जिन पंछियों के घोंसले उजाड़ दिए जाते हैं
वे नहीं छोड़ देते हैं अपना वतन
वे दाना चुगते हैं अपने बच्चों का पेट भरने के लिए
आँधी से उजड़ गए खेतों से भी
वे उन तालाबों के निकट भी ठंडे पानी की तलाश में भटकते हैं
जिनके पानी का रंग लाल हो गया होता है—
उनके अपनों के ख़ून से
वे फिर से आशियाना बनाने के लिए उन्हीं पेड़ों पर मंडराते हैं—
तिनके ले-लेकर
जिन पेड़ों की शाखाओं पर उन्हें पकड़ने के लिए जाले लगा दिए गए हैं
वे सशंकित हैं, चिंतित हैं, लेकिन डरे हुए नहीं हैं
आप अब उन्हें हथेलियों पर मूँगफली रख कर नजदीक नहीं बुला सकते
वे फुर्र से उड़ जाएँगे ज़िंदगी का नया गीत गाते हुए...
jin panchhiyon ke ghonsle ujaD diye jate hain
we nahin chhoD dete hain apna watan
we dana chugte hain apne bachchon ka pet bharne ke liye
andhi se ujaD gaye kheton se bhi
we un talabon ke nikat bhi thanDe pani ki talash mein bhatakte hain
jinke pani ka rang lal ho gaya hota hai—
unke apnon ke khoon se
we phir se ashiyana banane ke liye unhin peDon par manDrate hain—
tinke le lekar
jin peDon ki shakhaon par unhen pakaDne ke liye jale laga diye gaye hain
we sashankit hain, chintit hain, lekin Dare hue nahin hain
ap ab unhen hatheliyon par mungaphali rakh kar najdik nahin bula sakte
we phurr se uD jayenge zindagi ka naya geet gate hue

स्रोत :
रचनाकार : गुलज़ार हुसैन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.