कितने पश्चाताप
देर तक जागने के
और देर से उठने के
फिरती रहती हो फिर
अपराधी की तरह
हड़बड़ी में
काम निबटाकर
गर्दन झुकाए हुए
नज़र बचाकर
अपने किए को
मिटाती रहती हो
जन्म से गठरी उठाते हुए
मरने तक बोझ ढोती हो
कितने पश्चाताप ढोती हो
ओह! तुम अकेले
यात्रा करने के विचार मात्र से
अपराधबोध से भर जाती हो
मन ही मन खिल्ली उड़ाती हो
अपनी उस कल्पना की जिसमें
सेकंड क्लास की एक बोगी में बैठकर
तुम ‘बिनोदिनी’ को फिर से पढ़ रही हो
कितनी निश्चिंत!
क्योंकि
कुछ देर पहले
धड़धड़ाती हुई ट्रेन
जब एक पुल से गुज़री थी
तुमनें अपने छोटे से झोले से
एक बड़ी-सी गठरी को निकाल
पानी में धकेल दिया था
हौले से
सबकी नज़रें बचाकर।
kitne pashchatap
der tak jagne ke
aur der se uthne ke
phirti rahti ho phir
apradhi ki tarah
haDbaDi mein
kaam nibtakar
gardan jhukaye hue
nazar bachakar
apne kiye ko
mitati rahti ho
janm se gathri uthate hue
marne tak bojh Dhoti ho
kitne pashchatap Dhoti ho
oh! tum akele
yatra karne ke wichar matr se
apradhabodh se bhar jati ho
man hi man khilli uDati ho
apni us kalpana ki jismen
sekanD class ki ek bogey mein baithkar
tum ‘binodini’ ko phir se paDh rahi ho
kitni nishchint!
kyonki
kuch der pahle
dhaDdhaDati hui train
jab ek pul se guzri thi
tumnen apne chhote se jhole se
ek baDi si gathri ko nikal
pani mein dhakel diya tha
haule se
sabki nazren bachakar
kitne pashchatap
der tak jagne ke
aur der se uthne ke
phirti rahti ho phir
apradhi ki tarah
haDbaDi mein
kaam nibtakar
gardan jhukaye hue
nazar bachakar
apne kiye ko
mitati rahti ho
janm se gathri uthate hue
marne tak bojh Dhoti ho
kitne pashchatap Dhoti ho
oh! tum akele
yatra karne ke wichar matr se
apradhabodh se bhar jati ho
man hi man khilli uDati ho
apni us kalpana ki jismen
sekanD class ki ek bogey mein baithkar
tum ‘binodini’ ko phir se paDh rahi ho
kitni nishchint!
kyonki
kuch der pahle
dhaDdhaDati hui train
jab ek pul se guzri thi
tumnen apne chhote se jhole se
ek baDi si gathri ko nikal
pani mein dhakel diya tha
haule se
sabki nazren bachakar
स्रोत :
रचनाकार : लता खत्री
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.