याद आते हैं धान और जड़हन के खेत
उनकी बालियों पर मँडराते सुग्गे
पोखर की मछलियों पर बुरी नज़र
रखने वाले बगुला भगत याद आते हैं
फ़सलों के भविष्य पर बात करते हुए
पिता को भूलना कठिन होगा
माँ याद आती हैं जो अक्सर धानी साड़ी पहनतीं
और धान के खेतों की याद दिलाती थीं
याद आते हैं भाई-बहन जो बारिश होते ही
छाता छोड़कर भीगने के लिए निकल जाते थे
याद आता है बचपन का वह दोस्त
जिसे काग़ज़ की नाव बनाने में महारत हासिल थी
आगे चलकर वह मल्लाह बना
वह हमें नदी पार कराता था
तमाम कोशिशों के बावजूद
मैं शहर में जाकर
मनुष्य नहीं बन सका
जो कुछ छूट चुका है
वह कितना मूल्यवान है
यह गँवाने वाला ही जानता है
yaad aate hain dhan aur jaDhan ke khet
unki baliyon par manDrate sugge
pokhar ki machhaliyon par buri nazar
rakhne wale bagula bhagat yaad aate hain
faslon ke bhawishya par baat karte hue
pita ko bhulna kathin hoga
man yaad aati hain jo aksar dhani saDi pahantin
aur dhan ke kheton ki yaad dilati theen
yaad aate hain bhai bahan jo barish hote hi
chhata chhoDkar bhigne ke liye nikal jate the
yaad aata hai bachpan ka wo dost
jise kaghaz ki naw banane mein maharat hasil thi
age chalkar wo mallah bana
wo hamein nadi par karata tha
tamam koshishon ke bawjud
main shahr mein jakar
manushya nahin ban saka
jo kuch chhoot chuka hai
wo kitna mulyawan hai
ye ganwane wala hi janta hai
yaad aate hain dhan aur jaDhan ke khet
unki baliyon par manDrate sugge
pokhar ki machhaliyon par buri nazar
rakhne wale bagula bhagat yaad aate hain
faslon ke bhawishya par baat karte hue
pita ko bhulna kathin hoga
man yaad aati hain jo aksar dhani saDi pahantin
aur dhan ke kheton ki yaad dilati theen
yaad aate hain bhai bahan jo barish hote hi
chhata chhoDkar bhigne ke liye nikal jate the
yaad aata hai bachpan ka wo dost
jise kaghaz ki naw banane mein maharat hasil thi
age chalkar wo mallah bana
wo hamein nadi par karata tha
tamam koshishon ke bawjud
main shahr mein jakar
manushya nahin ban saka
jo kuch chhoot chuka hai
wo kitna mulyawan hai
ye ganwane wala hi janta hai
स्रोत :
रचनाकार : स्वप्निल श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.