जैसे भाषा के बिना
विचारों का होना संभव नहीं
भाषा के सपने से बाहर
दरअसल सपनों से पूरी तरह बेदख़ल होना था
पर अबकी ठान ही लिया
कि जिस भाषा में
मैं प्रार्थना करता हूँ और प्रेम
उसी से अपमान होता है
एक निरापद कविता और कवि का
उसी से ढेर सारी हिंसा और
उन्माद झरता है
उसी से दुत्कार दिया जाता है सच
और नकार दी जाती है सुंदरता
जिस भाषा से मैं
झुकता चला जाता हूँ पवित्र विनम्रता में
वही आखेट करना चाहती है विनय का
वही अलक्षित करती है किसी नैतिक प्रतिरोध को
वही ढकेल देती है
कगार पर खड़े शिशु को
जिसकी निरीह आँखों में बसे कौतूहल में
विन्यस्त है एक पूरी दुनिया
वह भाषा जिसे सुनकर
तुम मुग्ध हो और मैं आह्लादित
वही क्यों संशय, भय और अविश्वास की
कठोरता धरना चाहती है
हमारे अनिर्वचनीय सुख को
मिटा देना चाहती है
क्यों नश्वर जीवन को
अनश्वरता के गल्प का अट्टहास देना चाहती है
मैं जिस भाषा में प्रार्थना करता हूँ
और प्रेम
उसी भाषा से प्रेम करता हूँ
और उसी के लिए प्रार्थना भी
कि उसमें वह शक्ति बची रहे
कि विदा के समय साथ के लिए
एक फूल तोड़ते एक सयाने कवि का
हाल-चाल पूछ सके और
सपनों से बेदख़ली के समय
रोक सके मुझे।
jaise bhasha ke bina
wicharon ka hona sambhaw nahin
bhasha ke sapne se bahar
darasal sapnon se puri tarah bedkhal hona tha
par abki than hi liya
ki jis bhasha mein
main pararthna karta hoon aur prem
usi se apman hota hai
ek nirapad kawita aur kawi ka
usi se Dher sari hinsa aur
unmad jharta hai
usi se dutkar diya jata hai sach
aur nakar di jati hai sundarta
jis bhasha se main
jhukta chala jata hoon pawitra winamrata mein
wahi akhet karna chahti hai winay ka
wahi alakshait karti hai kisi naitik pratirodh ko
wahi Dhakel deti hai
kagar par khaDe shishu ko
jiski nirih ankhon mein base kautuhal mein
winyast hai ek puri duniya
wo bhasha jise sunkar
tum mugdh ho aur main ahladit
wahi kyon sanshay, bhay aur awishwas ki
kathorta dharna chahti hai
hamare anirwachniy sukh ko
mita dena chahti hai
kyon nashwar jiwan ko
anashwarta ke galp ka attahas dena chahti hai
main jis bhasha mein pararthna karta hoon
aur prem
usi bhasha se prem karta hoon
aur usi ke liye pararthna bhi
ki usmen wo shakti bachi rahe
ki wida ke samay sath ke liye
ek phool toDte ek sayane kawi ka
haal chaal poochh sake aur
sapnon se bedakhal ke samay
rok sake mujhe
jaise bhasha ke bina
wicharon ka hona sambhaw nahin
bhasha ke sapne se bahar
darasal sapnon se puri tarah bedkhal hona tha
par abki than hi liya
ki jis bhasha mein
main pararthna karta hoon aur prem
usi se apman hota hai
ek nirapad kawita aur kawi ka
usi se Dher sari hinsa aur
unmad jharta hai
usi se dutkar diya jata hai sach
aur nakar di jati hai sundarta
jis bhasha se main
jhukta chala jata hoon pawitra winamrata mein
wahi akhet karna chahti hai winay ka
wahi alakshait karti hai kisi naitik pratirodh ko
wahi Dhakel deti hai
kagar par khaDe shishu ko
jiski nirih ankhon mein base kautuhal mein
winyast hai ek puri duniya
wo bhasha jise sunkar
tum mugdh ho aur main ahladit
wahi kyon sanshay, bhay aur awishwas ki
kathorta dharna chahti hai
hamare anirwachniy sukh ko
mita dena chahti hai
kyon nashwar jiwan ko
anashwarta ke galp ka attahas dena chahti hai
main jis bhasha mein pararthna karta hoon
aur prem
usi bhasha se prem karta hoon
aur usi ke liye pararthna bhi
ki usmen wo shakti bachi rahe
ki wida ke samay sath ke liye
ek phool toDte ek sayane kawi ka
haal chaal poochh sake aur
sapnon se bedakhal ke samay
rok sake mujhe
स्रोत :
रचनाकार : मिथलेश शरण चौबे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.