सौंर जनजाति में यह परंपरा है कि जब दो आम के वृक्षों पर पहली बार बौर आते हैं तो उनका परस्पर विवाह किया जाता है। यह विवाह उतनी ही धूम-धाम से होता है जितना कि पुत्र-पुत्री का विवाह धूम-धाम से किया जाता है। जिन दिनों आम में बौर आते हैं संयोगवश उन्हीं दिनों सागौन में भी फूल आते हैं। किंतु यह कहानी उस समय से आरंभ होती है जिन दिनों आम के साथ सागौन में फूल नहीं आते थे।
बात बहुत समय पहले की है। एक गाँव में आम का एक पौधा उगा। आम का वह पौधा धीरे-धीरे बड़ा होने लगा। जब वह जवान हो गया तो उसे अपना एकाकीपन खलने लगा। वह उदास रहने लगा। उसके उदास रहने से उसके पत्ते जल्दी टूटने लगे तथा उसकी शाखाएँ निढाल दिखाई पड़ने लगीं। गाँव वालों ने आम के पेड़ की यह दशा देखी तो वे चिंतित हो उठे। उन्होंने आपस में विचार-विमर्श किया और तब गाँव के पंचों ने सोचा कि क्यों न आम के पेड़ से ही उसके दुख का कारण पूछ लिया जाए। सभी पंच आम के पेड़ के पास पहुँचे।
‘आम-आम, तुम्हारे दुख का कारण क्या?’ सरपंच ने पूछा।
‘मुझे यहाँ अकेले खड़ाकर दिया और मुझसे पूछते हो कि मेरे दुख का कारण क्या है? वाह! यह भी ख़ूब रही।’ आम के पेड़ ने व्यंग्य से कहा।
आम का उत्तर सुनकर सरपंच सहित सभी पंच समझ गए कि आम के पेड़ के दुख का कारण उसका अकेलापन है। वे चौपाल में बैठकर विचार-विमर्श करने लगे कि आम का अकेलापन दूर करने का क्या उपाय किया जाए? बड़ा सभी ने अपने-अपने सुझाव दिए। अंतत: तय किया गया कि आम के पेड़ के आस-पास एक उत्सव आयोजित किया जाए जिससे आम के पेड़ का मनोरंजन हो और उसे अकेलेपन का अनुभव न हो।
गाँव में एक सप्ताह तक उत्सव मनाया जाता रहा। आम के पेड़ में नए पत्ते आ गए और उसकी डालियाँ प्रसन्न दिखाई देने लगीं। उत्सव समाप्त होने पर सब कुछ पहले जैसा हो गया। आम का पेड़ फिर एक बार अकेलेपन से त्रस्त रहने लगा। उसके पत्ते मुरझाने लगे और शाखाएँ निढाल हो गईं। गाँव वालों ने पुन: मंत्रणा की। एक सयाने ने सलाह दी कि ‘हम भला कितने दिन उत्सव मना सकते हैं? उत्सव मनाने के लिए न तो हमारे पास ढेर सारा पैसा है और न ही बहुत अधिक समय। वैसे भी प्रत्येक प्राणी को अपने जैसे प्राणी का साथ रुचिकर लगता है। अत: हमें उसके पास एक और पेड़ लाकर लगा देना चाहिए।’
सभी को उस सयाने का सुझाव पसंद आया। गाँव के कुछ युवा उस सयाने के साथ जंगल गए। वहाँ उन्होंने आम के पेड़ की आयु का एक सागौन का पेड़ ढूँढ़ निकाला। उस सागौन के पेड़ को जड़ से उखाड़ा और गाँव में लाकर आम के पेड़ के पास लगा दिया। आम के पेड़ ने सागौन के पेड़ को देखा तो बहुत प्रसन्न हुआ। जल्दी ही दोनों में मित्रता हो गई। इसका प्रभाव भी दिखाई देने लगा। आम के पेड़ के पत्ते हरे हो गए और शाखाएँ चुस्त-दुरुस्त हो गईं।
कुछ दिन तक सब कुछ ठीक-ठाक चलता रहा। आम के पेड़ और सागौन के पेड़ घनिष्ठ मित्रों की भाँति आपस में बातें करते और राहगीरों पर अपनी शाखाओं पर लगे पत्तों से पंखा झलते रहते। कुछ समय बाद एक आश्चर्यजनक घटना घटी। आम के पेड़ में फूल अर्थात् बौर आ गए। वह पहले से अधिक सुंदर दिखाई देने लगा। लेकिन गाँव वालों को यह देखकर अचंभा हुआ कि आम के पेड़ का मन पुन: उदास रहने लगा। उसके पत्ते झड़ने लगे। गाँव वालों ने आम के पेड़ से पूछा कि अब कौन-सा दुख है?
