मंदिर के बाहर मैंने पूछा
तो अचानक वह चौंक गया
देखने लगा मुझे अवाक्
बारह-तेरह साल का लड़का
जो बेच रहा था धूप-दीप
और अगरबत्तियाँ
क्या तुम सलीम दरजी के बेटे हो?
मैंने फिर पूछा
आप कैसे जानते हैं?
धीरे से, सकपकाकर पूछा उसने
तुम्हारे चेहरे से लगा मुझे
तुम्हारे अंदाज़ से
मैंने कहा और देखा
उसके चेहरे पर गहरी आशंका थी
वह खड़ा था पसीने से लथपथ
रंगे हाथ पकड़ में आए किसी चोर-सा
अपने लोग पहचान में आ जाते हैं बाबू
मैंने उसका कंधा थपथपाया
चाहे वे कहीं रहें, कुछ करें
आँखें पहचान लेती हैं अपना अज़ीज़
मैंने उसका माथा सहलाया और कहा
बेटाजान
क्या हिंदू क्या मुसलमान
प्यार से बड़ा और मेहनत से अलग
कौन-सा दीन कौन-सा ईमान
मैंने देखा, वह बिलकुल आश्वस्त नहीं था
उसकी आँखों में भरा था ख़ौफ़
मुझे माफ़ कर दें
उसने धीरे से कहा
यह ग़लती फिर नहीं होगी, वह रोता हुआ बोला
मैं कुछ कहता इससे पहले वह भागा
जैसे पुलिस की गिरफ़्त से छूटकर भागा हो मुजरिम
अपनी आशंका से
मेरे संवेदन
और सद्विचार की धज्जियाँ उड़ाता हुआ
वह भागा
और भीड़ में ग़ायब हो गया
यह पहला मौक़ा नहीं था
जब इस प्रकार हतप्रभ था मैं
जब नहीं समझा गया था भरोसे के क़ाबिल
वक़्त ही ऐसा है कि हर वक़्त
हर कहीं देखा जाता हूँ भय और संशय की नज़र से
जानी-पहचानी चीज़ों
और राहों के बीच से गुज़रता हूँ
असमंजस से भरा हुआ
जो सबसे अपना है, सबसे अज़ीज़
उससे भी पूछते सहमता हूँ
क्या तुम्हीं हो वह आदमी?
यह पहला मौक़ा नहीं था मित्रो
यह पहली पराजय नहीं थी।
mandir ke bahar mainne puchha
to achanak wo chaunk gaya
dekhne laga mujhe avak
barah terah saal ka laDka
jo bech raha tha dhoop deep
aur agarbattiyan
kya tum salim darji ke bete ho?
mainne phir puchha
aap kaise jante hain?
dhire se, sakapkakar puchha usne
tumhare chehre se laga mujhe
tumhare andaz se
mainne kaha aur dekha
uske chehre par gahri ashanka thi
wo khaDa tha pasine se lathpath
range haath pakaD mein aaye kisi chor sa
apne log pahchan mein aa jate hain babu
mainne uska kandha thapthapaya
chahe ve kahin rahen, kuch karen
ankhen pahchan leti hain apna aziz
mainne uska matha sahlaya aur kaha
betajan
kya hindu kya musalman
pyaar se baDa aur mehnat se alag
kaun sa deen kaun sa iman
mainne dekha, wo bilkul ashvast nahin tha
uski ankhon mein bhara tha khauf
mujhe maaf kar den
usne dhire se kaha
ye ghalati phir nahin hogi, wo rota hua bola
main kuch kahta isse pahle wo bhaga
jaise police ki giraft se chhutkar bhaga ho mujrim
apni ashanka se
mere sanvedan
aur sadvichar ki dhajjiyan uData hua
wo bhaga
aur bheeD mein ghayab ho gaya
ye pahla mauqa nahin tha
jab is prakar hataprabh tha main
jab nahin samjha gaya tha bharose ke qabil
vaक़t hi aisa hai ki har vaqt
har kahin dekha jata hoon bhay aur sanshay ki nazar se
jani pahchani chizon
aur rahon ke beech se guzarta hoon
asmanjas se bhara hua
jo sabse apna hai, sabse aziz
usse bhi puchhte sahemta hoon
kya tumhin ho wo adami?
ye pahla mauqa nahin tha mitro
ye pahli parajay nahin thi.
mandir ke bahar mainne puchha
to achanak wo chaunk gaya
dekhne laga mujhe avak
barah terah saal ka laDka
jo bech raha tha dhoop deep
aur agarbattiyan
kya tum salim darji ke bete ho?
mainne phir puchha
aap kaise jante hain?
dhire se, sakapkakar puchha usne
tumhare chehre se laga mujhe
tumhare andaz se
mainne kaha aur dekha
uske chehre par gahri ashanka thi
wo khaDa tha pasine se lathpath
range haath pakaD mein aaye kisi chor sa
apne log pahchan mein aa jate hain babu
mainne uska kandha thapthapaya
chahe ve kahin rahen, kuch karen
ankhen pahchan leti hain apna aziz
mainne uska matha sahlaya aur kaha
betajan
kya hindu kya musalman
pyaar se baDa aur mehnat se alag
kaun sa deen kaun sa iman
mainne dekha, wo bilkul ashvast nahin tha
uski ankhon mein bhara tha khauf
mujhe maaf kar den
usne dhire se kaha
ye ghalati phir nahin hogi, wo rota hua bola
main kuch kahta isse pahle wo bhaga
jaise police ki giraft se chhutkar bhaga ho mujrim
apni ashanka se
mere sanvedan
aur sadvichar ki dhajjiyan uData hua
wo bhaga
aur bheeD mein ghayab ho gaya
ye pahla mauqa nahin tha
jab is prakar hataprabh tha main
jab nahin samjha gaya tha bharose ke qabil
vaक़t hi aisa hai ki har vaqt
har kahin dekha jata hoon bhay aur sanshay ki nazar se
jani pahchani chizon
aur rahon ke beech se guzarta hoon
asmanjas se bhara hua
jo sabse apna hai, sabse aziz
usse bhi puchhte sahemta hoon
kya tumhin ho wo adami?
ye pahla mauqa nahin tha mitro
ye pahli parajay nahin thi.
स्रोत :
रचनाकार : राकेश रंजन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.