जो गाँव में रहते हैं
वे नगर में जाने के लिए बेचैन हैं
नगर के नागरिक
महानगर में बसने के लिए हैं लालायित
छोटी जगह पर अब कोई नहीं चाहता रहना
सबको चाहिए बड़ी जगह
ज़मीन पर रहने के लिए कोई राज़ी नहीं है
सबको चाहिए आसमान
और उड़ने के लिए पंख
उनके जाने से जो जगह रह जाती है
उस जगह को डबडबाई आँखों से देखते हैं माता-पिता
अवरुद्ध हो जाते हैं उनके कंठ
राजधानियाँ
कुछ ख़ास राजनेताओं, कवियों, लेखकों, दलालों, उठाईगीरों के लिए आरक्षित हैं
उनकी प्रतीक्षा-सूची लंबी है
बड़े कवि छोटे शहरों में नहीं रहते
उनका वहाँ दम घुटता है
छोटे शहरों में प्रसिद्धि के अवसर नहीं हैं
जो महत्वाकांक्षाओं के लिए चुनते हैं विस्थापन
वे महानता के पथ पर आगे बढ़ते हैं
वे सहज जीवन नहीं
वर्जित इच्छाओं का चुनाव करते हैं
jo ganw mein rahte hain
we nagar mein jane ke liye bechain hain
nagar ke nagarik
mahangar mein basne ke liye hain lalayit
chhoti jagah par ab koi nahin chahta rahna
sabko chahiye baDi jagah
zamin par rahne ke liye koi razi nahin hai
sabko chahiye asman
aur uDne ke liye pankh
unke jane se jo jagah rah jati hai
us jagah ko DabDabai ankhon se dekhte hain mata pita
awruddh ho jate hain unke kanth
rajdhaniyan
kuch khas rajnetaon, kawiyon, lekhkon, dalalon, uthaigiron ke liye arakshait hain
unki pratiksha suchi lambi hai
baDe kawi chhote shahron mein nahin rahte
unka wahan dam ghutta hai
chhote shahron mein prasiddhi ke awsar nahin hain
jo mahatwakankshaon ke liye chunte hain wisthapan
we mahanta ke path par aage baDhte hain
we sahj jiwan nahin
warjit ichchhaon ka chunaw karte hain

स्रोत :
रचनाकार : स्वप्निल श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.