तोड़ती हूँ तुम्हारे
निरंकुश नियम और शर्तें
जो तुमने लागू किए थे मुझ पर
अपने इस फ़ैसले पर
मुझे तुम्हारे मुहर की ज़रूरत नहीं
साँप अपने विष से साँप है
विष के बिना तो सपेरे का रोज़गार है
और जितना मारा जाता है साँप का विष
उतना ही बढ़ता है सपेरे का रोज़गार भी
माफ़ करना
तुम्हारे इस करतब में
मैं शामिल नहीं
मुझे नीचे ही गिरना है
तो चाहूँगी वहाँ गिरना
जहाँ की ज़मीन में खाद-पानी हो
खुरपी कुदाल से
जहाँ की मिट्टी को चोट नहीं लगती
मेरा नीचे गिरना भी
तुम तय नहीं कर सकते
मुझे कृत्रिम ही होना है
तो चाहूँगी होना
किसी गुर्दे, हृदय के रूप में
जहाँ बचा रहेगा
ज़िंदा होने का एहसास
जहाँ से मैं देख रही तुम्हें
तुम्हारे पीछे बस दीवार है
जहाँ से तुम देख रहे मुझे
मेरे पीछे हैं मेरी ही तरह के
तुम्हारे निरंकुश नियम और शर्तें
तोड़ते हुए लोग!
toDti hoon tumhare
nirankush niyam aur sharten
jo tumne lagu kiye the mujh par
apne is faisle par
mujhe tumhare muhr ki zarurat nahin
sanp apne wish se sanp hai
wish ke bina to sapere ka rozgar hai
aur jitna mara jata hai sanp ka wish
utna hi baDhta hai sapere ka rozgar bhi
maf karna
tumhare is kartab mein
main shamil nahin
mujhe niche hi girna hai
to chahungi wahan girna
jahan ki zamin mein khad pani ho
khurpi kudal se
jahan ki mitti ko chot nahin lagti
mera niche girna bhi
tum tay nahin kar sakte
mujhe kritrim hi hona hai
to chahungi hona
kisi gurde, hirdai ke roop mein
jahan bacha rahega
zinda hone ka ehsas
jahan se main dekh rahi tumhein
tumhare pichhe bus diwar hai
jahan se tum dekh rahe mujhe
mere pichhe hain meri hi tarah ke
tumhare nirankush niyam aur sharten
toDte hue log!
toDti hoon tumhare
nirankush niyam aur sharten
jo tumne lagu kiye the mujh par
apne is faisle par
mujhe tumhare muhr ki zarurat nahin
sanp apne wish se sanp hai
wish ke bina to sapere ka rozgar hai
aur jitna mara jata hai sanp ka wish
utna hi baDhta hai sapere ka rozgar bhi
maf karna
tumhare is kartab mein
main shamil nahin
mujhe niche hi girna hai
to chahungi wahan girna
jahan ki zamin mein khad pani ho
khurpi kudal se
jahan ki mitti ko chot nahin lagti
mera niche girna bhi
tum tay nahin kar sakte
mujhe kritrim hi hona hai
to chahungi hona
kisi gurde, hirdai ke roop mein
jahan bacha rahega
zinda hone ka ehsas
jahan se main dekh rahi tumhein
tumhare pichhe bus diwar hai
jahan se tum dekh rahe mujhe
mere pichhe hain meri hi tarah ke
tumhare nirankush niyam aur sharten
toDte hue log!
स्रोत :
रचनाकार : नताशा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.