhai ke man mein lalach jaag uthi.
‘baDe bhaiya, chalo hum ek baar phir se chalte hain aur sher ki hire javaharat le aate hain. ’ chhote bhai ne baDe se kaha.
‘nahin chhote, adhik lalach karna theek nahin hai. hamare paas itna hai ki hum donon sukhpurvak apna jivan vyatit kar sakte hain. ’ baDe bhai ne samjhaya.
‘bas ek baar aur chalte hain, phir nahin jayenge. ’ chhota bhai anunay vinay karta hua bola.
‘jane se koi laabh nahin hoga kyon ki bhalu ne sher se ye kaha tha ki jab koi andha hokar peD ke patte ka ras lagakar netrajyoti payega tabhi use tumhari gufa ke hire javaharat dikhenge. samanya ankhon valon ko to ye vaise bhi dikhai nahin denge. isliye chhote, tum is bare mein sochna chhoD do. ’ baDe ne chhote ko samjhaya.
‘theek hai. jaisa tum kaho. ’ chhote ne baDe se kah to diya kintu man hi man usne akele jane ka faisla kar liya.
dusre din bhor hote hi wo jangal ki or nikal paDa. shaam hote hote usi nadi ke kinare ja pahuncha jahan wo peD tha. chhote bhai ne apni donon ankhen phoD leen aur peD par chaDhkar baith gaya. rakshas, sher aur bhalu aaye. unhonne ne usi tarah se baten keen aur aadhi raat ke baad chale ge. chhote bhai ne peD ke patte ka ras apni ankhon mein lagaya jisse uski netrajyoti vapas aa gai. phir wo sher ki gufa mein pahuncha. wo apne saath baDe baDe bore le gaya tha. jaise hi wo hire javaharat boron mein bharne laga vaise hi rakshas, sher aur bhalu aa ge.
‘main janta tha ki ek na ek din wo lalchi avashya phansega jisne hamari baten sunkar meri gufa ka khajana churaya tha. ab main tumhein nahin chhoDunga. ’ kahte hue sher ne chhote bhai par jhapatta mara. dusre hi pal rakshas aur bhalu bhi chhote bhai par toot paDe. is prakar ek lalchi ka dukhad ant hua.

स्रोत :
पुस्तक : भारत के आदिवासी क्षेत्रों की लोककथाएं (पृष्ठ 85)
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।