हमारे पास आना तो हमारे ही पास आना
और केवल आना तुम,
अपने लाव-लश्कर ताम-झाम पीछे कहीं छोड़कर।
मैं थक चुका हूँ मेरे दोस्त
तुम्हारे इर्द-गिर्द छितरायी बड़प्पन की कथाएँ सुन-सुन
और भरोसा नहीं कर पाता
कि तमाम रेतीली सँकरी पगडंडियों पर हम
न सिर्फ़ साथ चले थे
साथ बुझे और साथ जले थे,
बल्कि वे पगडंडियाँ
हमारे ही क़दमों के साहस ने रची थीं।
अब कहाँ तुम राजमार्ग पर
तेज़ रफ़्तार से चलने वाले अनात्मवादी,
और पगडंडियों को गले में
लटकाए घूमता मैं,
घाम हो कि छाँह, चलता रहता हूँ।
आना तो इस तरह कि किसी के भी
हृदय को लगे कि आना इसी को तो कहते हैं,
कि उस आने का बखान ही न कर सके कोई
कि ख़त्म हो जाएँ सबकी क्षमताएँ ही बखानने की।
कि जाने का विचार तक न उपज सके
आने के बाद।
आना तो ऐसे ही मेरे दोस्त,
कि महिमा से आक्रांत हो तुम्हारी
वही महसूसना न भूल जाए कहीं मेरा दिल
कि जिसे मन के मानसरोवर में
सबसे पहले महसूस होना चाहिए।
तुम्हारे आने से
अपना भविष्य और पत्नी के ज़ेवर गिरवी रख
तुम्हें पढ़ाने वाले बड़े भाई को
यह न महसूस हो हर बार की तरह
कि महाजन आया है अपना सूद उगाहने।
hamare pas aana to hamare hi pas aana
aur kewal aana tum,
apne law lashkar tam jham pichhe kahin chhoDkar
main thak chuka hoon mere dost
tumhare ird gird chhitrayi baDappan ki kathayen sun sun
aur bharosa nahin kar pata
ki tamam retili sankari pagDanDiyon par hum
na sirf sath chale the
sath bujhe aur sath jale the,
balki we pagDanDiyan
hamare hi qadmon ke sahas ne rachi theen
ab kahan tum rajamarg par
tez raftar se chalne wale anatmawadi,
aur pagDanDiyon ko gale mein
latkaye ghumta main,
gham ho ki chhanh, chalta rahta hoon
ana to is tarah ki kisi ke bhi
hirdai ko lage ki aana isi ko to kahte hain,
ki us aane ka bakhan hi na kar sake koi
ki khatm ho jayen sabki kshamtayen hi bakhanne ki
ki jane ka wichar tak na upaj sake
ane ke baad
ana to aise hi mere dost,
ki mahima se akrant ho tumhari
wahi mahsusna na bhool jaye kahin mera dil
ki jise man ke mansarower mein
sabse pahle mahsus hona chahiye
tumhare aane se
apna bhawishya aur patni ke zewar girwi rakh
tumhein paDhane wale baDe bhai ko
ye na mahsus ho har bar ki tarah
ki mahajan aaya hai apna sood ugahne
hamare pas aana to hamare hi pas aana
aur kewal aana tum,
apne law lashkar tam jham pichhe kahin chhoDkar
main thak chuka hoon mere dost
tumhare ird gird chhitrayi baDappan ki kathayen sun sun
aur bharosa nahin kar pata
ki tamam retili sankari pagDanDiyon par hum
na sirf sath chale the
sath bujhe aur sath jale the,
balki we pagDanDiyan
hamare hi qadmon ke sahas ne rachi theen
ab kahan tum rajamarg par
tez raftar se chalne wale anatmawadi,
aur pagDanDiyon ko gale mein
latkaye ghumta main,
gham ho ki chhanh, chalta rahta hoon
ana to is tarah ki kisi ke bhi
hirdai ko lage ki aana isi ko to kahte hain,
ki us aane ka bakhan hi na kar sake koi
ki khatm ho jayen sabki kshamtayen hi bakhanne ki
ki jane ka wichar tak na upaj sake
ane ke baad
ana to aise hi mere dost,
ki mahima se akrant ho tumhari
wahi mahsusna na bhool jaye kahin mera dil
ki jise man ke mansarower mein
sabse pahle mahsus hona chahiye
tumhare aane se
apna bhawishya aur patni ke zewar girwi rakh
tumhein paDhane wale baDe bhai ko
ye na mahsus ho har bar ki tarah
ki mahajan aaya hai apna sood ugahne
स्रोत :
रचनाकार : प्रांजल धर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.