'मुझे एक साथी चाहिए।’ आम के पेड़ ने कहा।
‘तुम्हारे साथ के लिए सागौन तो है।’ गाँव वालों ने समझाया।
‘नहीं, मुझे मेरे जैसा साथी चाहिए।’ आम के पेड़ ने स्पष्ट शब्दों में कहा।
गाँव के सयाने को आम के पेड़ की समस्या समझ में आ गई। उसने सुझाव दिया कि आम के पेड़ के साथ के लिए एक और आम का पेड़ लाना चाहिए।
‘अच्छा होगा कि हम पास के गाँव से आम का पेड़ ले आएँ। मैंने देखा है कि वहाँ आम का एक पेड़ लगा हुआ है और वह लगभग हमारे पेड़ की आयु का है।’ सयाने ने कहा।
गाँव के युवा उस सयाने को लेकर पड़ोस के गाँव पहुँचे। पड़ोसी गाँववालों ने अपना आम का पेड़ देना स्वीकार तो कर लिया लेकिन एक शर्त रखी।
‘तुम्हें हमारे आम के पेड़ का विवाह अपने आम के पेड़ के साथ करना होगा तभी हम अपना आम का पेड़ ले जाने देंगे अन्यथा नहीं ले जाने देंगे। पड़ोसी गाँववालों ने कहा।
ऐसी बात पर भला किसी को क्या आपत्ति होती? दोनों गाँव वालों ने धूम-धाम से विवाह की तैयारियाँ कीं और शुभ मुहूर्त्त देखकर दोनों आम के पेड़ों का परस्पर विवाह कर दिया। अब आम का पेड़ अपने जैसा साथी पाकर बहुत प्रसन्न हुआ और देखते ही देखते उसमें फल आ गए। पूरे गाँव में आम के पेड़ की पूछ बढ़ गई। सागौन ने देखा कि आम पर बौर आने पर गाँव वालों ने उसका विवाह कर दिया तो उसने सोचा कि यदि मैं भी फूलने लगूँ तो मेरा भी विवाह करा दिया जाएगा और मुझे भी जीवनसाथी मिल जाएगा।
नकल करने भर से क्या होता? सागौन फूल गया। मगर किसी ने भी उसके विवाह के बारे में नहीं सोचा। उलटे सभी उसे देखकर उस पर व्यंग करते कि ‘देखो तो, आम के ब्याह में सागौन फूला फिर रहा है।’
गाँववालों द्वारा व्यंग्य किए जाने पर सागौन को अपनी भूल का अनुभव तो हुआ लेकिन तब तक बहुत देर हो चुकी थी। पक्षियों द्वारा सागौन के फूलने का समाचार सभी सागौनों तक पहुँच चुका था और वे भी फूलने लगे थे।
वह गाँव सौंरों का था। इसीलिए सौंरों में उसी समय से आम के पेड़ों में परस्पर विवाह कराया जाने लगा तथा यह कहावत चल निकली कि ‘आम के विवाह में सागौन फूला फिरे’।
saunr janjati mein ye parmampra hai ki jab do aam ke vrikshon par pahli baar baur aate hain to unka paraspar vivah kiya jata hai. ye vivah utni hi dhoom dhaam se hota hai jitna ki putr putri ka vivah dhoom dhaam se kiya jata hai. jin dinon aam mein baur aate hain sanyogvash unhin dinon sagaun mein bhi phool aate hain. kintu ye kahani us samay se arambh hoti hai jin dinon aam ke saath sagaun mein phool nahin aate the.
baat bahut samay pahle ki hai. ek gaanv mein aam ka ek paudha uga. aam ka wo paudha dhire dhire baDa hone laga. jab wo javan ho gaya to use apna ekakipan khalne laga. wo udaas rahne laga. uske udaas rahne se uske patte jaldi tutne lage tatha uski shakhayen niDhal dikhai paDne lagin. gaanv valon ne aam ke peD ki ye dasha dekhi to ve chintit ho uthe. unhonne aapas mein vichar vimarsh kiya aur tab gaanv ke panchon ne socha ki kyon na aam ke peD te hi uske dukh ka karan poochh liya jaye. sabhi panch aam ke peD ke paas pahunche.
‘aam aam, tumhare dukh ka karan kyaa?’ sarpanch ne puchha.
