दो पतों के बीच लापता भूगोल में
लिख बंद कर दिया पढ़ना मैंने चेहरा एक नाम दूसरा फिर तीसरा,
मेरी तुम्हारी कहानी रह गई किसी बात पर
सूखते कपड़ों-सी उलट अपनी देह को टटोलती हवा में
हमेशा की तरह इस बार भी शेष अनेक
उन पन्नों में एक आज फिर
उलटता रखता
उठ कर चल देता
सर्द मौसम मफ़लर गले में झूलता
मुड़ के कुछ देखते जेब टटोलते
कि पहचाना नहीं जाता हूँ ख़ुद ही
सड़क से एक गली में हवा होते
सरे आम से दरवाज़े पार कहीं,
घर बार, आँगन एकांत में
उम्मीद की शक्ल में डर हर क़दम निहित
मेरे साथ है किसी पर्ची पर लिखे आगमन और प्रस्थान की तरह,
तो अब बंद कर दिया
यहाँ वहाँ छायाओं में क़द नाप अपने पाँवों को बाँधकर भागना,
यह जगह काफ़ी है खड़े होने छुपने
और लेटकर चुपचाप
हरी दूब हो जाने के लिए
do paton ke beech lapata bhugol mein
likh band kar diya paDhna mainne chehra ek nam dusra phir tisra,
meri tumhari kahani rah gai kisi baat par
sukhte kapDon si ulat apni deh ko tatolti hawa mein
hamesha ki tarah is bar bhi shesh anek
un pannon mein ek aaj phir
ulatta rakhta
uth kar chal deta
sard mausam muffler gale mein jhulta
muD ke kuch dekhte jeb tatolte
ki pahchana nahin jata hoon khu hi
saDak se ek gali mein hawa hote
sare aam se darwaze par kahin,
ghar bar, angan ekant mein
ummid ki shakl mein Dar har qadam nihit
mere sath hai kisi parchi par likhe agaman aur prasthan ki tarah,
to ab band kar diya
yahan wahan chhayaon mein qad nap apne panwon ko bandhakar bhagna,
ye jagah kafi hai khaDe hone chhupne
aur letkar chupchap
hari doob ho jane ke liye
do paton ke beech lapata bhugol mein
likh band kar diya paDhna mainne chehra ek nam dusra phir tisra,
meri tumhari kahani rah gai kisi baat par
sukhte kapDon si ulat apni deh ko tatolti hawa mein
hamesha ki tarah is bar bhi shesh anek
un pannon mein ek aaj phir
ulatta rakhta
uth kar chal deta
sard mausam muffler gale mein jhulta
muD ke kuch dekhte jeb tatolte
ki pahchana nahin jata hoon khu hi
saDak se ek gali mein hawa hote
sare aam se darwaze par kahin,
ghar bar, angan ekant mein
ummid ki shakl mein Dar har qadam nihit
mere sath hai kisi parchi par likhe agaman aur prasthan ki tarah,
to ab band kar diya
yahan wahan chhayaon mein qad nap apne panwon ko bandhakar bhagna,
ye jagah kafi hai khaDe hone chhupne
aur letkar chupchap
hari doob ho jane ke liye
स्रोत :
रचनाकार : मोहन राणा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.