ए जी, ये लोकतंत्र क्या होता है?
पूछा था माँ ने पिता जी से
कई वर्ष पहले जब मैं किशोर था
माँ के सवाल पर
थोड़ा अकबकाए फिर मुस्कुराए थे पिताजी
माँ समझ गई थी
वे टाल रहे हैं उसका सवाल
उसने फिर पूछा था—
बताइए न, ये लोकतंत्र क्या होता है?
अब पिता सतर्क थे
‘सतर्क’ के हर अर्थ में
उन्होंने कहा था—
तुम जानती हो लोकतंत्र की परिभाषा उसके निहितार्थ
पढ़ाती हो बच्चों को
फिर मुझसे क्यों पूछती हो, क्या दुविधा है?
माँ ने कहा था—
दुविधा ही दुविधा है
उत्तर की सुविधा भी एक दुविधा है
जो शब्दों में है
अभिव्यक्ति में पहुँच नहीं पाता
जो अभिव्यक्ति में पहुँचता है
जीवन में उतर नहीं पाता
ऐसा क्यों है
प्रेम की तरह लोकतंत्र दिखता खुला-खुला सा
पर रहस्य है!
जब जो चाहे
कभी भाषा से
कभी शक्ति से
कभी भक्ति से
कभी छल कभी प्रेम से
अपनी सुविधा की व्याख्या रच लेता है
और काठ के घोड़े-सा लोकतंत्र टुकुर-टुकुर ताकता रह जाता है
यह सब कहते हुए
स्वर शांत था माँ का
कोई उद्विग्नता, क्षणिक आवेश, आवेग, आक्रोश न था उसमें
जैसे कही गई बातें महज़ प्रतिक्रिया न हों
निष्पत्तियाँ हों सघन अनुभव की
लोकतंत्र की आकांक्षा से भरे एक जीवन की
और यह सब सुनते हुए
जादुई वाणी वाले सिद्ध वक्ता मेरे पिता
चुप थे बिल्कुल चुप
जैसे मैं हूँ इस समय
उस संवाद के ढाई दशक बाद
अपनी पत्नी के इस सवाल पर
ए जी, ये बराबरी क्या होती है?
e ji, ye loktantr kya hota hai?
puchha tha man ne pita ji se
kai warsh pahle jab main kishor tha
man ke sawal par
thoDa akabkaye phir muskuraye the pitaji
man samajh gai thi
we tal rahe hain uska sawal
usne phir puchha tha—
bataiye na, ye loktantr kya hota hai?
ab pita satark the
‘satark’ ke har arth mein
unhonne kaha tha—
tum janti ho loktantr ki paribhasha uske nihitarth
paDhati ho bachchon ko
phir mujhse kyon puchhti ho, kya duwidha hai?
man ne kaha tha—
duwidha hi duwidha hai
uttar ki suwidha bhi ek duwidha hai
jo shabdon mein hai
abhiwyakti mein pahunch nahin pata
jo abhiwyakti mein pahunchta hai
jiwan mein utar nahin pata
aisa kyon hai
prem ki tarah loktantr dikhta khula khula sa
par rahasy hai!
jab jo chahe
kabhi bhasha se
kabhi shakti se
kabhi bhakti se
kabhi chhal kabhi prem se
apni suwidha ki wyakhya rach leta hai
aur kath ke ghoDe sa loktantr tukur tukur takta rah jata hai
ye sab kahte hue
swar shant tha man ka
koi udwignata, kshanaik awesh, aaweg, akrosh na tha usmen
jaise kahi gai baten mahz pratikriya na hon
nishpattiyan hon saghan anubhaw ki
loktantr ki akanksha se bhare ek jiwan ki
aur ye sab sunte hue
jadui wani wale siddh wakta mere pita
chup the bilkul chup
jaise main hoon is samay
us sanwad ke Dhai dashak baad
apni patni ke is sawal par
e ji, ye barabari kya hoti hai?
e ji, ye loktantr kya hota hai?
puchha tha man ne pita ji se
kai warsh pahle jab main kishor tha
man ke sawal par
thoDa akabkaye phir muskuraye the pitaji
man samajh gai thi
we tal rahe hain uska sawal
usne phir puchha tha—
bataiye na, ye loktantr kya hota hai?
ab pita satark the
‘satark’ ke har arth mein
unhonne kaha tha—
tum janti ho loktantr ki paribhasha uske nihitarth
paDhati ho bachchon ko
phir mujhse kyon puchhti ho, kya duwidha hai?
man ne kaha tha—
duwidha hi duwidha hai
uttar ki suwidha bhi ek duwidha hai
jo shabdon mein hai
abhiwyakti mein pahunch nahin pata
jo abhiwyakti mein pahunchta hai
jiwan mein utar nahin pata
aisa kyon hai
prem ki tarah loktantr dikhta khula khula sa
par rahasy hai!
jab jo chahe
kabhi bhasha se
kabhi shakti se
kabhi bhakti se
kabhi chhal kabhi prem se
apni suwidha ki wyakhya rach leta hai
aur kath ke ghoDe sa loktantr tukur tukur takta rah jata hai
ye sab kahte hue
swar shant tha man ka
koi udwignata, kshanaik awesh, aaweg, akrosh na tha usmen
jaise kahi gai baten mahz pratikriya na hon
nishpattiyan hon saghan anubhaw ki
loktantr ki akanksha se bhare ek jiwan ki
aur ye sab sunte hue
jadui wani wale siddh wakta mere pita
chup the bilkul chup
jaise main hoon is samay
us sanwad ke Dhai dashak baad
apni patni ke is sawal par
e ji, ye barabari kya hoti hai?
स्रोत :
रचनाकार : जितेंद्र श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.