‘mujhe yahan akele khaDa kar diya aur mujhse puchhte ho ki mere dukh ka karan kya hai? vaah! ye bhi khoob rahi. ’ aam ke peD ne vyangya se kaha.
aam ka uttar sunkar sarpanch sahit sabhi panch samajh ge ki aam ke peD ke dukh ka karan uska akelapan hai. ve chaupal mein baithkar vichar vimarsh karne lage ki aam ka akelapan door karne ka kya upaay kiya jaye? baDa sabhi ne apne apne sujhav diye. anttah tay kiya gaya ki aam ke peD ke aas paas ek utsav ayojit kiya jaye jisse aam ke peD ka manoranjan ho aur use akelepan ka anubhav na ho.
gaanv mein ek saptah tak utsav manaya jata raha. aam ke peD mein ne patte aa ge aur uski Daliyan prasann dikhai dene lagin. utsav samapt hone par sab kuch pahle jaisa ho gaya. aam ka peD phir ek baar akelepan se trast rahne laga. uske patte murjhane lage aur shakhayen niDhal ho gain. gaanv valon ne punah mantrna ki. ek sayane ne salah di ki ‘ham bhala kitne din utsav mana sakte hain? utsav manane ke liye na to hamare paas Dher sara paisa hai aur na hi bahut adhik samay. vaise bhi pratyek prani ko apne jaise prani ka saath ruchikar lagta hai. atah hamein uske paas ek aur peD lakar laga dena chahiye. ’
sabhi ko us sayane ka sujhav pasand aaya. gaanv ke kuch yuva us sayane ke saath jangal ge. vahan unhonne aam ke peD ki aayu ka ek sagaun ka peD DhoonDh nikala. us sagaun ke peD ko jaD se ukhaDa aur gaanv mein lakar aam ke peD ke paas laga diya. aam ke peD ne sagaun ke peD ko dekha to bahut prasann hua. jaldi hi donon mein mitrata ho gai. iska prabhav bhi dikhai dene laga. aam ke peD ke patte hare ho ge aur shakhayen chust durust ho gain.
kuch din tak sab kuch theek thaak chalta raha. aam ke peD aur sagaun ke peD ghanishth mitron ki bhanti aapas mein baten karte aur rahgiron par apni shakhaon par lage patton se pankha jhalte rahte. kuch samay baad ek ashcharyajnak ghatna ghati. aam ke peD mein phool arthat baur aa ge. wo pahle se adhik sundar dikhai dene laga. lekin gaanv valon ko ye dekhkar achambha hua ki aam ke peD ka man punah udaas rahne laga. uske patte jhaDne lage. gaanv valon ne aam ke peD se puchha ki ab kaun sa dukh hai?
mujhe ek sathi chahiye. ’ aam ke peD ne kaha.
‘tumhare saath ke liye sagaun to hai. ’ gaanv valon ne samjhaya.
‘nahin, mujhe mere jaisa sathi chahiye. ’ aam ke peD ne aspasht shabdon mein kaha.
gaanv ke sayane ko aam ke peD ki samasya samajh mein aa gai. usne sujhav diya ki aam ke peD ke saath ke liye ek aur aam ka peD lana chahiye.
‘achchha hoga ki hum paas ke gaanv se aam ka peD le ayen. mainne dekha hai ki vahan aam ka ek peD laga hua hai aur wo lagbhag hamare peD ki aayu ka hai. ’ sayane ne kaha.
gaanv ke yuva us sayane ko lekar paDos ke gaanv pahunche. paDosi ganvvalon ne apna aam ka peD dena svikar to kar liya lekin ek shart rakhi.
‘tumhen hamare aam ke peD ka vivah apne aam ke peD ke saath karna hoga tabhi hum apna aam ka peD le jane denge anyatha nahin le jane denge. paDosi ganvvalon ne kaha.
aisi baat par bhala kisi ko kya apatti hoti? donon gaanv valon ne dhoom dhaam se vivah ki taiyariyan keen aur shubh muhurtt dekhkar donon aam ke peDon ka paraspar vivah kar diya. ab aam ka peD apne jaisa sathi pakar bahut prasann hua aur dekhte hi dekhte usmen phal aa ge. pure gaanv mein aam ke peD ki poochh baDh gai. sagaun ne dekha ki aam par baur aane par gaanv valon ne uska vivah kar diya to usne socha ki yadi main bhi phulne lagun to mera bhi vivah kara diya jayega aur mujhe bhi jivansathi mil jayega.
nakal karne bhar se kya hota? sagaun phool gaya. magar kisi ne bhi uske vivah ke bare mein nahin socha. ulte sabhi use dekhkar us par vyang karte ki ‘dekho to, aam ke byaah mein sagaun phula phir raha hai. ’
ganvvalon dvara vyangya kiye jane par sagaun ko apni bhool ka anubhav to hua lekin tab tak bahut der ho chuki thi. pakshiyon dvara sagaun ke phulne ka samachar sabhi sagaunon tak pahunch chuka tha aur ve bhi phulne lage the.
wo gaanv saunron ka tha. isiliye saunron mein usi samay se aam ke peDon mein paraspar vivah karaya jane laga tatha ye kahavat chal nikli ki ‘aam ke vivah mein sagaun phula phire’.

स्रोत :
पुस्तक : भारत के आदिवासी क्षेत्रों की लोककथाएं (पृष्ठ 88)
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।